You are on page 1of 1

Imam e zamana ka ashiq bana de

Khudaya mukadar mera yun jagade


Imame zamana ka aashik banade
Meri maa ki koshish ka usko sila de
Imame zamana ka aaashiq banade
1. Karun zikr zehra ka tahir banun me
imaame zamana ka nasir banun me
meri maa ki koshish ka usko sila de
imame zamana ka aashiq banade
2. Har ek dilko azme hussaini aata ho
har ek jaa ko jooshe khuaini aata ho
gutan ki fazao me taza hawa de
imame zamana ka aashiq banade
3. Zamane ki chaalo se ghabra gaya hun
gunaaho ki duniya se tang aagaya hun
gunaaho ki zindaa se mujhko chuda de
imame zamana ka aashiq banade
4. Aata kar jawano ko akber ki himmat
mille mere bacho ko asger ki himmat
khudaya unhe muskurana sikhade
imame zamana ka aashiq banade
5. Meri maa ki khwahish fidaye hussaini
he ghutti me meri aazaye hussaini
aaza par me jaa dun mujhe hausla de
imame zamana ka aashiq banade
6. Amal se hi apni gawahi likhun me
imame zamaa ka sipahi banun me
shahadat k raste pe chalna sikhade
imame zamana ka aashiq banade
7. Ho akhlaaq pyaara to meethi zaba hoon
kamar do jahano me yun shadmaan ho
dua dun me jisko mujhe wo dua de
imame zamana ka aashiq banade

You might also like