You are on page 1of 1

Nehru Report 1928

Why?
-> 1928 mein aaya tha Simon commission aaya tha jisko ki saare Indians ne oppose
kara tha. to Lord Birkenhead jo ki Secretary of State
bhi the unhone kaha jab aap log itne hi shakcham hai to aap apna khud ka
constitution draft kar lo aur is challange ko saare politiocal
parties ne accept kiya aur ek All India Party Conference banayi gayi jismein ek
committee banayi gayi jo India ka constitution draft
karega aur issi committee ko bola jaata hai Nehru committee. Iske chairman the
Motilal Nehru aur secretary Jawaharlal Nehru, members
mein the - Ali Imam, Tej Bahadur Sapru, Shubhash Chandra Bose, Shuaib Qureshi,
Mangal Singh, MS Aney & GR Pradhan. Abb iss committee
ne jo report di jo recommendations di usko kaha jata hai Nehru report aur ye report
submitt Lucknow session kiya gaya tha August 1928
ko.

Purna Swaraj

-> culcutta session chal rha tha december 1928 mein aur issi saal August mein Nehru
report ko bhi approve kiya gaya tha...

-> abb ismein bahut saari theories hai logo ki bahut log bolte hai ki Younger
elements jaise ki Shubhash Chandra Bose, Jwaharlal Nehru,
Satyamurthi inn logo ne demand kara, ki hame dominion status nahi chahiye purna
swaraj chahiye. jo log google se padh kar aate hai
unmein se log ye bolte hai ki poet Hasrat Mohani ne shuru kara...magar reality ye
thi ki purna swaraj actualy mein
Vinyak Damodar Sawarkar ne manga tha...

abb tumhara doosra sawal pahle congress ka kya demand tha?


-> to jo naya All India Party bana tha jisse ki Nehru report recommendations bana
tha, one of the recommendation tha dominion status
ka.

You might also like