You are on page 1of 2

Aye Hasnain ke Nana

Ya Nabi nazre karam farmana [2 Times]


Aye Hasnain ke Nana [4 Times]
Zahra paak ke sadqe hum ko
Taiba me bulwana
Aye Hasnain ke Nana [4 Times]
Aap ke dar ka hu mai bhikaari
aap hai mere daata
Saare rishte naato se hai
pyaara apna naata
Aap ke dar ka hu mai bhikaari
aap hai mere daata
Saare rishte naato se hai
pyaara apna naata
Aap to hai........
Aap to hai aata hai jin ko
sab ki laaj nibhana
Aye Hasnain ke nanan [4 Times]
Be saaya hai lekin do jag
par hai aap ka saaya
Arshe mu`alla bana mohalla
deed ko Rab ne bulaaya
Be saaya hai lekin do jag
par hai aap ka saaya
Arshe mu`alla bana mohalla
deed ko Rab ne bulaaya
Hashr talak na...........
Hashr talak na hoga kisi ka
Aisa aana jaana
Aye Hasnain ke Nana [4 Times]
Sajh gayi hai meelad ki
mehfil Kya hai khoob nazaara
Kaifo masti me dooba hai
dekho aalam saara
Sajh gayi hai meelad ki
mehfil Kya hai khoob nazaara
Kaifo masti me dooba hai
dekho aalam saara
Dhoond rahi hai.......
Dhoond rahi hai aap ki rehmat
bakhshish ka bahaana
Aye Hasnain ke Nana[4 Times]
Nisbat ka faizan hai dekho
Khaadime Gause Jalee hu
karta hai mujh pe naaz zamaana
Mai Ausaafe Ali hu
Nisbat ka faizan hai dekho
Khaadime Gause Jalee hu
karta hai mujh pe naaz zamaana
Mai Ausaafe Ali hu
Aap ki aal ke......
Aap ki aal ke dar ka sag hu
saahil hu puraana
Aye Hasnain ke Nana[4 Times]
Zahra paak ke sadqe hum
ko Taiba me bulwana
Aye Hasnain ke Nana [4 Times]

You might also like