You are on page 1of 5

SURAH AL BAQARAH 2018

Name:________________________ Total Marks : 16

Date : _______________________ Marks obtained:____________


Reg. #:_______________________ WORKSHEET # 2 (ROMAN)
Halaqa / area : _________________ ۱ ‫ سورۃ البقرہ جز‬2018 In-charge Signature:_________

Area In-charge Signature:_______

1. Aaj ham ghalat taweel ghalat fatwon se kis tarah ruk sakte hain? Please
write 4 points (page 12 of Mus’haf)

2. Hamein Aag hargiz na chhuyege, Bani Israel ki ye Zaum (khush andeshi)


unhe le doobi, iski kiya wajoohat thain (page 12 of Mus’haf):

3. Aaj musalman kis khush-fehmi mein mubtela hain? Aur is se nikalne ka


kiya raasta hai?
1
Page
4. Kiya aap ne Qur’an ko kabhi is soch ke saath padha keh ye kitab aap se
kiya chahti hai? Aap ko kistarah badalna chahti hai? Aap ki zimmedari
yaad dilati hai?

5. Qur’an ki ikhlaqi ta’limaat par raushni daliye, ayat 83 ki raushni mein.

6. Aap apni zuban ka kaise istemal karte hain? Koi 2 din ka record rakhiye
aur apna ehtesaab karein.

7. Waledain
a. Husn-e-sulook kiya hai?

b. Baat karne ka andaz kaisa hai?

c. Aapke waledain aapke pass hain to unke sath khas taur par rozana ek
ghanta guzariye

d. Waledain door hain, to un se hafte mein do baar zaroor baat karein.


2
Page
8. Waledain tumhari Jannat aur waledain tumhari dozakh. Is hadith ki
raushni mein batiye ke aap apni Jannat kaise banayeinge aur dozakh se
kaise bacheinge. 5 points likhiye.

9. Yahood apne hi sathiyon ko shaher se nikal dete ya un se sautela sulook


karte jo sahebe haisiyat na hote. Kiya aaj musalman bhi apne muslim
bhaiyon ke sath is tarah ka sulook karte hain? Misalon se wazeh kijiye
(page 13 of Mus’haf).

10. Bani Israel ke dil mein bachhde ki azmat kiyon pukhta hogai thi? (page
14 of Mus’haf).
3
Page
11. Aaj musalmano mein is tarah kaun sa jurm paya jata hai? Kis kis ki
muhabbat aur kis tarah ki tauham parasti aaj yahood ki tarah ham mein
bhi aagai hai? Page # 14 of Mus’haf

12. Maut ke ta’aluq se ek momin ka tarze amal kiya hona chahiye


(page 15)

13. Aap ne apne “Kal” ke liye kiya tayyari ki hai? (page 15 of Mushaf)

14. Bani Israel ne kistarah apni kitab ko pheechhe dala tha? (page 15)

15. Kiya aaj musalmanon ne Qur’an ko phiche dala hai? Kis tarah (koi
4 points likhiye).
4
Page
16. Aaj Qur’an ki ahmiyat ko ujagar karne ke liye aap kiya qadam
uthayengi?
5
Page

You might also like