You are on page 1of 42

◆Surah Noor Me'n Parde Ke Ahkaam

Allah Ta’Aala Azza-O-Jal Ka Farmaane Aalishaan Hai:

2
Tarjumah: "Musalman Mardo'n Ko Hukm Do, Apni
Nigaahe Nichi Rakhe Aur Apni Sharmagaho'n Ki Hifazat
Kare, Ye Inke Liye Bahot Suthra Hai, Beshak Allah Ko
Inke Kaamo'n Ki Khabar Hai. Aur Musalman Aurato'n
Ko Hukm Do, Apni Nigaahe'n Nichi Rakhe'n Aur Apni
Parsaayi Ki Hifazat Kare, Aur Apna Banao Na Dikhaye
Magar Jitna Khud Hi Zahir Hai Aur Dupatte Apne
Garebano'n Par Daale Rahe'n Aur Apna Singhaar Zahir
Na Kare Magar Apne Shauharo'n Par, Ya Apne Baap, Ya
Apne Shauharo'n Ke Baap, Ya Apne Bete, Ya Apne
Shauharo'n Ke Bete, Ya Apne Bhai, Ya Apne Bhatije, Ya
Apne Bhanje, Ya Apne Deen Ki Aurate'n, Ya Apni
Kanize'n Jo Apne Haath Ki Milk Hon, Ya Nokar Ba'Shart
Ye Ke Shehwat Wale Mard Na Hon, Ya Wo Bacche
Jinhe'n Aurato'n Ki Sharm Ki Chizo'n Ki Khabar Nahi,
Aur Apne Paa'on Zameen Par Zor Se Na Rakhe Ke Jana
Jaye Unka Chupa Huwa Singhaar(Yaani Zewar) Aur
Allah Ki Taraf Tauba Karwaye. Musalmano'n! Sab Se
Sab Is Ummeed Par Ke Tum Falah Paao".
(Surah Al-Noor :30,31, Kanzul EEmaan, Az-Sarkaar
AalaHazrat Bareillvi RadiyAllahu Ta'Aala Anhu)

In Aayaat Me'n Parde Ke Muta'alliq Mandarje Zail


Ahkaam Bayaan Huwe Hain:

3
• Awwal : Musalman Mard -O- Aurat Apni Nigaahe'n
Nichi Rakhe,
• Duwwam : Apni Sharmagaah Aur Ismat -o-
PaarSaayi Ki Hifazat Kare,
• Suwwam : Aurate'n Apna Banao Singhaar Na-
Mehramo'n Se Chupaye,
• Chahrum : Apne Dupatte Ya Chadare'n Apne Sino'n
Par Daale Rakhe'n,
• Panjum : Apna Makhfi Banao Singhaar Bhi Zahir Na
Hone De.

Awwal: Musalman Mard-o-Aurat Apni Nigaahe'n


Nichi Rakhe Iska Khulsa Ye Hai,
Insani Nafsiyaat Se Waaqif Koyi Shakhs Is Haqiqat Se
Inkaar Nahi Kar Sakta Ke Be-Rah Rawi Ki Ibteda Na-
Mehramo'n Ko Dekhne Se Hoti Hai. Islaam Chunke
Deene Fitrat Hai IsLiye Ye In Tamaam Asbaab Aur
Zaraye Par Pabandi Aayid Karta Hai Jo Gunah Ka Mujib
Hon. Imam Ghazali Alaihir Rahmah Farmate Hain, Is
Mu'aamile Me'n Nafs Ki Misaal Ek Janwar Ki Si Hai Ke
Jab Ibteda Me'n Kisi Simt Me'n Jane Ka Rujhaan Zahir
Kare To Uski Lagaam ThaamNa Aur Us Simt Me'n Jaane
Se Rokna Mushkil Nahi Hota. Lekin Agar Lagaam Khuli
Cchod De Aur Wo Kisi Simt Gaamzan Hojaye To Phir

4
Laakh Uski Dum Khinche'n Aur Use Baaz Rakhne Ki
Koshish Kare Magar Kamiyaabi Dushwar Hojati Hai. Pas
Asal Baat Ye Hai Ke Aankh Ki Hifazat Ki Jaye Kyunke Har
Fitne Ki Ibteda Aankh Hi Se Hoti Hai.

Hazrat Jareer Bin AbdullAh RadiyAllahuAnhu Ne Nabi


Kareem ‫ ﷺ‬Se Kisi Naa-Mehram Par Achanak Nazr Pad
Jane Ke Mutalliq Pucha To Aaqa-o-Maula ‫ ﷺ‬Ne Fauran
Nazar Pher Lene Ka Hukm Diya. Dusri Hadees Shareef
Main Irshad Huwa Pehli Achanak Nazar Muaf Hai
Magar Dusri Nazar Jaaiz Nahi.
(Tirmazi)
Ek Aur Hadees Shareef Main Raste Ka Ek Haq Ye
Bayaan Farmaya Gaya Ke Nigaahe Nichi Rakhi Jaaye.
(Bukhari)
Hadieese Qudsi Hai, "Nazar Shaytaan Ke Tiro'n Me'n Se
Ek Zehrila Teer Hai Jisne Isko Mere Khouf Se Tark Kar
Diya Me'n Use Eemaan Ka Wo Darjah Dunga Jiski
Mithaas Aur Lazzat Wo Apne Dil Me'n Mahsoos
Karega".
(Tibraani)
Yaani Jo Koyi Khoufe Khuda Ke Baa'is Na-Mehramo'n
Ki Taraf Naa Dekhe, Allah Ta'Aala Use Eemaan Ki
Halawat Ata Farmata Hai.

5
Allama Qurtabi Alaihir Rahmah Farmate Hain Ke "Dil Ki
Taraf Khulne Waala Sab Se Bada Darwaza Nigaah Ka
Hai. Aankh Ki Be-Rah Rawi Ki Waja Se Hi Aksar Gunah
Saadir Hojate Hain IsLiye Isse Bachna Chahiye Aur
Tamam Mehrmaat Se Iski Hifazat Karni Chahiye".

Sadrul Afazil AlaihirRahmah Is Aayat Ke Tahet Raqm


Taraaz Hain, "Hadees Shareef Me'n Hai Ke Azwaaje
Mutehharaat Me'n Se Ba'z UmmeHaat-ul-Momineen
Sayyede Aalam ‫ ﷺ‬Ki Khidmat Me'n The'n Usi Waqt Ibne
Umme Maktoom RadiyAllahuAnhu Aaye To Huzoor ‫ﷺ‬
Ne Azwaaj Ko Parde Ka Hukm Farmaya. Unhone'n Arz
Kiya Ke Wo Naa'Bina Hain, Huzoor ‫ ﷺ‬Ne Farmaya, Tum
To Naa'Bina Nahi Ho.
(Tirmazi , AbuDawood)

Is Hadees Se Ma'loom Huwa Ke Aurato'n Ka Bhi Naa-


Mehram Mardo'n Ko Dekhna Aur Unke Saamne Hona
Jaaiz Nahi".
(Khazayin-ul-Irfaan)

Duwwam : Apni Sharmagaah Aur Ismat -o- Parsaayi Ki


Hifazat Kare Iska Mafhoom Ye Hai Ke,

6
Bad'Kaari Se Bhi Bacho Aur Iske Tamaam Asbaab Se
Bhi. Aaqaa -o- Maula ‫ ﷺ‬Ka Irshaad Hai, Naa-Mehram
Ko Shehwat Se Dekhna Aankh Ka Zina Hai, Shehwaani
Baate Sunna Kaan Ka Zina Hai, Aisi Baate Karna Zuban
Ka Zina Hai, Naa-Mehram Ko Cchuna Aur Pakadna
Haath Ka Zina Hai, Uski Taraf Chalna Paa'on Ka Zina
Hai, Aisi Buri Khwahish Dil Ka Zina Hai Aur Sharmagah
Use Sachaya Jhuta Kar Deti Hai.
(Muslim)

Noore Mujassam ‫ ﷺ‬Ka Farmane Zishaan Hai,


"Agar Tum Mere Liye 6 cheezo'n Ke Zaamin Ban
Jao'n To Me'n Tumhare Liye Jannat Ka Zaamin Hu'n.
(1) Jab Baat Karo To Sach Bolo,
(2) Jab Wada Karo To Pura Karo,
(3) JaB Amanat Di Jaye To Ada Karo,
(4) Apni Sharmgaah Ki Hifazat Karo,
(5) Apni Nigaahe'n Nichi Rakho
(6) Aur Apne Haath Zulm Se Rok Do".
(Masnade Ahmed)

Mufti Muhammad Khaleel Khaan Qadri Barkati Qudda


Sirrahu Farmate Hain, "Mard Aur Aurate'n Apni Apni
Sharmagaho'n Ki Hifazat Kare, Is Hukm Ke Tahet Zina

7
Kaari Ke Elawa Aur Bhi Sare Tariqe Naa'Jaaiz Shehwat
Raani Aur Badkaari -o- Bad'Nazri Ke Aagaye.
Aashiqaana Afsaane Aur Darame, Be'Hayayi Ke Manazir
Dikhane Wale Theater Aur Cinema, Khayalaat -o-
Jazbaat Me'n Hayjaan Paida Karne Waali Taswire'n
Waghairah Sab Iske Tahet Me'n Aajati Hai.
(Sunni Baheshti Zewar, S:202)

Suwwam: Aurate'n Apna Banao'n Singhaar Na-


Mehramo'n Se Chupaye Iska Khulasa Ye Hai Ke,
Pehle Ye Samajh Lijiye Ke Na-Mehram Kon Hain?
Deene Islaam Main Aurat Ka Jin Mardo'n Se Nikah
Haraam Hai Wo Mehram Kehlata Hain.
Inki Du(2) Qisme'n Hain..... Ek Wo Jo Abdi Mehram
Hain Yaani Inse Kisi Bhi Surath Main Aurat Ka Nikah
Haraam Hai. ______ Jaise Baap... Beta... Bhai... Sasur..
Damaad... Chacha.. Mamu... Bhanja... Bhatija
Waghairah.

Dusre Wo Jo Abdi Mehram Na Hon ______ Jaise


Phupha... Khaalu... Behnoyi... Jhet... Dewar Waghairah.
Ke Inse Hurmat Ka Rishta Daaiyimi Nahi. Kyun Ke Jab
Tak Aurat Ki Phuphi, Khaala Ya Bahen Inke Nikah Main

8
Hai Unse Nikah Haraam Hai. Magar Phuphi, Khaala Ya
Bahen Ke Inteqaal Ya Talaaq Hojane Ki Surath Me'n
Inse Aurat Ka Nikah Halaal Hojayega.

Chacha, Taaya, Mamu, Khaala Ya Phuphi Ke Bete Jinhe


Urf Me'n Bhai Kaha Jata Hai Isi Tarah Muh Bole Bhai Ya
Uncle Waghairah In Sab Ko Umuman Mehram Samjh
Kar Inse Pardah Nahi Kiya Jata Jabke Ye Sab
Ghair'Mehram Hain. Khwateen Ke Liye In Aarzi
Mehramo'n Aur Na-Mehramo'n Se Pardah Karna Aur
Apna Bana'o Singhaar Chupana Zaruri Hai.

Ab Mazkurah Hukme QurAani Par Gour Kijiye Ke


Aurate'n Apni Zinat Na-Dikhaye'n Magar Jitni Khud Hi
Zahir Hai. Zinat Me'n Har Wo Cheez Aajati Hai Jo
Mardo'n Ke Liye Aurat Ki Taraf Raghbat Ka Baa'is Ho,
Khwah Wo Zinat Paidaishi Ho Jaise Haseen Aawaaz,
Jismani Khoob-Surthi, Khush-Khirami Waghairah.
Khwah Wo Zinat Kasbi Ho Jaise Khoob-Surath Libaas,
Zewraat, Powder, Gaza(Khushbo'Daar Safoof Jo Khoob
Surthi Ke Liye Rukhsar Par Mala Jata Hai), Surkhi
Waghairah. Aisa Bana'o Singhaar Jo Shari'at Ki Hudood
Me'n Ho Jaaiz Hai Ba'shart Ye ke Na-Mehramo'n Ke
Samne Numaa'ish Maqsood Na Ho.

9
Mufti Muhammad Khaleel Khan Qaadri Barkati
(RehmathullAhi Alaih) Is Aayat Ki Tafseer Me'n
Farmate Hai Ke: "Jism Ke Wo Hisse Is Hukm Se
Mustasna Hain Agarche Zinat Ke Mawaqe Hain
Lekin Inke Chupaye Rakhne Me'n Umuman Harj Aur
Zehmat Hai Jaise Chehre Ki Takya, Hatheliyaa'n Aur
Pao'n, Kyun Ke Surma Lagana Chehre Ki Aur Khizaab
Yaani Mehndi Lagana Aur Anghothiyaa'n Pahenna
Hatheliyo'n Aur Ungliyo'n Ki Zinat Hain Aur Bahot Si
Dunyawi Aur Deeni Zarurate'n Inke Khula Rakhne Par
Majboor Kar Deti Hain. Agar Unke Chupane Ka
Mutlaqan Har Haal Main Hukm Diya Jaye To Aurate'n
Badi Dushwaariyo'n Me'n Phans Jaaye Isliye Unhe'n Ye
Ri'aayat Di Gayi Ke Apne Mehram Rishtadaaro'n
Maslan : Baap.. Beta.. Bhai.. Chacha.. Mamu.. Dada..
Nana.. Khusr Aur Damaad Waghairah Ke Saamne Apne
Jism Ka Wo Hissa Khula Rakh Sakti Hain Jisse Khula
Rakhe Baghair Wo Khaangi Umoor Anjaam Nahi De
Sakti'n.
Jaise Aataa Ghondhte Waqt Aastine'n Chadha Lena Ya
Ghar Ka Farsh Dhote Waqt Shalwar Ke Paainche Zara
Upar Chadha Lena Ke Jism Ke Ye Hisse Agarche Zinat Ke
Mawaqe Hain Lekin Inka "Har Ek Se" Har Haalat Main
Chupaye Rakhna Harje Azeem Aur Baa'ise Zehmat Hai.

10
Isiliye Hanafi Fuqaha-O-Mufassireen Ke Yaha'n Chehra
Aur Kafe Dast(Hatheliyo'n) Aur Pairo'n Ke Dekhne Ki
Ijazat Milti Hai. Lekin Khayal Rahe Ke In Aazaa Ki Taraf
Nazar Karna Ya Inka Khule Rakhna Sirf Aur Sirf Isi Surat
Me'n Jaaiz Hai Ke Kisi Fitna Ka Andesha Na Ho Warna
Chehra To Chehra Kafe Dast Ka Dekhna Aur Is Par
Nazar Jamana Bhi Jaaiz Nahi".
(Chadar Aur Char Diwaari, S"123)

Mazeed Farmate Hai, "Kisi Aurat Ke Liye Jaaiz Nahi Ke


Apne Husn -O- Jamaal Aur Aara'ish -O- Zaiba'ish Aur
Bana'o Singhaar Ki Numa'ish Ki Khatir Bhadh Ki Tarha
Muh Khole Aur Aawara Gardo'n Ki Nighaho'n Ko
Dawate Nazaara De,
Lagzisho'n Ka samaan Faraham Kare Aur Islami
Mu'Aashire Ko Daagdaar Banaye.

Khulasa -E- Kalam Ye Hai Ke Chehra Hatheliyaa'n Aur


Pao'n Ye Teeno(3) Aazaa-E- Satar Me'n Dakhil Nahi,
Inka Chupana Farz Nahi Magar Ajnabiyo'n Ke Liye
Khula Rakhna Zaroor Haram Hai .
(Aizan S:124)

11
Chaharum: Apne Dupatte Ya Chadare'n Apne Sino'n
Par Daale Rakhe Iska Khulasa Ye Hai Ke,
Aaqa -O- Maula ‫ ﷺ‬Ka Irshaad Hain, "Aurat , Aurat Hai
Yaani chupaane Ki cheez Hai, Jab Woh Nikalti Hai To
Use Shaytaan Jhaank Kar Dekhta Hai.
(Tirmizi)
Yaani Na-Mehram Aurat Ko Dekhna Shaytaani Kaam
Hai, Yu'n Bhi Kaha Ja Sakta Hai Ke, Shaytaan BadKaar -
O- Aawaara Mardo'n Ko Aurat Ki Taraf Ma'yil Karta
Hai Aur Bad'Nazri Ke Murtakib Hote Hain.
Chunke Aurato'n Main Aaraa'ish -O- Khud'Numaayi Ka
Shouq Jaldi Parwaan Chadta Hai Aur Ye Shouq Agar
Makhsoos Islaami Hudood Ka Paband Na Rahe To
Mu'Aashire Me'n Be-Hayaayi Aur Fahaashi Phailne
Lagti Hai. Isliye Allah Ta'Aala Ne Musalman Aurato'n
Ko Nigaah Ki Hifazat, Ismat -O- Paarsaayi Ki Hifazat Aur
Bana'o Singhaar Chupaane Ke Ahkaam Dene Ke Ba'd
Mazeed Taa'keed Farmayi Ke Woh Apni Chadare'n Ya
Dupatte Apne Sino'n Par Odhe Rakhe'n Taake
Aawaara Logo'n Ki Hawas_Naak Nazro'n Se Mahfooz
Rahe Aur Mu'Aashire Ki Paakeezgi Bhi Qayim Rahe. Is
Aayat Se Ma'loom Huwa Ke Sir, Gardan, Aur Sina
chupaana Farz Hai.

12
Aurato'n Ko Chahiye Ke Woh Dabeez Kapde Ke
Dupatte Ya Chadare'n Saro'n Par Is Tarah Odhe'n Ke
Inka Ek Hissah Pusht Par Rahe Aur Dusra Sina Par Rahe.
Is Tarah Sar Ke Balo'n Ki Rangat Bhi Nazar Nahi Ayegi
Aur Kamar ,Gardan , Kaan, Galaa Aur Sina Bhi Uryaa'n
(Be_Paradah) Na Rahenge.

Baqaule Mufti Sahab, "Goya Musalman Aurat Iffat,


Ismat -O- PaarSayi Ki Ek Chalti Firti Tasweer Aur Sharm
-O- Hayaa ki Ek Jeeti Jaagti Tanweer Ho, Sharm Ka
Mujassama , Hayaa Ki Putli".
Aap Mazeed Likhte Hai, Ba'z Riwayaat Me'n Aaya Hai
Ke (In Aayaat Ke Na'zil Hone Par) In Aurato'n Ne
Bareek Kapde Chhod Kar Apne Mote-Mote Odhe Jaane
Ke Qaabil Kapdo'n Se Apne Liye Dupatte Bana Kar
Saro'n Par Odhe.
(Ahkamul QurAan) Dupatte Ya Odhni Ke Is Tarah
Odhne Me'n Jo Hikmat Hai Woh Hai Islaami
Mu'Aashire Me'n Besh-Az-Besh Paakeezgi Aur Iffat
Sha'Aari Ka Riwaaj.

Ye Agar Zahen Nasheen Rahe To Ye Baat Ba'Aasani


Aadmi Samajh Sakta Hai Ke Aise Bareek Ghaas-Phoos
Dupatto'n Ka Istemaal Jin Se Baalo'n Ki Rangat Aur
Sinah Wagairah Ki Saakht Jhalke, Jo Maqsade Shar'a

13
Ko Pura Nahi Karte, To Inka Pahenna Na Pahenna
Brabar Hai. Phir Bhi Rasool'Allah ‫ ﷺ‬Ki Shari'ate
Mutehherah Ne Ise Hamari Kuj-muj Aql-O- Fahem Par
Na Chhoda Balke Saaf Tasreeh Farma Di.

Abu Dawood Shareef Me'n Hazrat Wahyah Kalbi


RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Marwi Hai Ke,
Rasool'Allah ‫ ﷺ‬Ke Pass Misr Ki Bareek Malmal Aayi.
Aapne Ek Tukda Us Me'n Se Mujhe Diya Aur Farmaya,
"Ek Hissah Ka Apne Liye Kurta Banalo Aur Ek Hissah
Apni Biwi Ko Dedo Ke Woh Dupatta BanaLe.
Magar Ise Ye Jata Dena Ke Iski Niche Ek Aur Kapda
Laga Le Taake Jism Ki Saakht Isse Na Jhalke.
(Chadar Aur Chaar Diwaari, S:126)

Aaqa -O- Maula ‫ ﷺ‬Ne Hazrat Asmaa RadiyAllahu


Ta'Aala Anha Se Farmaya, "Aurat Jab Baaligh Ho Jaye
To Uske Jism Ka Koyi Hissah Siwaaye Chehre Aur
Hatheliyo'n Ke Nazar Na Aaye.
(Abu Dawood)
Isi Tarah Aurato'n Ko Chust Kapde Pahenna, Jin Se
Jism Ka Naqshah Khinch Jaye Aur Azaa-E- Ki Haiyat
Numaya'n Ho, Bilkul Na'jaaiz Aur Aisi Haalat Me'n
Mardo'n Ko Unki Taraf Dekhna Haram Hai.

14
Panjum: Apna Makhfi Banao'n Singhaar Bhi Na-Zahir
Hone De Iska Khulasa Ye Hai Ke,
Zamane Jahiliyat Me'n Aurate'n Paazeb Waghairah
Pahen Kar Jab Mardo'n Ke Qareeb Se Guzarte'n To
Danista Apne Pao'n Zameen Par Marte Taake Mard
Aawaz Ko Sun Kar Unki Taraf Mutawajjih Hon. Islaam
Ne Aisi Tamam Zaleel Ishte'Aal Angez Harkaat Par
Pabandi Laga Di Jo Mu'Aashire Me'n Be-Hayayi
Phailane Ka Sabab Ban Sakhti Hain.

Nez Muslaman Khawateen Ko Ye Ta'aleem Di Ke Agar


Kabhi Shara'ee Uzr Ki Bina Par Ghar Se Bahar Nikalna
Pade To Shari'at -E- Mutehharah Ke Mutabiq Satar
Poshi Kar Ke WaqAar -O- Sanjeedgi Ke Sath Nikalna Aur
Har Us Cheez Se Bachna Jo Na-Mehramo'n Ko Tumhari
Taraf Mutawajjih-O-Maayil Karne Ka Baa'is Ho.

Aaqa -O-Maula ‫ ﷺ‬Ka Irshade Girami Hai, "Wo Aurat Jo


Ban Sanwar Kar Na-Mehramo'n Me'n Itra Itra Kar Chalti
Hai Wo Qayamat Ke Din Mujassam Tariki Ki Misl Hongi
Jaha'n Roshni Ki Koyi Kiran Tak Na Ho."
(Tarmizi)

15
Mufti Muhammad Khaleel Khan Qaadri Barkati
Farmate Hain, "Hadees Shareef Me'n Hai Ke Allah
Ta'Aala Us Qaum Ki Dua Qubool Nahi Karta Jiski
Aurate'n Jhaanjan (Aawaz Wala Zewar) Pahenti Hon".
Isse Ye Samajhna Chahiye Ke Jab Zewar Ki Aawaz Dua
Qubool Na Hone Ka Sabab Hai To Khas Aurat Ki Aawaz
Aur Uski Be-Pardagi Kaisi Tabahi Ka Ba'is Hogi?"
(Sunni Baheshti Zewar, H:2, P:202)

Aap Is Aayat Ki Tafseer Me'n Raqmtaraaz Hain,


"Aayate Kareema Ka Tarze Khitaab Saaf Bata Raha Hai
Ke Ye Muma'ni'at Sirf Paao'n Me'n Pahenne Wale
Zewraat Ki Aawaaz Tak Mahdood Nahi Balke Isse
Maqsood Har Aisi Harkat, Har Aise Aqdaam Aur Har
Aise Feal Se Rok Dena Hai. Jo Ajnabi Mardo'n Ki
Raghbat Aur Dil-Kashi Ka Baa'is Ho Aur Jo Aurato'n Ko
Na-Mehramo'n Ki Tawajjuh -O- ILtifaat Ka Markaz Bana
De. Isi Liye Shoukhe Rang, Bhadak Daar Libaas Istemaal
Karke Ya Tez Khushbu Laga Kar Aurato'n Ka Majma-ae
Aam Me'n Jana, Ya Aise Chust MalbuSaat Zebe Tan
Karke Ajnabiyo'n Me'n Guzarna Jinse Badan Ki Saakht
Numayaa'n Ho, Shari'ate Mutehharah Ko Ek Aankh, Ek
Aan Ke Liye Pasand-O-Gawara Nahi.

16
Chunanche Nabi Kareem Alaihi AfzalusSalaat Wa
Tasleem Ne Aurato'n Ko Hukm Diya Ke "Wo Khushbu
Laga Kar Gharo'n Se Bahar Naa Nikle'n Hatta Ke
Masjido'n Me'n Bhi Tez Khushbu Laga Kar Namaz
Padhne Ke Liye Na Jaye".

Abu Dawood Ibne Maja Me'n Marwi Hai Ke Ek Aurat


Masjid Se Nikal Kar Ja Rahi Thi. Hazrat Abu Hurerah
RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ka Iske Paas Se Guzar Huwa
To Aapne Use Rok Kar Daryaft Farmaya, Aye Khuda
Wande Jabbar Ki Bandi! Kya Tu Masjid Se Aarahi Hai?
Arz Kiya, Jee Haan.
Irshaad Farmaya, Me'n Ne Apne Mahbube Akram Abul
Qaasim ‫ ﷺ‬Ko Ye Farmate Suna Hai Ke Allah Ta'Aala Us
Aurat Ki Namaaz Qubool Nahi Farmata Jo Masjid Me'n
Tez Khushbu Laga Kar Jaye, Jab Tak Wo Ghar Aakar
Ghusle Janabat Na KarLe".

Imam Tirmazi Ne Riwayat Ki Ke Huzoor ‫ ﷺ‬Ne Farmaya,


"Jo Aurat Itr Laga Kar (Yani Kisi Tez Khushbu Me'n Khud
Ko Basa Kar) Mardo'n Ke Majme Se Guzre Taake Log
Uski Khushbu Se Lutf Andooz Hon (Aur Zahir Hai Ke Tez
Khushbu'o'n Main Khaas Kar Mardo'n Me'n Se Guzarna
Isi Maqsad Se Hota Hai) To Wo Aurat Aisi Aur Aisi
(Yaani Zaaniyah) Hai".

17
Mazkurah Aayate Kareema Se Ye Baat Bhi Mustanbat
Hoti Hai Ke Jab Zewar Ki Aawaaz Ka Ghairo'n Ke
Kaano'n Tak Ponhchana Shari'ate Mutehharah Ko
HarGiz Pasand Nahi, Balke Wo Iske Chupane Ka Is Qadr
Aehtamaam Karti Hai To Khud Uski Aawaaz Ka Ghairo'n
Ke Kaano'n Se Takrana Kis Qadr Naa-Pasandidah Hoga,
Phir Jab Iski Aawaaz Chupaane Ke Qaabil Hai To Surath
Kyun Kar Chupaane Ke Qaabil Na Hogi Ke Asl Fitnah Ka
Baa'is To Shakl-O-Surath Hi Hai.

Allah Allah ! Iffat-O-ParSaayi Aur Paak_Damani Ka Kis


Qadr Aehtamaam Hamari Shari'ate Mutehharah Me'n
Hai Aur Fitnah-O-Shar Ke Kaise Kaise Darwazo'n
Darwazo'n Aur Sawar-Khwo'n Ko Hamari Shari'ate
Kaamilah Ne Band Kar Diya Hai. Ek Taraf To Ye
Aehtiyaate'n Aur Paabandiyaa'n Hain Aur Dusri Taraf
Gaane Aur Tarah Tarah Ke Surele Baajo'n Ke Sath
Gaane Hi Ki Nahi Balke Mard -O- Aurat Ke Mushtarika
Naach Ki Aazadiyaa'n Hain! Dono'n Zindagiyo'n Ke
Nataayij Bilkul Zaahir Hain".

18
◆Chehre Ke Parde Ki Shara'ee Haisiyat◆

Sawal: Ba'z Khawateen Kehte Hai Ke Chehre Ka Pardah


Karne Ka Quran -O- Hadees Me'n Kahi Zikr Nahi Hai.
Aap Farmaiye Ke Maujuda Daur Ke Taqazo'n Ko Madde
Nazar Rakhte Huwe Parde Ke Ahkam Par Kis Had Tak
Amal Kiya Jana Chahiye??
Jawaab :Pehli Baat To Yeh Zahen Nasheen Rakhiye Ke
Hame Deene IsLaam Ke Mutabiq Amal Karna Chahiye
Na Yeh Ke Hum Deene IsLaam Ko Apni Marzi Ke
Mutabiq Dhaalne Ki Aarzu Kare.

Baari Ta'Aala Ka Irshade Girami Hai ,


"Jo Hukm Na Mane Allah Aur Uske Rasool Ka Wo
Beshak Sareeh Gumrahi Main Behka".
( Surah Al-Ahzab:36, Kanzul EEmAan )

Dusri Jaga Ye Hukm Farmaya Gaya Hai,


"Aur Jo Kuch Rasool Tumhe'n Ata Farmaye Wo Lo Aur
Jis Se Mana Farmaye Baaz Raho"
(Surah Al-Hashr:7, Kanzul EemAan )

19
Qabl Azee'n Surah Noor Me'n Satare Aurat Se
Muta'alliq Ahkaam Bayaan Kiye Gaye Ab Ham Khaas
Hijaab Se Muta'Alliq Guftagu Karte Hai Taake Un
Khawateen Ki Ghalat Fehmi Door Ho Jaye Jo Kehti Hain
Ke Chehre Ke Parde Ka Kahi Zikr Nahi Hai. Rabbe
Kareem Haq Ko Samajh Ne Aur Usper Amal Krne Ki
Taufiq Ata Kare.... Aameen

Irshade Bari Ta'Aala Huwa,


"Aye ( Gaib Batane wale ) Nabi ! Apni Bibiyo'n Aur
Saheb Zaadiyo'n Aur Musalmano'n Ki Aurto'n Se
Farmado Ke Apni Chadaro'n Ka Ek Hissah Apne Muh
Par Daale Rahe'n Ye Usse Nazdeek Tar Hai Ke Inki
Pehchan Ho To Satayi Na Jaye".
( Surah Al-Ahzabh:59, Kanzul Eemaan )

Ye Zimnan Ye Baat Arz Karta Chalu Ke Ba'z Jahla Aur


Ahle_Baite Athar Ke Dushman Sirf Sayyedah Fatima
RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ke Binte Rasool Hone Ke
Mudda'ee Hain Aur Nabi-E-kareem ‫ ﷺ‬Ki Digar Teen
Saheb Zaadiyo'n Ka Inkar Karte Hain.

20
Mazkurah Aayate Kareema par Ghaur Kijiye Is Main
Lafz "Banatika" Aaya Hai. Qur'Aane Kareem Ne Bint (Ek
Beti) Nahi Kaha Balke Jama Ka Lafz Banaat Istemaal
Farmaya Jisse Saabit Hota Hai Ke Aaqa -O- Maula ‫ ﷺ‬Ki
Ek Se Zyada Saheb Zaadiyaa'n The'n.

Sahi Riwayat Se Sabit Hai Ke Huzoor ‫ ﷺ‬Ki Chaar


Saheb-Zaadiyaa'n The'n.
• Hazrat Zainab
• Hazrat Ruqaiyah
• Hazrat Umme Kulsum
• Hazrat Fatima ( RadiyAllahu Anhunnah)
( Sirate Ibn Hishshaam, J:1, S-202)
(Tabqate Ibn Saad, J:1, S-133)
( Al-Isti'Aab , J:2 , S- 718 )

Shi'ah Firqah Ki Motabar Tareen Kitaab Usool Kaafi Se


Bhi Ye Baat Sabit Hai. Is Me'nn Tehreer Hai Ke, Hazrat
Khadija RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ke Batn Se Huzoor
Ki Yeh Aulaad Paida Huwi Bi'sat Se Pehle Qaasim,
Ruqaiyah, Zainab, Umme Kulsum Aur Bi'sat Ke Baad
Tayyab, Taahir Aur Fatima.
(Usoole Kaaafi, J:1 , S- 439 Mat'Bu'Aa Tehran)

21
Mudada'Ee LAakh Pe Bhari Hai Gawahi Teri

Ab Hum Apne Asal Mouzu Ki Taraf Lautte Hain.


Mazkurah Aayat Ki Tafseer Me'n Sayyedul Mufassireen
Sayyedina AbdullAh Ibn Abbaas RadiyAllahu Ta'Aala
Anhu Farmate Hai,
"Apni Chadare'n Apne Chehro'n Per Latkaye'n Yaani
Chehra ChupaLe'n Aur Chadaro'n Ko Is Tarah Odhe'n
Ke Sina, Shikm, Pusht Aur Gala Dhaka Rahe, Ye Is Liye
Behtar Hai Ke Wo Pehchani Jaaye Ke Wo Badkaar Nahi
Hain..
(Tanvirul Maqyaas Zere Aayat Haaza)

Hazrat Qatada Ibn Jareer Tabri, Ibn Abi Haatim Aur


Marduya RahmahuMullAh Ne Bhi Is Aayat Ki Yahi
Tafseer Bayan Ki Hai.

Allama Abu Bakar Hasaas RehmathullAhi Alaih


Farmate Hai,
"Ye Aayat Is Baat Ki Daleel Hai Ke Jawan Aurto'n Ko
Na-Mehramo'n Se Chehra Chupane Ka Hukm Hai..
(Ahkamul Qur'Aan, J:3, S:458 )

22
Imam RAazi RehmathullAhi Alaih Raqm Taraaz Hain,
Yeh Hukm Is Liye Diya Gaya Taake Logo'n Ko Ma'loom
Ho Jaye Ke Yeh Badkaar Aurte'n Nahi Hain Kyun Ke Jo
Aurat Chehra Chupa Rahi Hai Halake Yeh Satar Me'n
Dhakill Nahi. To Isse Ye Tawaqqu Kaise Ki Ja Sakti Hai
Ke Wo Apna Satar Ghair Ke Samne Zaahir Karne Par
Raazi Hogi.
(Tafsire Kabeer, J:6, S:591)

In Dala'il Se Saabit Hogaya Ke Musalman Aurate'n Jab


Kisi Shara'ee Zarurat Ke Tahet Ghar Se Bahar Nikle'n
To Inka Sara Jism Kisi Badi Chadar Ya Burqa Se Dhakaa
Huwa Hona Chahiye, Chehra Bhi HijAab Me'n Chupa
Huwa Ho, Sirf Aakhe'n Khuli Rakhne Ki Ijazat Hai.
Jaisa Ke Hazrat Ibn Sireen RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne
Hazrat Ubaidatul Salmani RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se
(Jo Faqiyah Taaba'ee The) Riwayat Kiya Hai.

Allama Ibn Hayyan Farmate Hain Ke Andlas Me'n


Musalmaan Aurte'n Istarah Pardah Karti Hai Ke Inka
Saara Chehra Chupa Hota Hai Sirf Ek Aankh Khuli Hoti
Hai.
(Behre Muheet )

23
Maujuda Daur Ke Halaat -O- Waqi'aat Ke Tanazur Me'n
Dekha Jaye
To Aurat Ko Shadeed Majburi Ke Siwa Ghar Se Nikalna
Hi Nahi Chahiye, Isi Me'n Aurat Ki Bhalayi Aur Ismat -
O- Aabru Ki Salamti Hai.

Allah Ta'Aala Azz-O-Jal Ka Irshaad Hai,


"Apne Gharo'n Me'n Thehri Raho Aur Be-Pardah Na
Raho Jaise Agli Jahiliyat Ki Be-Pardagi".
( Surah Al-Ahzab:33 Kanzul EEmaan)

Agli Jahiliyat Se Muraad Islam Se Qabl Ka Zamana Hai,


Us Zamane Me'n Aurte'n Itraati Nikalti Thi Aur Apni
Zinat-O-Muhaasin Ka Izhar Karti Thi Taa Ke Ghair Mard
Dekhe'n.
Libaas Aise Pahenti Thi Jis Se Jism Ke Aaza Acchi Tarah
Na Dhaken.
Aur Pichhli Jahiliyat Se Aakhri Zamana Murad Hai. Jis
Me'n Logo'n Ke Af'aal Pehlo'n Ke Misl Hojayenge..
(Tafseer Khaza'yin-ul-Irfaan)

24
Hazrat Aaisha Siddiqua Radiyallahu Ta'Aala Anha Ki
Bargah Me'n Banu Tameem Qabile Ki Chand Aurte'n
Aayi Jinhone'n Baareek Libaas Pehna Huwa Tha. Aap
Ne Unse Farmaya, "Agar Tum Eemaan Waali Aurte'n
Hoto Jaan Lo Ke Ye Libaas Momin Aurto'n Ka Nahi Hai
Aur Agar Tum Momin Nahi Hoto Phir Jo Chaho Karo".
(Tafsire Qurtabi )

Hazrat Fatima RadiyAllahu Ta'Aala Anha Ka Ye Irshaade


Giraami Bhi Peshe Nazar Rakhiye Ke Jab Inse Pucha
Gaya, Aurato'n Ke Liye Konsi Baat Sab Se Behtar Hai?
To Aapne Farmaya, "Na Wo Ghair Mardo'n Ko Dekhe'n
Aur Na Hi Ghair Mard Unhe'n Dekhe'n".
(Sunni Baheshti Zewar, S:204, Ba'Hawala Daar Qatni)

Aalahazrat Imam Ahmad Raza Bareillvi RadiyAllahu


Ta'Aala Anhu Imam Faqiyah Abu Lais Aur Fath-ul-
Qadeer Waghairah Kutube Fiqh Ke Hawale Se Likhte
Hain Ke Shauhar Ke Liye Jaaiz Hai Ke Wo Apni Biwi Ko
Saat Mauqa Par Ghar Se Nikalne Ki Ijazat De.

1) Waledain Ya In Me'n Se Kisi Se Mulaqaat (Hafta


Main Ek Bar Din Bhar Ke Liye)
2) Unki Eyaadat

25
3) Unki Taa'Ziyat
4) Digar Mehram RishtaDaro'n Se Mulaqaat, (Saal Me'n
Ek Baar, Din Hi Ke Waqt Me'n)
5) Agar Daaya Ho Yaa
6) Murdah Nehlane Wali Ho Ya
7) Uska Kisi Dusre Par Haq Ho Ya Dusre Ka Us Par Haq
Ho.

In Aakhri Teen Surtho'n Me'n Baa-Ijazat Aur Zaruratan


Bila-Ijazat Bhi Nikal Sakti Hai, Hajj Bhi Isi Hukm Me'n
Hai, In Mauqa Ke Elawa Ajnabiyo'n (Aur Ghair Mehram
RishtaDaro'n) Ki Mulaqaat Unki Eyaadat Aur Unke
Yaha'n Ghami Yaa Shadi Main Shirkat Ke Liye Shauhar
Ijazat Na De Agar Ijazat Di To Dono'n Gunehgaar
Honge.
(Jamal Al-Noor Fee Nahi Al-Nisaa Ziyaratul Quboor)

Ab QurAan -O- Sunnat Se Pesh Kardah Dala'il Ki


Roshni Main Parde Se Mutalliq Ahkaam Ka Khulasa
Mulahezah Farmaiye...

1)Khawateen Jab Kisi Shara'ee Zarurat Se Bahar Nikle'n


To Pehle Apna Jism Kisi Badi Chadar Ya Burqa Se Acchi

26
Tarah DhaanpLe'n Aur Chehra Bhi ChupaLe'n, Sirf
Aankhe'n Khuli Rakhne Ki Ijazat Hai.

2) Ye Bhi Khayaal Rakhe'n Ke Inka Bana'on Singhaar


Kisi Par Zaahir Na Hone Paye. Is Me'n Har Wo Cheez
Aajati Hai Jo Ghair Mardo'n Ke Liye Aurat Ki Taraf
Ragbat Ka Baa'is Ho.

Jaise Khushbo, Zewar, Naaz-O-Ada Se Chalna Aur


Parde Ke Liye Odhi Gayi Chadar Ka Munaqqash -O-
Jaazib Nazar Hona Waghairah Ke Ye Sab Baate'n
Mardo'n Ko Mutawajjih Karne Ka Baa'is Hoti Hain.

3) Aurat Kahi Tanha Na Jaye Iske Saath Mehram Hona


Chahiye. Shari'ate Mutehharah Ne Hajj Jaisi Azeem
Ibaadat Ki Adaayengi Ke Liye Bhi Aurat Ke Sath
Mehram Ka Hona Zaruri Qaraar Diya Hai.
Is Purfitan Daur Me'n Aehtiyaat Ka Taqaza Yahi Hai Ke
Aurat Ghar Se Bahar Kahi Bhi Jaye Mehram Ke Saath
Ho.

27
Hadees Shareef Me'n Aaya Hai, Jab Koyi Mard Ghair
Aurat Ke Sath Tanhayi Me'n Hota Hai Waha'n Tisra
Shaytaan Zaroor Hota Hai.
(Tirmazi) Yaani Mard -O- Aurat Ki Tanhayi Me'n
MuLaqaat Ke Waqt Shaytaan Zaroor Asar Andaaz Hota
Hai.

Mujaddide Deen -O- Millat Imam Ahle_Sunnat


AalaHazrat Imam Ahmed Raza Khan Bareilwi
RadiyAllyAllahu Ta'Aala Anhu Apne Ek Fatwe Me'n
Farmate Hain, Fitnah Wahi Nahi Ke Aurat Ke Dil Se
Paidah Ho, Wo Bhi Hai Aur Sakht Tar Hai Jis Ka
Faasiqo'n Se Aurat Par Andesha Ho, Yaha'n Aurat Ki
Salaah Kya Kaam Degi ??
(Jamal Al-Noor)
Dusri Jaga Farmate Hain, "Salma PaarSa Hai Haan!
PaarSa Hai WA-BARA'KALLAH (Allah Uski Paarsaayi
Me'n Barkat De) Magar Jaane Biradar! Kya Paarsaaye'n
Maasoom Hoti Hain? Kya Sohbate Bad Me'n Asar
Nahi ?
Aurat Ka Aurat Ke Saath Hona Ziyadate Aurat Hai Na
Ke Hifazat Ki Surath, Sone Par Jitna Sona Badhta Jaye
Muhafiz Ki Zarurat Hogi Na Ye Ke Ek Toda Dusre Ki
Nigehdaasht Hogi.
(MarujunNisaa Al-KharujnuNisaa)

28
4)Aurat Kisi Na-Mehram Ke Sath Na Cchuye Isliye Aurat
Kisi Aisi Jaga Hargiz Na Jaye Jaha'n Mard-O-Aurat Ka
Aazaadna Ikhtelaat Ho Aur Hujoom Ke Baa'is Na-
Mehramo'n Se Jism Takrana Ka Aehtamaal Ho.
Hazrat Abu Aseed Ansari RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se
Marwi Hai Ke Aaqa-O- Maula ‫ ﷺ‬Ne Aurato'n Se
Farmaya, " Tum Raste Ke Darmiyaan Me'n Na Chalo
Balke Kinaro'n Par Chala Karo ".
Is Irshaade Mubaraka Ke Ba'd Aurate'n Diwaro'n Ke
Sath Chalte'n Yaha'n Tak Ke Unke Kapde Diwaro'n Ke
Sath Lag Rahe Hote The.
(Abu Dawood)

5) Aurat Ki Aawaaz Aur Lehja Ki Qudrati Narmi Aur


Nazakat Mard Ki Nafsaani Khwahishaat Ubhaar Ne Ka
Baa'is Ban Sakti Hai. Isliye Aurato'n Ko Chahiye Ke Jab
Kisi Na-Mehram Se Kisi Haqiqi Zarurat Ke Tahet
Guftagu Karni Pade To Puri Aehtiyaat Se Saadah Lehje
Me'n Ba'qadre Zarurat Baat Kare.

Jaisa Ke Irshaad Baari Ta'Aala Hai, Agar Allah Se Daro


To Baat Me'n Aisi Narmi Na Karo Ke Dil Ka Rogi Kuch
Lalach Kare, Haan Acchi Baat Kaho ".
(Surah Al-Ahzaab:32, Kanzul Eemaan)

29
Sadrul Afazil Farmate Hain, Agar Kisi Zarurat Ke Tahet
Ghair Mard Se Pase Pardah Guftagu Karni Pade To
Koshish Karo Ke Lehje Me'n Nazakat Na Aane Paye Aur
Baat Me'n Lauch Na Ho, Baat Nihayat Saadgi Se Ki Jaye,
Iffat Ma'Aab Khwateen Ke Liye Yahi Shaayaan Hai.
(Khazayinul Irfaan)

30
◆Kya Be-Pardagi Hamari Zarurat Hai?

Sawaal : Ba'z Logo'n Ka Khayaal Hai Ke" Moujuda


Taraqqi Yaafta Daur Me'n Be-Pardagi Hamari Zarurat
Ban Chuki Hai, Makhlute Muhafil Me'n Ladkiyo'n Ko
Aara'ish -O- Zinat Ke Sath Lekar Jayege To Unke Liye
Rishte Aayege, Waise Bhi Chadar Ya Dupatta Na Lena
Koyi Kufr -O- Islaam Ka Mas'alah To Nahi Hai. QurAan -
O- Sunnat Ki Roshni Me'n Is Khayal Ki Kya Haisiyat Hai?
Jawaab : Sabse Pehle To Ye Jaan Lijiye Ke Shari'ate
Mutehharah Ke Kisi Bhi Hukm Ki Tauheen Ya Use Halka
Janne Ka Kya Hukm Hai!
Sadrushshariah Likhte Hai, "Kisi Shakhs Ko Shari'at Ka
Hukm Bataya Ke Is Mu'aamilah Me'n Ye Hukm Hai,
Usne Kaha, Ham Shari'ate Par Amal Nahi Karege, Ham
To Rasm Ki Pabandi Karege. Aisa Kehna Ba'z
Mashaayikh Ke Nazdeek Kufr Hai".
(Bahar -E- Shari'at, J:1,H:9, S:132 Ba-Hawala Fatawa
AalamGiri)

Ab Sharm-O-Haya Aur Ghairat Ke Muta'alliq QurAan-O-


Sunnat Ke Anwaar Mulaheza Farmaiye.....

31
Irshaade Baari Ta'Aala Huwa,
"Tum Farma'o Mere Rab Ne To Be-Hayaayiyaa'n
Haraam Farmayi Jo In Me'n Khuli Hain Aur Jo Chupi".
(Surah Al-Aaraaf:3, Kanzul Eemaan)

Habibe Kibriyaa ‫ ﷺ‬Ka Farmane Aalishaan Hai,


"Ghairat Eemaan Ki Alaamat Hai. Aur Be-Ghairati
Nifaaq Ki Nishaani Hai".
(Baihaqi)

Dusri Jaga Irshaad Huwa ,


"Allah Se Zyada Koyi Ghairat-Mand Nahi Isi Liye Usne
Zahir-O-Poshida Har Qism Ki Be-Hayaayiyo'n Ko
Haraam Farma Diya Hai".
(Bukhari,Muslim)

Ek Aur Hadeese Paak Me'n Farmaya Gaya,


"Eemaan Aur Hayaa Dono'n Saathi Hain Jab Ek Yaani
Hayaa Chali Jaaye To Dusra Yaani Eemaan Bhi Chala
Jata Hai.
(Mishkaat)

32
In Ahadeese Mubaraka Se Ma'loom Huwa Ke Eemaan
Wale Ghairat Mand Hote Hain Aur Ghairat Ka Taqaaza
Ye Hai Ke Zaahir -O- Poshidah Tamaam Be-Hayayiyo'n
Se Nafrat Ki Jaye Aur Be-Pardagi To Aisi Khuli Be-
Hayaayi Hai Ke Hadeese Paak Me'n Irshaad Huwa,
"(Bila Uzr) Na-Mehram Ko Dekhne Wale Par Aur Jise
Dekha Jaye Uspar Bhi (Jabke Wo Qasdan Khud Ko
Dikhaye) Dono'n Par Allah Ki Laa'Nat Hai".
(Mishkaat)

Mufti Khaleel Khaan Qaadri Farmate Hain, "Kaha To


Shari'ate Mutehhara Ki Ye Taakeed Ke Aurat Halki
Khushbo Istemaal Kare Ke Tez Khushbo Se Ghair Mard
Uski Janib Mutawajjih Honge Aur Kaha Bebaki -O- Khud
Numayi Ki Ye Numa'ish Ke Aadhe Sar Ke Baal Aur
Kalaiyaa'n Aur Kuch Hissah Gale Ya Pindli Ka Khula
Rehna To Goya Koyi Aeb Hi Nahi. Aur zyada Baankpan
Hawa, Numa'ish Ka Shouq Badha To Dupatta Dhalka
Huwa, Kareeb Ya Jaali Ya Bareek Malmal Ya Nazuk
waayil Ya Aur Aise Hi Kapdo'n Ka Libaas, Kurte
Qameez, Jampar Faraak Jisse Badan Ki Rangat Chamke
Aur Is Haalat Me'n Inka Ghairo'n Me'n Jana, Ajnabiyo'n
Me'n Phirna, Ghair Mardo'n Ke Sath Bazaro'n Aur Aam
Guzar gaho'n Me'n Khareed-O-Farokht Karna; Kaha To
Aurato'n Ka Apne Muhalle Ke Masjid Me'n Ghar Ke
Darwaze Par Do Qadam Ke Fasle Par Jana Mamno -O-

33
Na-Jaaiz Aur Kaha Ser Tamashe, Baaje Taash Ki
Mehfilo'n Me'n Majliso'n Me'n Badhti Huwi Be-
Hayaayiyaa'n Aur Parwaan Chadti AawaraGiyaa'n! Kaha
To Hadees Me'n Ghairo'n Ke Ghar To Ghair'on Ke
Ghar, Jaha Na Apna Qaabu Na Apna Guzar, Apne
Makano'n Ki Nisbat Aaya Ke Aurato'n Ko Baka Khano'n
(Upri Manzil) Par Na Rakho" Ke Na-Mehramo'n Ki
Nazare'n In Par Ya Inki Nazre Un Par Padegi, Aur Kaha
Cinema, Thetor, Paap Ghar Aur Parko'n Clubo'n Me'n
Uryaniyaa'n Aur Bad-Lihaziyaa'n.

Khayaali Roshni, Roshan Khayaali Aaj Kal Ki Hai


Dilo'n Se Slb Usne Kar Liya Hai Noore Eemaani

Hazrat Abu Hurerah RadyiyAllahu Ta'Aala Anhu Se


Riwayat Hai Ke Rasool'Allah ‫ ﷺ‬Ne Farmaya,
"Dozakhiyo'n Me'n Do(2) Giroh Hain. In Me'n Ek Un
Aurato'n Ka Hai Jo Ba'Zaahir To Kapde Pahenti Hain
Magar Haqiqat Me'n Nangi Hain.
Yaani Is Qadar Bareek Aur Aisi La'Parwahi Se Kapde
Pahenti Hain Ke Unka Badan Chamakta Hai Aur Kahi Se
Khula Hota Hai, Kahi Se Chupa Huwa. Wo Khud Bhi
Dusre Mardo'n Ki Taraf Raghbat Karti Hain (Ke Bana'o
Singhaar Karke Dusro'n Ka Dil Lubhaati Ya Sar Se
Dupatta Utar Dalti Hain Taake Dusre Unka Chehra

34
Dekhe'n) Aur Matak Matak Kar Chalti Hain (Taake
Dusro'n Ko Farifatah Apni Taraf Maayil Kare'n) Ye
Aurate'n Hargiz Jannat Me'n Daakhil Na Hongi Aur
Jannat Ki Khushbu Bhi Na Paayegi Halanke Jannat Ki
Khushbu Bahot Door Se Ma'loom Hojati Hai Aur Door
Door Tak Phelti Hai".
(Mishkaat)
(Sunni Baheshti Zewar, H:2 , S:206-207)

Hamare Mu'Aashire Me'n Aksariyat Aise Logo'n Ki Hai


Jo Apni Biwi Ke Kehne Par Khilaafe Shar'aa Kaamo'n Ka
Irtekaab Karte Hain Aur Apni Biwi Aur Betiyo'n Ki Be-
Pardagi Par Raazi Ho Kar Ghairate Eemaani Se
Mehroom Hojate Hain. Halanke Allah Ta'Aala Ne Mard
Ko Aurato'n Par Haakim Bana Kar Fazilat Ata Farmayi
Hai.
Ba'z Jaga Ye Bhi Dekha Gaya Hai Ke Biwi Nek Hai Aur
Ghairate Eemaani Se Mehroom Shauhar Use Be-
Pardagi Par Majbor Karta Hai Aise Shakhs Ko Rahmate
Aalam ‫ ﷺ‬Ne Daiyus(Be-Haya) Kaha Aur Farmaya Daiyus
Par Jannat Ki Khushbu Haraam Hai.
(Mishkaat)

35
Akbar ELa Aabadi Ne Khoob Kaha Hai,

Be-Pardah Jo Kal Nazar Aaye'n Chand Bebiyaa'n


Akbar Zamee'n Me'n Ghairate Qaumi Se Gid Gaya
Pucha Jo Unse Aapka Pardah Wo Kya Huwa?
Kehne Lagi Ke Aql Pe Mardo'n Ki Pad Gaya

Sawal Me'n Mazkorah Khayal Ke Betiyo'n Ko Zaib-O-


Zinat Ke Sath Be-Pardah Rakhne Se Rishte Aate Hain,
Shaytaan Ka Dhoka Hai. Agar Mahez Is Qism Ki
Nafsaani Khwahishaat Aur Lagu Ta'wilaat Ke Zariye
Haraam Ko Halaal Kiya Jane Lage To Phir Shara'ee
Aehkaam Badalne Ka Kabhi Na Khatm Hone Wala
Silsilah Jari Hojayega.

Mazeed Ye Ke Jis Shadi Ke Liye Bunyad Haraam Kaam


Par Rakhi Ja Rahi Ho Uske Bare Me'n To Yahi Kaha Ja
Sakta Hai Ke:

JO SHAAKH NAZUK PE AASHIYANA BANEGA NAA


PAIDAAR HOGA!

36
Haan Albatta Acche Rishte Ke Liye Shari'ate
Mutehharah Ke Mutabiq Zaroor Koshish Karni Chahiye
Jo Allah Ta'Aala Ne Muqaddar Kiya Hai Wo Zaroor
Milega.

AalaHazrat Imam Ahmad Raza Bareillvi RadiyAllahu


Ta'Aala Anhu Farmate Hain, "Dulhan Ko Sajana To
Musalmano'n Me'n Qadeem Se Raa'ij Aur Bahot Si
Ahadees Se Sabit Hai Balke Kuwari Ladkiyo'n Ko Zewar-
O-Libaas Se Aaraasta Rakhna Ke Unke Liye Rishte Aaye
Ye Bhi Sunnat Hai Balke Aurat Ka Qudrat Rakhne Ke
Ba'wajood Bilkul Be-Zewar Rehna Makruh Hai Ke Ye
Mard Se Mushabahat Hai.

Ummul Momineen Hazrat Aaisha Siddiqua RadiyAllahu


Ta'Aala Anha Aurat Ka Be-Zewar Namaz Padhna
Makruh Jante'n Aur Farmate'n Ke Kuch Aur Na Mile To
Durahi Gale Me'n BandhLe. Bajne Wala Zewar Aurat Ke
Liye Is Halaat Me'n Jaaiz Hai Ke Na-Mehramo'n Jaise
Khala Mamu'n Chacha Phuphi Ke Beto'n, Jeth, Dewa,
Behnawi Ke Samne Na Aati Ho Aur Na Uske Zewar Ki
Jhankaar Na-Mehram Tak Pohche".
(Fatawa Razwiyah)

37
AalaHazrat Qudda Sirrahu Ne Kuwari Ladkiyo'n Ko
Zewar Aur Umda Libaas Se Aaraasta Rakhne Ki Talqeen
Isliye Farmayi Ke Khandaan Ki Digar Khwateen Unhe
Dekhegi To Apne Ladko'n Ke Liye Rishta Ka Paighaam
Degi Ya Digar Milne Walo'n Ko Is Taraf Mayil Karegi Aur
Shurfa Ke Haan Isi Tarah Rishte Tay Kiye Jate Hai.

Ab Raha Ye Sawal Ke Kya Shadi Ke Qabl Ladka Ladki Ko


Dekh Sakta Hai? Is Mas'ale Ki Wazahat Ke Liye QurAan-
O-Hadees Se Chand Dalayil Peshe Khidmat Hain.

Irshad Baari Ta'Aala Hai,


"Aurato'n Me'n Se Jo Pasand Aaye Usse Nikah Karo.
(Surah Al-Nisaa:30)

Is Aayate Kareema Se Irshadatan Dekhne Ki Ijazat Milti


Hai Kyunke Pasand Karna Dekhne Par Munhasir Hai.
Iski Taayeed Mandarjazail Ahadees Se Bhi Hoti Hai.

Ek Shakhs Ne Nabi Kareem ‫ ﷺ‬Ki Bargah Me'n Arz Kiya,


Yaa RasoolAllah ‫ ! ﷺ‬Main Ek Ansari Aurat Se Shadi
Karna Chahta Hon, Aapne Farmaya, "Use DekhLo".
(Muslim)

38
Aaqa-O-Maula ‫ ﷺ‬Ka Irshaade Girami Hai, "Jab Tum
Me'n Se Koyi Kisi Aurat Ko Nikah Ka Paighaam Dene
Lage To Agar Usko Dekhna Mumkin Hoto Zaroor
DekhLe".
(Abu Dwood)

Ek Sahabi Se Sarkaar Do Aalam ‫ ﷺ‬Ne Farmaya,


“Tum Jisse Nikah Karna Chahte Ho Use DekhLo, Is
Tarah Tumhare Darmiyaan Muhabbat-O-Ulfat
Badhegi".
(Tirmazi)

In Ahaadees Se Ma'aloom Huwa Ke Nikah Se Qabl


Aurat Ki Deendaari, Paarsaayi Aur Hasab Nasab Ke
Elawa Surat Ka Bhi Lihaaz Rakhna Chahiye. Aur Iske Liye
Aurat Ko Shadi Se Qabl Dekh Lene Me'n Koyi Harj Nahi.
Kyunke Shadi Ke Ba'd Agar Wo Pasand Na Aayi To
Zindagi Talkh Hojayegi. Lihaza Aam Haa'Laat Me'n
Shara'ee Hukm Yahi Hai Ke Na-Mehram Ko Na Dekha
Jaye. Lekin Shadi Ke Ba'd Ki Talkhiyo'n Fitnah-O-Fasaad
Se Bachne Ke Liye Shari'at Ne Itni Gunja'ish Rakhi Hai
Ke Jab Aurat Ki Paarsaayi , DeenDaari Aur Hasab Nasab
Ke Mu'ta'alliq Itminaan Hojaye To Aurat Ko Ek Nazar
Dekh Liya Jaye Aur Dekhne Me'n Bhi Aurat Ki Sharm-O-

39
Haya Aur Apne Ghairat -O-Waqaar Ko Malhoze Khaatir
Rakha Jaye.

Zamnan Ye Baat Arz Karna Zaruri Hai Ke Ba'z Log


Ghurbat Ya Maal Ki Kami Ke Ba'is Shadi Nahi Karte.
Ladki Wale MaalDaar Ladka Chahte Hai To Ladke Wale
Bhi Zyada Jahez Wali Ladki Talaash Karte Hain.

Huzoor Akram ‫ ﷺ‬Ka Farmane Aalishaan Hai, "Aurat Se


Chaar(4) Cheezo'n Ki Waja Se Nikah Kiya Jata Hai.
1) Maal -O- Daulat,
2) Hasab Nasab,
3) Husn-O-Jamaal Aur
4) DeenDaari.
Tumhe Chahiye Ke DeenDaari Ko Tarjee'a Do".
(Bukhari-O-Muslim)

Hazrat Abu Bakar Siddeeque RadiyAllahu Ta'Aala Anhu


Ka Irshad Hai, "Allah Ta'Aala Ne Tumhe Jo Nikah Ka
Hukm Farmaya Hai Uski Itaa'at Karo, Usne Jo Ghani
Karne Ka Wada Kiya Hai Pura Farmayega.

Allah Ta'Aala Ne Farmaya, " Agar Wo Faqeer Honge To


Allah Unhe Apne Fadl Se Ghani Kardega".

40
(Surah Al-Noor:33)
(Bahare Shari'at, Hissa:7, Safa:2, Bahawla Ibne Abi
Haatim)

[Surah Noor Me'n Parde Ke Ahkaam Ye


Topic Khwateen Ke Masa'il Musannif:
Hazrat Allama Sayyed Shah Turab-ul-Haq
Qadri Sahab Alaihirrahmah Ke Kitab Se
Liya Gaya Hai]

41
By: Gulshan-E-Fatimah
With The Blessings Of Huzoor TajushSharia Maddazillahu Noorani

Translitrated (Roman Urdu)


by:Faqeera -E- Qadriyah Kaneez Fatima Ridawiyah

Feel Free to Contact Us


razvishairnibareillvi@gmail.com

Follow Us On Social Sites:

Blogger :
gulshan-e-fatimah.blogspot.com

FaceBook Page :
https://www.facebook.com/KaneezeAalaHazrat/

Instagram :
https://www.instagram.com/gulshanefatimah/

YouTube :
https://www.youtube.com/channel/UCf1izVusAfFInLNoTD6HA5g

42

You might also like