You are on page 1of 1

desh yuva hai...par berojgar hai....

aankho mai sapne hai...par udne se laachar hai...


kahi SSC mai ghaple to kahi saaf pariksha hone ki darkaar hai...
lekin hume kya hum to kamal aur panje ke khatir ladne ko teyaar hai....

desh ke yuva kab budhape mai sama jaye bas us samay ka intzaar hai....
aaj hume to kal aapko isi jagah aane ka intzaar hai.....
bhale hi kal kamal,panja ya koi aur rahe.....hume to bas bewkoof banne ka intzaar
hai....
lekin hume kaha in sab se sarokar hai......

desh ke yuva aur kisan bhuke nange sadak pe baithe hai lekin hume kya....desh to
bas amiro ko free mai loan dene teyaar hai....
school-colleges mai teachers nahi lekin INDIA digital banne ko teyyar hai....
wah re wah desh .....
sabse yuva hote hue bhi aaj tu kitna laachar hai.....is yuva bhid mai aaj kitne hi
berojgar hai.....

isiliye sharm aati hai kehte hue ki ...


desh yuva hai...par berojgar hai....
aankho mai sapne hai...par udne se laachar hai...

by- rahul sugandh

You might also like