You are on page 1of 2

What's on person's face is not always what's in there heart.

We don't know who to trust.


And that's what makes life interesting.

-------------------------------------------------------------------------

Bevajah bevafaon ko yaad kiya hai


Galat logon par bahot vaqt barbaad kiya hai

-------------------------------------------------------------------------

Is mulk ne har saksh ko jo kaam tha saopa


Us saksh ne us kaam ki machis jala kar chod thi

-------------------------------------------------------------------------

Kash ye pal kuch yun hi theher jaye


Tum jo mere thode aur paas aao
Sun lunga teri dhadkanon ko
Tab shaya ye zindagi kuch aur raas aaye
Andaja nhi teri koshisho ka
Par chahta hu hath mein hath dale
Tu bhi kuch dur sath aa
Behekne de mausam ko
Bin baadal barsat ho jaye
Shayad isi bahane ek dusre mein hum kho jaye
Chahton ki jhankar ho
Teri Shararaton mein bhi pyar ho
Aankhon mein hasrate ho
Teri tasveer ka didar
Tab shayad meri rooh ko sukoon mil jaye
Phir shayad ye zindagi kuch aur raas aaye
Palke tujhe sochte ek baar ko bhi nhi thakte
Koi toh mod mile is zindagi se hatke
Khayalon mein tere kuch guum sa ho jau
Ki jab bhi aankh kholu
Tujhe khud ke karib pau
Mujhe tujhpar aur tujhe mujhpar kuch aur pyar aaye
Phir shayad ye zindagi kuch aur raas aaye

-------------------------------------------------------------------------

Sab sambhaal leta hoon main


Bhai ki ladaai ho ya dost ke pachde
Girlfriend ka ex ho
Ya uske ghar ke baahar nukkad par khade fukare
Sab sambhaal lete hain hum

Haathon ka plaster ho ya chhile hue ghutne,


Gire ho bike se ya khade ho teacher se peetane
Ab bahan toh bidaai pe ro legi
Par hum nahi royenge
Chaar din ki road trip hai
Par hum wheel pe nahin soyenge
Ek chhota sa kissa bhi ho jaaye
Toh use badha chadha ke sunayenge
Par jab dil tootega na
Toh apne doston ko bhi nahin batayenge
Kyonki sab sambhaal lete hain hum
Kya hai na ki daaru ki capacity se humaari aukaat naapi jaati hai
Par sabko ghar chhodne ki zimmedaari bhi humaare hisse hi aati hai
Kisi film ki sad ending ho ya best friend ka foreign jaane ka farewell, soft nahin
hote hain
Agar gussa aata to aaj abhi
Par pyaar jataane waala sab kuch kal

Kya hai na kyonki macho itne hai


Par sensitive topic pe thode gadbad ho jaate hain
Yaar apan log to mummy ko hug karne mein bhi awkward ho jaate hai
Ghar ki financial problem ho ya kisi ki tabiyat kharaab
Papa ki social standing ho ya safety security ka sawaal
Sab sambhaal lete hain hum
Hum wo hai jo footpath par baahar ki taraf chalte hai
Saaya bante hai pariwaar ka par dhoop mein khud palte hai
Kabhi humaari bhi mardaangi ka parda hata kar dekhna
Kabhi thaamna humaara bhi haath
Kaise ho tum?.. poochhna!
Kyonki yaar humaari bhi sakht shaklon ke peechhe
Ek maasoom sa bachcha hai ji
Jiski khwahishein ghar, gaadi, aasmaan nahin
Apnapan sachcha hai ji
Hume bhi dar lagta hai akele andhere kamron mein
Hum bhi so nahin sakte
Aur sach kahoon toh jhoothe hai wo log jo kahte hain ki aadami ro nahin sakte

Baaki haan iske alawa sab sambhaal lete hain hum


Bhai ki ladaai ho ya dost ke pachde
Girlfriend ka ex ho
Ya uske ghar ke baahar nukkad par khade fukare
Sab sambhaal lete hain hum

-------------------------------------------------------------------------

You might also like