You are on page 1of 12

Govardhan Leela

First Scene: Indra Sabha

1) Indra sabhi devataao ke sath virajman hai

Sabha me unake sevak Samvartak aate hai

1st Samvartak : Shaktishali devo ke raja devraj Indra ki jai ho!

Indra : Aao Samvartak Kya samachar laye ho

1st Samvartak : Pranam Dev Raj indra – Prithivi par sabhi gaaowale aapko prasann karane ke
liye yagya ki tayariya kar rahe hai, tarah tarah ke vyanjan banakar aapko aprit kar rahe. Ye runni
log aapka abhar prakat karane ke liye sab taraf ektrit hue hai.

Indra: Hmmmmm hona bhi chaiye inaki khushhali mere hatho me hai. Enhe gyat hona chaiye
me barish ka strot hu. jo inake kheto aur bandaro ko ann se barati hai. Jisaki vajah se unaka
palan poshan hota hai

Indra ek fal usaki taraf fekata hai

Ye lo mere bhakto dvara chadaye hue chadave ka anand lo aur jao jo log mere liye yagya kar
rahe hai unako varsha pradan karo

2nd Samvartak (Sevak) pravesh karate hai sabha me

2nd Samvartak: Pranam Devraj indra

Indra: Kaho Tum Kya samachar laye ho ?

2nd Samvartak : Shama Chahta hu devraj indra par ye samachar aapko vichlit kar sakta hai.

Indra: Ab ye mat kahena tumane galati se ek aur gao ko badd se dubo diya , ye bat man se nikal
do –ha ha ha ha

2nd Samvartak : Mujhe dar hai ki aap iss samachar se bahut krodhit ho jayenge , devraj prithvi
se lotate hue mene dekha vrindavan me Krishna nam ka ek balak vrindvan vasiyo ko appaki
nahi, govardhan parvat ki pooja karane ki salah de raha tha. Mujhe dar hai ki wo log us nadan
balak ke bahkave me aake aapaka uphas na kar bethe.
Indra ye sunake gusse me lal ho jata hai – hath me pakadi hui vastu ko fenk deta hai.

Indra: Kya !! Govardhan parvat ki pooja… ,meri pooja na karake ek mitti ke der ki pooja .
Vo aisa nahi kar sakate. Us murkh balak Krishna ke bahkave me aake agar unhone meri pooja
na karake us mitti ke der ki pooja ki to isaka parinam unako bhugtana padega ..
Indra- jao unape najar rakho, agar unhone us govardhan ki pooja ki to pure vrindavan ko paani
me dubo do. Me unape aisa kaher barsuanga ki unaki akal thikane aa jayegi.. jaooooo

Narration: 5 hajar varsh pahlein jab dharti paap ke boj se gara uthi thi. Apni shakti ke ghamand
mein chur atatai rakshasa aur kans jaise rajao dharti par atyachar aur vidvansh ka tandav kar
rahein the. Satya dharma aur nyay dirdoshe ke rakt mein lat pat pade the tab bhagavan Sri
Krishna apne bhakt ko bachane aur rakshash ka nash karne avatarit hote hein..

Just after birth of Krishna Vrindavan and its residents were attacked by various demons sent my
Kans like Putana, Tranvarta, Aghasura, Dhenuka sura. Whenever Vrindavan people were in
trouble Krishna always protected them and killed all the demons. His sweet pastimes attracted
all the Vrindavan Vasi and they would always be eager to talk about him and listen about his
pastimes.

कृ ष्ण ka जन्म hotein ही वृंदावन और unke निवासियों पर विभिन्न राक्षसों ne हमला किया, जैसे पुटाना, त्रंवरा, अघासुरा, धेनुका
सुरा। जब भी वृंदावन के लोग मुसीबत में थे कृ ष्ण ने हमेशा उनकी रक्षा की और सभी राक्षसों ka vadha kiya. Krishna
bhagvan ki मधुर लीलाओं ने सभी वृंदावन वासी को आकर्षित kar diya. वे हमेशा उनके बारे में बात करने और उनके लीलाओं के
बारे में सुनने के लिए उत्सुक रहते थे।

The main purpose of Krishna’s advent was giving protection to the devtoees.
He protected his devotees not just from demons but also from false pride.
Let us see how he protected Lord Indra from falling into prey of pride

कृष्ण के आगमन का मु ख्य उद्दे श्य भक्तों को सु रक्षा प्रदान करना था। उन्होंने अपने भक्तों को न केवल राक्षसों से , बल्कि झठ
ू ी
शान से भी बचाया। आइए दे खें कि उन्होंने भगवान इं दर् को अभिमान के शिकार होने से कैसे बचाया

Scene 2 Vrindavan Gao - Indra yagya ki tayariya


Sloka recitation is going on pandit doing havan and puring ghee… Vrindavan vasi getting each
pot and keeping beside the havan…

Balram: Krishna, sabhi log Indra dev ki prasannata ke liye yagya tayariya kar ranhe hai

Krishna : Ha dau , Janata hu.

Balarama- Par isaki kya aavshkta hai - jo tumari bhakti karate hai use kisi or ki Pooja karane ki
koi avashkta nahi hai. Tum hi to sari shristhi ke sanchalak ho tumhare davara sompe gaye karya
ka nirvah karana hi sabhi devi devatao ka kartavya hai aur Devraaj Indra usi kartavya ka palan
kar rahe hai.

Vrindavanvasi tumase ananya prem karate hai tumari bhakti karate hai enhe ye sab karane ki

koi avashkta nahi.

Krishna – Sahi Kah rahe dau aap.

Indra bhi merea hi bhakta hai , par useuse उसे उन शक्तियों पर bahut गर्व है , जिन्हें वह bhool gaya
hein ये शक्तियाँ मे रे द्वारा सशक्त हैं use lagta hein ki वह सभी यज्ञों के प्रमुख लाभार्थी हैं

lagata hai usaki ki wajah se prthvi par Varsha hoti hai aur use is bat ka ahankar ho gaya hai–
wo apane aapko sarvashtishali samajhane laga hai. is ahankar se use bachana hoga.

Dau

Apane bhakto ki raksha aur dushto ka nash karane ke liye hi to me prthvi par avtarit hota hu .
Indra dev mere Priya bhakt hein aur unke iss ahankar ko todakar unki raksha karn ai hogai.

( Shloka from BG- Yada Yada hi Dharmasya – Glanir Bhavato Bhara)

Balaram: Hmm.. to Krishna, to ab tum kaun si leela karne wale ho ?

Krishna: Are Tauji.. mein to kuch nahi karne wala …. woh jo karna wo to Indra dev hi karenge.

Krishna and Balaram walking towards the Yagya preparation.. Every one busy with the
preparation of the yagya.

Nand Baba : Sambhal ke le chalna … ( on one end of the stage)


Krishna : Are Kaka ye yagya ki tayari kis liye ho rahi hein ? Ye mahat prayas kiske liye ho rahi
hein ?

Old Gopi Lady : Laughingly …Are kanha tum bahut chote ho ye sab samajne ko, tum anya
Sakha sath gay charane nahi gaye ?

Krishna : Baba mujhe janana hein aap ye saara prayas kiske liye kar rahe hein ? Yadi yeh yagya
vedo mein likha gaya hein to wah kiske trisht hetu kiya ja raha hein ?

Nand Baba : Yeh Yagna hum Indra dev ki aaradhna ke liye kartein hein ..

NandBaba : In Background along with previous dialogue Are Khetrigram yagya ka ghee aur phal
le aao

Scene 3

Krishna: Hum Baba Aap iIndra ke liye Yagya kyu kar rahe hai ? Kya yeh sastra ke anusar hein ki
wah

Nand Baba: Hume Indra ko prasann karane ke liye har sal ye yagya karna hi padta hai taki wo
hume barish de.

Balaram : Kya hum kar chukka rahein hein ? …Vaise hi jaise hume har sal maharaj Kans ko kar
chukana padta hai

Nand Baba: Are nahi nahi baccho Indra dev bure nahi hai…., wo megho ke swami hai wo megh
jo jal barsate hai aur jis jal se ann ki utapatti hoti hai aur usi ann se hum apne jeevan ka nirvah
karate hai isiliye hum hi nahi par anya log bhi vasha karne vale in badalo ke swami ki puja
kartein hein varsha ritu ke agman ke purv hum ye pooja karake unhe prasann karate hai

Krishna: Paruntu baba wo to unaka kartavya hai , wo to bhagvan Vishnu ke aadesho ka palan
kar rahe hai

Baba: Dekho Krishna ye bahut purani pratha hai aur hume ise todna nahi chaiye

Krishna: Baba Hum gwale hai aur humari sampati humari gaaye hai.Ye gaaye KaamDhenu
Surabhi mata ki santane hai jinake ango me samasth devtaao ka aur charano me samasth
teertho ka vaas hai.

En gaayo ka palan poshan Govardhan parvat par nirbhar hai jo apane jal, ghas, athawa faallo se
sada hi humari gaayo ki vruddhi karate hai, isiliye hi to inaka nam Govardhan Parvat hai. ye
humare liye pujaniya hai, hume Govardhan Parvat ki pooja karani chahiye na ki Indra ki.
Brahamana ; Krishna bilkul sahi kah raha hai, vese bhi vedo me Indra ke liye alag se yagya
karane ka koi vidhan nahi hai

Krishna: Mere vrindvan ke pyare mitro hum sabko Govardhan parvat ka hraday se aabhari hona
chaiye. Humari gaaye isake junglo ki ghas khati hai aur meetha meetha dhudh deti hai . Isake
Jharane humari pyas bujate hai isake maidano me fasale aur fal ugate. Isaki lakadi se bane ghar
hume suraksha dete hai. Mitro humara jeevan Indra par nirbhar nahi karata balki Govardhan
parvat par nirbhar karata hai

Vrindavanvasi: ek dusare se bat karate hue.

Ha ha ha ha Krishna sahi kah raha hai..humara jeevn to Govardhan Parvat par nirbhar karata hai

Brahamana: Ayushyaman Bhav

Baba: Ye sab Indra dev ki nahi Govardhan parvat ki kripa hai. Isiliye mitro aap sab log apana
apana chadava ektrit kare hum sab Govardhan ki Pooja karenge.

Sare vrindaan vasi jai jai kar karate hue -Jai Govardhan jai Govardhan ki jai

Bigul, dol, tashe,mrudanga, kartal ,sangeet, bajate hai

Mantro se Govardhan parvat ki Pooja hoti hai

Govardhan Parvat: Me Govardhan hu, me tumhari prathna se bahut prasann hu. Agar tum
sabhi apane paashuo(animals) ke sath meri parikrama karoge to me bahut prasann honga .

Jai Govardhan Jai Govardhan karate hue sare vrindavanvasi Govardhan Parvat ki parikrama
karate hai …
Scene 4 – Badal Garajane ki Aawaj- Musaladhar Varsha shuru ho jati hai

1st Samvartak : Shaktishali devo ke raja devraj Indra ki jai ho!

Indra : Aao Samvartak Kya samachar laye ho

1st Samvartak : Pranam Dev Raj indra – Prithivi par sabhi gaaowale aapko prasann karane ke
liye yagya ki tayariya kar rahe hai, tarah tarah ke vyanjan banakar aapko aprit kar rahe. Ye runni
log aapka abhar prakat karane ke liye sab taraf ektrit hue hai.

Indra: Hmmmmm hona bhi chaiye inaki khushhali mere hatho me hai. Enhe gyat hona chaiye
me barish ka strot hu. jo inake kheto aur bandaro ko ann se barati hai. Jisaki vajah se unaka
palan poshan hota hai

Indra ek fal usaki taraf fekata hai

Ye lo mere bhakto dvara chadaye hue chadave ka anand lo aur jao jo log mere liye yagya kar
rahe hai unako varsha pradan karo

2nd Samvartak (Sevak) pravesh karate hai sabha me

2nd Samvartak: Pranam Devraj indra

Indra: Kaho Tum Kya samachar laye ho ?

2nd Samvartak : Shama Chahta hu devraj indra par ye samachar aapko vichlit kar sakta hai.
Indra: Ab ye mat kahena tumane galati se ek aur gao ko badd se dubo diya , ye bat man se nikal
do –ha ha ha ha

2nd Samvartak : Mujhe dar hai ki aap iss samachar se bahut krodhit ho jayenge , devraj prithvi
Ise lotate hue mene dekha vrindavan me Krishna nam ka ek balak vrindvan vasiyo ko appaki
nahi, govardhan parvat ki pooja karane ki salah de raha tha. Mujhe dar hai ki wo log us nadan
balak ke bahkave me aake aapaka uphas na kar bethe.

Indra ye sunake gusse me lal ho jata hai – hath me pakadi hui vastu ko fenk deta hai.

Indra: Kya !! Govardhan parvat ki pooja… ,meri pooja na karake ek mitti ke der ki pooja .
Vo aisa nahi kar sakate. Us murkh balak Krishna ke bahkave me aake agar unhone meri pooja
na karake us pathar ki Pooja kar rahein hein ? mitti ke der ki pooja ki …..to isaka parinam
unako bhugtana padega ..

Suno Samvartak !!

Samvartak1 : Ji Devraj Indra ,

Indra- Jao us Govardhan tyohar ko barbad kar do, jao unape najar rakho, agar unhone us
govardhan ki pooja ki to pure vrindavan ko paani me dubo do.
Inn gao valo ne ek samanya balak ki sharan graham karke mere prati shatrutapurn karya kiya
hein Me unape aisa kaher barsaouanga ki unko pata chalein yaha ka ishwar kaun hein. aki akal
thikane aa jayegi.. jaooooo

Samvartak2 : Jo Agaya Devraj, ham is Vrndavana sthaan ko kuchh hee samay mein prthvee ke
mukh se samaapt kar denge, aap befikir rahein.

Music of tandav : Sampvartaka dancing on the Tandav dance.

Indra : Indra laughing …. Laughing haahh.. hahaa..

LED Loud cloud thundering and lightning.

Indra : Vayudev, aisi hahakar macha do yaha ke pushu aur prani thandi aur Varsha se sampamt
ho jayay.

LED : Twister and Tornado playing destroying Indra :

Indra : Laughing…..ha ha… and exiting the scene.


Indra ke sevak apas me bat karate hai

1st Vrindvanvaisyo ne govardhan parvat ki pooja karake devrajj indra ka uphad kiya hai Ab enhe
pata chalega indra ka prakop kya hota hai..
2nd
Hume Devraj Indra ke aadesh Ka palan karana hoga

2nd hum apane jal se is vrindavan ko dubo denge – aur pure gao ko nasht kar denge.

He he haha aha haha

Badal garjane ki aavaj, bijali kadane ki avaj

Narrator : Is tarah , pralaykari megh , Indra ke aadesh se , Vrajwasiyon par musladhar Varsha
ki. Bhayanak vayudevo dwara utprerit, badalo bijliyo ki chamak se prajalit ho uthe aur olo ki
Varsha karte huve kadahat ke sath garajne lage. Vrindavana ne aisi Varsha kabhi nahi dekhi thi.
Waha par Varsha boonde nahi par bade bade khambo ki tarah moti Varsha ho rahi thi. Atyant
Varsha tatha hava ke karan gwale, gaye tatha anya pashu shith se kaap rahe the.

Scene 5

Vrindavanvasi 1: Achanak se itani Varsha kyu ho rahi hai – pratit hota hai devraj indra krodhit
ho gaye hai

2Little child : bachao—me dub rah ahu

3Motherly Gopi : Are meri gaye dub rahi hai- kanha apanee gaayon
kee dayaneey sthiti ko dekho

4 Vrinvanvasi 5 - he bhagvan Mera ghar …..yeh poora vrndaavan


vinaash ka mahaasaagar dikh raha ha

5 Vrinvanvasi 4: Ye devraj indra ka prakop hai .. chalo chalo yanha se..

Nand baba: aa jao sab log yanha aa jao

Vrinvanvasi 1 : Indra dev sabhi ka vinash karne pe tule hai, Krsihna ab tum hi humari raksha
karo
aise hi bharish chalati rahi to to pura vrindavan tahas nahas ho jayega humame se koi bhi nahi
bachayega. Krishna kuch karo…

Vrindavanvasi 2 : Ha ha kuch karo… kya hume Indra Dev se shama magani chaiye. Pura
Vrindavan badalo ki khadavat se goonj raha hein..

Mother yashodamadumangal : Krishna humpe ya vrindavan pe kabhi bhi aanch nahi aane dega

Krishna : Hmm.. Yeh Indra ka hi . vah murkahat mein soch raha hein
ki vah brahmaand ka svaamee hai ……lekin usane apanee buddhi kho dee
hai…
daro mat mere Priya mitro mera tumhare liye pyaar indr ke krodh se bahut
bada hai. Hum

Ha ma sach kaha aapne. Me ..Vrindavan ki raksha karunga. Aayiye mere sath… Apne
Govardhana ki puja ki hena abh wahi aapko aashraya dega.

Music: …..from Little Krishna (Manmohana)

Krishna Govardhan paravt ko apani tarjani pe uthate hai.

Nand baba: Chalo chalo sabh apani apani gayo aur saman ke sath govardhan parvat ke niche
chalo

Vrindvanvasi: Krishna tum bade adbhut ho- shaktishali –itane vishal parvat ko apane banhe
hath ki tarjani par uthaya hai tumane

Sakha : Ye to humari lathiyo ki sahyata se utha pa raha hai, Krishna

Brahmana: are ye to mere mantro ki Shakti ka asar hai…

Sakhi: nahi ye to humari radharani ka prabhav hai..krishna ka pura dhyan humari Radha ke upar
hai..

ha aha ha ha

Krishna plays flute- Vrindavanvasis are dancing

Narration: cheh(6) din beet gaye par ghanghor Varsha or kadakati hue bijaliyo ka
vrindvanvasiyo ke upar koi prabhav nahi hua - wo to Krishna ki basuri me mang the.
Scene 6 – Indra’s entry he sees the entire scene

Samvartak- Indra:

Indra: Samvartak- Dikkar hai tum par Dikkar hai aur dikkar hai tumari shaktiyo pe jo ek sadharan
se balak ko parasth nahi kar paye

Samvartak : Kshama devraj, kintu wo govardhan unaki raksha kar raha hai. Meri koi bhi Shakti
us balak ko shati nahi pahuch pa rahi hai.

Indra: Is pathar ke tukade ka itana dusshas ki devraj indra ki apradhiyo ko sharan de aur unaki
raksha kare. Samvartak tum Varsha mat rokana shesh me sambhalunga

Aaj me is Krishna ke ahankar aur govardhan parvat ka ant kar dunga – haa ha aha ha

Devraj indra attacks govardhan with his Vajra but no effect

Asambhav-Meri shaktiya vifal kyu ho rahi meri kisi bhi astra ka asar nahi ho raha hai – ye nahi
ho sakta devraj Indra hu me Devraj Indra

Mere koi bhi prahar ka koi asar nahi ho raha , mere sare var khali vapas lot aaye, yanha tak
ghanghor Varsha bhi inaka kuch bigad nahi payi– lagata hai ye Krishna koi sadharan balak nahi
hai,

Narration : Krishna ki is asadharan shaktiyo ko dekhkar devraj indra par mano vajrapat ho gaya
ho aur unaka sankap dag managne laga.. Unhone apane sevako ko turant hi Varsha band
karane ka aadesh diya.

Scene: 7

Vrindavanvasi: are Varsha band ho gayi hai.. ye ye krishna krishna krishna ye Krishna . ye ye ye
ye

Krishna: tufan tham chukka hai chaliye aap sab bahar chaliye

Vrindavanvasi : Par Krishna tum kya akele is parvat ko uthaye rakh sakate ho,
2nd Vrindavan vasi; nadan mat bano, Krishna tum ek chote balak ho pahale tum bahar nikalo

Krishna: Aap bahut dayalu hai, aap sachmuch chahate he me pahale chala jao

Vrindavanvasis : nahi ruko, mujhe chodkar mat jao

Vrindavanvasi: hum tumhare abhari hai , tumane hume bacha liya krishna’

Krishna: Aabhar mera nahi Govardhan Parvat ka maniye

Vrindavanvasis : Jai Krishna jai Givardhan, Jai Krishna Jai Govardhan

Scene : 8

Indra: Hai Prabhu ! mukhe shama kijiye. Mene apaki aseem Shakti ko jane bina apane bhoki
ashvarya ke ahankar ke karan aapake charankamlo ke prati mahan apradh kiya hai. He swami
aap is jagat ke aadi pita hai aur aap hi isake param guru hai aur sabhi vastuo ke swami hai.

Me ahankar me aake bhul gaya to mujhe aap hi se sari shaktiya milati hai. Aap itane dayalu hai
ki aapnae mera jhutha ahankar todakar, mujhopar krupa ki hai.

Krishna: He Indra, tumako yah smaran dilane ke liye ki me tumhara shashvat swami hu isiliye
mene tumhara yah yagya rok diya aur tum par apani ahetuki krupa dikhayi hai. Me n keval
tumhara balki anya sare devatao ka bhi swami hu, tumhe yah smaran rakhna chaiye ki tumhara
sara bhotik ashvarya meri krupa ke karan hai. Yadi me dekhta hu ki koi ahankar ke vashibhut ho
chukka hai to us par apani ahetuki krupa dikhane kie liye me usaka sara Vaibhav har leta hu.

You might also like