You are on page 1of 6

JHAT PHAT BIBI KA MOJEZA (BIBI FIZZA)

ADAAB E KAHAANI
 KHUSHBOO LAGAYE
 APNAY KHULAY SAR KO DHAANMP LEE JIYE
 BA ADAB BETHAIN
 AUR YE SAMAJH LAIN KE AAP IS WAQT JANAB E SAYEADA
MASOOMA KE HAZOOR MAIN HAZIR HAIN.
 FAZOOLM AUR LUGHV BATON KO TARK KAR DAIN
 HANSI KO ZABT KARAIN
 MOJEZA JO BAYAAN KIYE JAA RAHAY HAIN, AITEQAAD RAKHTAY
HUAY KHALOOS E DIL SUNIYE AUR SHIREENEE KO JO AAP KO
TAQSEEM MAIN MILI HAI EHTARAAM KE SAATH NOSH KARAIN.

TAREEQA IBTIDA E KAHANI


1. AWAL O AKHIR TEEN BAAR DAROOD
2. SAAT MARTABA SURA E ALHAMD
3. SAAT MARTABA SURA E IKHLAAS
4. NAZAR E BIBI FIZZA

KAHAANI

AIK BIBI NUSRANI THEE. GHAR KI GHARIB OR GODI BHI AULAAD SAY

KHALI, GHAR MAY BAJIZ SHOHAR KAY AUR KOI NA THA. SHOHAR MEHNAT

MAZDOORI KAR KAY JO DIN BHAR PAATA THA ISI MAIN KHANAY PEENAY

KA INTEZAAM KARTA THA. YUN HI ZINDAGI BASAR HOTI THI. ZYADA TAR

FAQA SAY BASAR HOTI THEE LEKIN MIAN BIWI DONO KHUDA PAR SHAKIR

REH KAR SABR SE KAAM LETE THEY. RAFTA RAFTA UMAR BHI GUZARTI

GAYEE. AB ZAYEEFI KA WAQT AANAY LAGA.

DIL MALOOL REHTA THA. KYUNKE BAAD UN KAY AAINDA NASAL BAAQI

REHAY KI UMEED NAA THI. AIK DIN AIK ZAYEEFA BIBI TASHREEF LAAIN.

POOCHA, KYUN BIBI NUSRANI! TUM AAJ KAL ITNI GHAMGEEN RAHA KARTI
HO, KOI KHAAS BAAT HO TO BYAAN KARO. YEH TO MAALOOM HAI KE

ZAYEEFI O GHAREEBI SAATH NAHI CHORTI HAI. IS KA TUM KO GHAM BHI

NAHI HAI. HAMESHA TUM NAY SABR O SHUKR SAY ZINDAGI BASAR KI HAI.

AB KYA NAYEE BAAT HAI?

BIBI NUSRANI NAY JAWAB DIYA. BIBI KYA KAHOON KISMAT KI BAAT HAI.

GHARIBI TO GHARIBI HI HAI , MAIN IS UMAR TAK AULAAD SAY BHI

MAHROOM HOON. BIBI ZAYEEFA NAY KAHA, BETI GHAM NAA KARO. ALLAH

KAY IKHTYAAR MAI SAB KUCH HAI. WO CHAHAY JISAY MURDA KAR DAY

AUR JISAY CHAHAY ZINDA KAR DAY, SOOKHAY DARAKHT KO HARA KAR

DAY OR BAY AULAAD TO SAHIB E AULAD KAR DAY.

ACHA TUM JHAT PHAT BIBI KI KAHANI MAAN LO. KHUDA WAND TAALA

TUMHARI YE MUSHKIL ASAAN KAR DE GA. YE KEH KAR BIBI ZAYEEFA

TASHREEF LAY GAYEEN. NUSRANI BIBI NAY FORAN KAHANI MAAN LEE.

KHUDA NAY USKO AIK FARZAND HUSSEIN O JAMEEL ATTA FARMAYA.

AULAAD SAY GHAR ABAAD HO GAYA. NUSRANI BIBI KO MANNAT POORI

KARNAY KA KHAYAAL AAYA. FIKAR MAND HUI KE KYUNKAR MANNAT

POORI KAR DOON. ZAEEFA SAY TARQEEB BHI NAA POOCHI KE JAB MANNAT

POORI HO JAYE TO KIS TARHA MANNAT UTAARI JAYE.

ITNAY MAIN SHAAM HONAY LAGI. DEKHA KE AIK NAQAAB POSH BIBI

TASHREEF LAYIN AUR BOLEEN, TUM NAY ABHI TAK MANNAT NAHI UTAARI?

NUSRANI AURAT UN KAY KADMON MAIN GIR PAREE AUR GIR GIRA KAY

BOLEE! MAIN AAP HI KO BARAABAR YAAD KARTI THI. KHUDA KA SHUKAR

HAI KE AAP TASHREEF LAI AAYEE. AAP KI BATLAAI HUI MANNAT SAY AAJ

MERI GODH MAIN AIK BACHA NAZAR AA RAHA HAI. MAGAR MAIN NAY AAP
SE MANNAT UTARNAY KI TARQEEB NAHI POOCHEE THI. AB AAP BATAAIN

KE KYUNKAR MANNAT UTAAROON?

BIBI ZAEEFA NAY JAWAB DIYA. PAANCH MITHAI MANGAO AUR KAHANI JO

KAHOON WHO BAGHOR SUN LO. MITHAI KO KAAT DALO. KAHAANI

KEHNAY WALAAY KO DO HISAAY, KAHAANI SUNAN WALAY KO BHI DO

HISAY AUR LAANAY WALAY KO AIK HISA TAQSEEM KAR DO. PHIR ZAEEFA

NAY KAHANI KEHNI SHURU KI.

AIK ROZ AMIR UL MOMINEEN KUCH AATA JOH KA LAYE AUR JANAB E

FATEMA ZAHRA KO DIYA KE ROTIYAAN TAYIAR KARO. AAJ TUMHARAY

PIDAR BAZURGUWAAR (RASUL E KHUDA)) KO MAIN NAY KHANAY PAR

BULAYA HAI. JANAAB E SAYEDA NAY KHUSHI KHUSHI ATA KHAMEER KIYA

AUR ROTIYAAN TAYAAR KEEN. JANAB E RASUL E KHUDA BAAD E NAMAAZ

MAGHRIB TASHREEF LAYE. JANABE SAYEDA NAY DASTER KHAWAN

LAGAYA.

MOHSIN PAAK BAAP NAY AIK SAATH KHANA TANAWUL FARMAYA. AUR

JANAB E PEGHAMBAR JAB RUKHSAT HONAY LAGAY TO JANAAB E SAYEEDA

NAY ARZ KIYA KEH BABA JAAN, ISI TARHA KAL AAP MERI TARAF SAY

KHAANA NOSH FARMAYE GA. RASUL ALLAH NAY KABOOL FARMAYA.

PHIR HAZRAT ALI AMIR UL MOMINEEN KAHEEN SAY AATA JOH KO LAYE

AUR JANAB E FATMA ZAHRA SAY KHANA TAYIAR KARNAY KO KAHA. BAAD

E NAMAAZ MAGHRIB RASUL E KHUDA TASHREEF LAYE AUR SAB KE SAATH


KHANA KHAYA. JAB JANAB E PEGHAMBAR WAPIS JAANAY LAGAY TO

HAZRAT IMAM HASSAN NAY NIHAYAAT ADAB SAY ARZ KI – NANA JAAN

MERI TARAF SAY BHI DAWAT KABOOL FARMAIYE. IRSHAAD HUA, ACHA

BETA, TUMHARI DAWAT BHI KABOOL.

PHIR KHANAY KAY INTEZAMAAT HUEY AUR JANAB E RASUL E KAREEM

TASHREEF LAYE AUR KHANA TANAWUL FARMAYA. JAB WAAPSI KA IRAADA

KIYA TO HAZRAT IMAM HUSSEIN NANA JAAN KAY GALAY MAIN BAHAIN

DAAL KAR BOLAY, NANA JAAN KYA MUJH KO MEHROOM RAKHIYE GAA?

NANA SAMAJH GAYE. FARMAYA BETA HUSSEIN TUMHARI BHI DAWAT

KABOOL HAI.

CHUNACHA HASB E DASTOOR PHIR SAMAAN KHANAY KE FARAHAM HUEY

AUR NABI KAREEM TASHREEF LAYE.

JAB KHANAY SEY FARAGHAT PAA KAR AAP RUKHSAT HONAY LAGAY TO

FIZZA (KANEEZ) DARWAZAY TAK POHANCH AAYEE AUR DASTA BADASTA

ARZ KIYA KE YA RASUL ALLAH, YEH KANEEZ BHI AARZOO MAND HAI KEH

HAZOOR KAL MERI TARAF SAY DAWAT KABOOL FARMAYE. HAZRAT NAY

DARKHUWAST KABOOL FARMA LEE.

ITEFAQ SAY FIZZA KO SAMAAN MUHAYA NAA HO SAKA. IDHAR SHAAM

HONAY KO KAREEB THEE MAGAR KISI SAY IS SILSILAY MAIN KOI TAZKARA

NAA KIYA. (DOR ZAMAANA RAMZAAN KA THA) Jab Rasul e Khuda namaaz e

maghrib say faarigh ho chukey to Jibrael e Ameen nazil hooyae aur farmaya, Ya Habeeb
e Khuda aaj aap ka iftaar fizza ke ghar per hai. Rehmat e do alam foran rawaana huay.

Darwaazay per pohanch kar dastak dee. Aur ba awaaz e buland beti ko mukhatib kar ke

kaha, ai beti tum par salaam ho. Janab e sayyeda awaaz pehchaan kar darwazay tak

aayee magar kisi hud tak motajab thee keh aaj baba jaan nay kyun kar takleef farmaee,

kyun ke aftaar ke liye kuch bhi naa tha.

Al gharz rasul e khuda andar tashreef laye.

Thori der kay baad beti say bolay. Ai para e jigar fatema – aaj hum fizza ke mehmaan

hain. Janaab e ameer ul momineen nay fizza ko alag bulaa kar farmaya, aye fizza tu nay

rasul e khuda ko khanay ki dawat dee lekin hum se zikr bhi nahi kiya. Fizza nay arz ki,

ya ameer ul momineen mujhe ghar ke halaat khoob maaloom hain is liye tazkara naa kar

saki. Socha tha ke main khud hi intezaam kar loon gee.

Ye keh kar fizza nay wazoo kiya aur goshaey main jaa kar do rakaat namaaz e hajat ada

ki. Dono haathon ko buland kar ke girgira kar boleen , aye khaliq e har bulandi-o-pasti

main tere habeeb ki beti ki kaneez hoon aur teray habeeb ko apna mehmaan kiya hai. Tu

jaanta hai ke main kya hoon. Is liye thujhay thereey kibriyaai ka wasta deti hoon ke aaj

meri laaj rakh lay aur apne mehboob aur un ki aal e paak say surkharoo kar de.

Abhi fizza dua hi maang rahi theen ke saara ghar khanay ki khushboo say mehak utha.

Phir fizza nay dekha ke pehloo main khuwan e nehmat rakha hai. Foran woh khuwaan e

nehmat le kar haazir e khidmat baa barkat rasool huin. Janab e khatmi martabat nay

dariyaft kiya, fizza yeh khana kahaan paya? Fizza nay jawaab main arz kiya. Jis kay

bharosay par main nay hazoor ko madaoo kiya tha usi nay bheja hai. Yaani yeh tuaam

jannat say aya hai.

You might also like