You are on page 1of 5

 01:03 08:25

Artist Owais Raza Qadri

Jagah Jee Lagane Ki Duniya Nahi


Hai
0  4,659

3326 downloads

Jahan me hain ibrat ke har so namoone


Maghar tujhko andha kiya rang-o-bu ne
Kabhi ghor se bhi yeh dekha hai tune
Jo aabad the woh mahal ab hain soone
Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Mile khaak me ahl-e-shaan kaise kaise


Makeen ho gaye laa-makaan kaise kaise

Hue naamwar be-nishaan kaise kaise


Zameen kha gayi nojawan kaise kaise

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai


Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Ajal ne na Qisra hi chhora na Dara,


Isi se sikander sa fateh bhi hara
Har ek leke kya kya na hasrat sidhara
Pada reh gaya sab yun hi thaath sara

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai


Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Budhape se paker payam-e-qaza bhi


Na chaunka na cheta na sambhla zara bhi
Koi teri ghaflat ki hai intehan bhi
Junoon kab talak hosh me apne aa bhi

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai


Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Tujhe pehle bachpan me barson khilaya


Jawani ne phir tujhko majnu banaya
Budhape ne phir aake kya kya sataya
Ajal tera ker degi bilkul safaya

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai


Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Yehi tujhko dhun hai rahun sabse baala,


Ho zeenat nirali ho fashion nirala
Jiya karta hai kya yunhi marne wala
Tujhe husn-e-zahir ne dhokhe me dala

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai


Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Woh hai aish-o-ishrat ka koi mahal bhi


Jahan taak me har ghadi ho ajal bhi
Bas ab apne is jehal se tu nikal bhi
Yeh tarz-e-maishat ab apna badal bhi

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai


Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujhko


Hui aah kya cheez marghoob tujhko
Kiya haay shaitan maghloob tujhko
Samajh lena ab chahiye khoob tujhko

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai


Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Na dil dada-e-sher goi rahega


Na gar dida-e-shohra jori rahega
Na koi raha hai na koi rahega
Rahega to zikr-e-nikoi rahega

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai


Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Jab is bazm se uth gaye dost aksar


Aur uthte chale ja rahen hain barabar
Har waqt pesh-e-nazar hai jab manzar
Yahan par tera jee behelta hai kyun kar

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai


Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai
Review Overview

User Rating: 3.84 ( 6 votes) 


 


 Tags audio naat beautiful naat best urdu naat download mp3 naat download naat

download urdu naat emotional naat free download naat hamd hamdnaat

heart touching naat jagah jee lagane ki duniya nahi hai mind blowing naat mp3 download naat

naat naat lyrics naat sharif naathamd naathamd.com online listen naat online naat

Owais Raza Qadri tarana urdu naat urdu naat lyrics urdu nasheed

Leave a Reply

  Subscribe  
Ya Rab Meri Soyi Hui Munajat Lyrics
By Farhan Ali Qadri
Teri Aankhen Teri
Zulfen Naat With
Lyrics - MP3
Download - Anas…

Jeena Hai Nazm


Lyrics By Junaid
Jamshed

Har Tamanna Dil Se


Nazm Lyrics By Anas
Younus

Huzoor Aisa Koi


Intzam Ho Jaye Naat
Lyrics Zafar Qasmi

Koi Aaye Koi Jaye


Nazm Lyrics By Ha z
Mohammad Tahir
Qadri

You might also like