You are on page 1of 9

kambakht dard-e-dil,dil se mitaane ke liye

koi wajah nahin miltii muskuraane ke liye


dushmano ki shakl le ke laut aaye hain
maine dost bheje the unhe bulaane ke liye
har soorat mein aapka chehra dikhaai de
ab kya karun main aapko bhulaane ke liye..?
hum apno ki nigaah mein begaane ho gaye
tere dil mein thodi si jagah paane ke liye
patthar ka kalezaa,paani ki nigaah chahiye
zakham-e-ishq seene se lagaane ke liye
meri tasveeron ko lagaa rahe hain aag ab
bachaa nahin koi khat mera jalaane ke liye
ruk jaata agar main aasma.n ki minnat kar leta
teri maang ko sitaaron se sajaane ke liye
do aansu palkon pe hain do daag jigar mein
mere paas aur kuch nahin chhupaane ke liye
-----------------------------------------Tu kahin bhi rahey sar pe tere ilzaam to hai
Tere hathon ki lakiron mein mera naam to hai
Mujhko tu apna bana ya na bana teri khushi
Tu zamane mein mere naam se badnaam to hai
Mere hisse mein koi jaam na aaya na sahi
Teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai
Dekh kar log mujhe naam tera lete hein
Is pe main khush hun mohabbat ka ye anjaam to hai
------------------------------------------------Ae khudaya kisi se jo koi pyaar kare
koi dhokha de koi jaa.n nisaar kare
pehle rulaa jaati thi teri yaad hame
ab fakat tera naam ashqbaar kare
tere khat kalezaa cheer dete hain
teri tasveer dil ko zaar-zaar kare
har saans apni kar dun uske naam
wo takaaza to humse aik baar kare
khanzar ulajh padtaa hai daaman se
vo jab bhi gardan pe meri vaar kare
lutaa raha hun tujhpe ghazlen isliye...
koi tujhe bhi yaad mere yaar kare
--------------------------------------------------

BijliiyaaN aksar vo giiraate rahe


aashiyaane hum bhi banaate rahe
kitni mujhko aap se umeedeN thiiN
kitnaa aap mujh ko rulaate rahe
dekhtaa rahaa maiN ek phool ko
khayaal mujhko aapke aate rahe
aapke dil ko khuda humne kaha
aap mere dil ko dukhaate rahe
kaatii is tarah se humne zindagii
diiye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe
hum bhii sun ke an-suni karte rahe
samjhaane waale humko samjhaate rahe
dil gaNwaya barson pehle ishq meN
jaan se bhi aaj hum jaate rahe
'maikasH ji' duniya deewana kahegii
yuuN hi agar sheyr sunaate rahe
-----------------------------------------------------Na ji bhar ke dekha na kuch baat ki,
badi arzoo thi mulaaqat ki.
Kayi saal se kuch khabar hi nahiN,
kahaan din guzaaraa kahaaN raat ki,
UjaaloN ki pariyaaN nahane lagi,
nadi gungunaaayi khayalaat ki.
Main chup tha to chalti hava ruk gayi,
zabaan sab samajhte haiN jazbaat ki.
Sitaaron ko shayad khabar hi nahiN,
musaafir ne jane kahaaN raat ki.
muqaddar mere chashm-e-puraab kaa ,
barasati hui raat barasaat ki.
--------------------------------------------------------Aap jinke karib hote haiN,
voh bade khushnasib hote haiN.
Jab tabiiyat kisi pe aati hai,
maut ke din karib hote haiN.
Mujhe se milna phir aapka milna,
aap kisko nasib hote haiN.
Zulm sahkar jo uff nahiN karte,
unke dil bhi ajib hote haiN.
-----------------------------------------------------------

hum bekhudi mein tumko pukare chale gaye


saagar mein zindagi ko utare chale gaye
dekha kiye tumhe hum banke dewaana
utara jo nasha to hamne ye jana
saare wo zindagi ke sahare chale gaye
tum to na kaho hum khud hi se khele
doobe nahi humhi yu nashe mein akele
sheeshe mein aapko bhi utare chale gaye
-----------------------------------------------------------Raat ki kaajal utar rahi hai dil mein is tarah
koi tara toota ho badnaam ho ke jis tarah
bikhar rahi hai bechaini chaaron taraf
koi rooh se guzar gaya ho jis tarah
hum se bhaaga na karo door itni ke humen
dard abhi bhi hai pehli si mohabbat ki tarah
dil se utarne se pehle yaad rakhna
humne chaaha hai tumhe chahne waalon ki tarah
dost honge bahut duniya mein tumhare lekin
maana hai tumhe humne dil-e-aashna ki tarah
humraah ban ke mukar na jaana aise
thak jayenge hum agar tum chalte rahe is tarah
------------------------------------------------------------hai jaam-o-meena se vaasta muqarrarr..
teri mast nigaahon ke zamaaneN gaye
[ jaam-o-meena = glass and decanter for liquor,
muqarrarr = again ]
ab sirf aaraaisheN nazar aati hai..
saadgi-o-masoomiyat ke zamaneN gaye
[ aaraaisheN = make-up/artificial ornamentation,
saadgi-o-masoomiyat = simplicity and innocence ]
riyaakari se pesh aata hai har shaks ab..
ghairat-o-aqhlaak ke woh zamaaneN gaye
[ riyaakari = hypocrisy,
ghairat-o-aqhlaak = moral uprightness and honesty ]
sahaare ko hai tanhaai aur teri yaadein..
tujse rabt-o-taaluQ tha.. woh zamaaneN gaye
[ sahaare = support/consolation,
rabt-o-taaluQ = relation/association ]
hai suraj ke nikalne aur dhalne se din-raat..
teri nigaah ke uthne aur jhukne ke zamaaneN gaye
na tera jamaal pehla sa na meri aashiqui..
roothne aur rijhaaneN ke woh zamaaneN gaye
[ rijhaaneN = to pacify/placate someone who is annoyed ]
mohabaat ki misaal ke liye ab mera naam hai..
kais-o-kohakaan ke tamaam woh fasaaneN gaye
[ kais-o-kohakaan = majnu and farhaad ]

apni baadanoshi ka kya zikr kare hum..


nikle the haram ko magar maikhaane gaye
[ baadanoshi = practice of consumption of liquor,
haram = mosque, maikhaana = bar ]
jawaan shaayar bahot aa gaye mehfil mein..
"Muztar" teri ghazaloN ke woh zamaaneN gaye
--------------------------------------------------------yeh gul mein surkhi hai kyun ki tum ho..
yeh bahaar hai chaman mein, kyun ki tum ho
[ gul = flower, surkhi = redness ]
hai aatish khursheed mein kyun ki tum ho
hai tanveer maah mein kyun ki tum ho
[ aatish = fire, khursheed = sun , tanveer= light , maah = moon ]
hai suroor sehbaa mein kyun ki tum ho..
hai shirini talkh-jaam mein kyun ki tum ho
[ suroor = ecstacy/intoxication , sehbaa = wine ,
shirini = sweetness , talkh = bitter ]
hai husn mein kashish, kyun ki tum ho..
hai ishq mein asar kyun ki tum ho
[ kashish = attraction ]
hai safeene ko saahil kyun ki tum ho..
hai caaravaaN ki manzil, kyun ki tum ho
[ safeene = boat , saahil = seashore, caaravaaN = caravan ]
hai kaseede khuda ko kyun ki tum ho..
hai bhajan bhagwaan ko kyun ki tum ho
hai zahen mein khayaal kyun ki tum ho
hai dil mein dhadkan kyun ki tum ho
hai kafas mein ehsaas-e-azaadi kyun ki tum ho..
hai zindaa mein jazbaa-e-rihaai kyun ki tum ho
[ kafas = cage ,
ehsaas-e-azaadi and jazbaa-e-rihaai = spirit/feeling of freedom, zindaa=jail]
hai dair-o-haram ki parsaai kyun ki tum ho..
hai tehzeeb-e-sajda jabeen mein kyun ki tum ho
[ dair-o-haram = temple and mosque , parsaai = piety,
tehzeeb-e-sajda = mannerism of bowing before God, jabeen = forehead ]
mizgaaN ki nami hai kyun ki tum ho..
hai laboN ki haNsi kyun ki tum ho
[ mizgaaN = eyes , nami=moisture ]
lafz mein hai maani kyun ki tum ho..
shaayari ki azmat hai kyun ki tum ho
[ lafz = word , maani = meaning, azmat = greatness ]
ganwaara yeh hayaat hai kyun ki tum ho..
hai "Muztar" abhi zindaa kyun ki tum ho
[ ganwaara = tolerable , hayaat = life ]

----------------------------------------------------------------gham-pasand hai, iss kadar, tabiyat apni


ek gham hai raat-din, koi gham nahi mujhe.
------------------------------------------------------------qaatil ke qisse, maqtal ki baateN haiN
aaj ki mehfil maiN bhi kal ki baateN haiN
DeewaanoN par aik ek lamha bhaari hay
hosh ki baateN kitni halki baateN haiN
apni tahi dast par may sharminda hooN
taire laboN par taaj mahal ki baateN haiN
aql ke andhoN ki mahfil maiN chup hay FARAZ
kitni sayaani is paagal ki baateN haiN
----------------------------------------------------------tum sa koi saad'ah
kya cheez ho tum

koi maasoom nahi hai


khud tumhe maaloom nahi hai

shadaab zami tum se


tum arsh se taa farsh
khusboo ho mai'e naab ho
mehtaab kaa naghmaa ho

fizaa tumse shahaabi


gulaabi hi gulaabi
meenaa ho kanwal ho
jawaani ghazal ho

tum naghamaa b'lab sheesha b'kaf maikadaa bardoosh


tum ishrat'e nazzaar'h ho tum jeenate aagoosh
armaan ki nikhat ho
tamannaa ki sabaa ho
ummeed bhare dil ke dhaRakne ki sadaa ho
pyaasi hai nazar jiski wo paimaana tumhi ho
dhalte haiN jahaaN jaam wo maikhaanaa tumhi ho
tum nabje chaman jaane suboo rooh'e tarab ho
paimaane ka khursheed ho maikhaane ki shab ho
tum rang ho tum noor ho tum sheeshaa ho tum jaam
kirnoN se bhari subh ho taaroN se bhari shaam
rangeen hai sarshaar hai mastaana hai duniya
tum ho to nigahooN meiN parikhaanaa hai duniya
kyaa jaane andheroN ko tumhe dekhane wala
rahtaa hai nigahooN meiN ujaalaa hi ujaalaa
mere dil'e betaab ka armaan hue ho
ye jaan ke tum aur bhi anjaan hue ho
hanste hue aate ho kareeb'e dil'e makhmoor
jab haath baRhaata hooN to ho jaate ho tum door
in haathoN se jab sagharo'o paimaanaa mile haiN
hum gardish'e doraaN se harifaana mile haiN

miltaa hai dil'o'jaaN ko tamannaoN ka ras aur


baRhti hai tumhe dekh ke jeeney ki hawas aur
maghmoom tabi'at meri behli hai tumhi se
duniya meri nazrooN meiN rupahli hai tumhi se
tum sa koi sad'ah
koi masoom nahi hai
kya cheez ho tum khud tumhe maloom nahi hai
--------------------------------------------------Dil ki dhaDkan ko jagaana sab ke bas ki baat nahiN
Dil lagaa kar phir nibhaana sab ke bas ki baat nahiN
Shola hai har ek sher, har ghazal ik aag hai
YuN kalam se dil jalaana sab ke bas ki baat nahiN.
----------------------------------------------------kabhii kisii ko mukammal jahaaN nahiin miltaa
kahiin zamiin to kahiin aasmaaN nahiin miltaa
jise bhii dekhiye vo apane aap mein gum hai
zubaaN milii hai magar ham-zubaaN nahiin miltaa
bujhaa sakaa hai bhalaa kaun vaqt ke shole
ye aisii aag hai jis mein dhuaaN nahiin miltaa
tere jahaan mein aisaa nahiin ki pyaar na ho
jahaaN ummiid ho is kii vahaaN nahiin miltaa
----------------------------------------------------vo jo ham mein tum mein qaraar thaa tumhein yaad ho ke na yaad ho
vahii yaanii vaadaa nibaah kaa tumhein yaad ho ke na yaad ho
vo naye gile vo shikaayatein vo maze maze kii hikaayatein
vo har ek baat pe ruuThanaa tumhein yaad ho ke na yaad ho
koii baat aisii agar huii jo tumhaare jii ko burii lagii
to bayaaN se pahale hii bhuulanaa tumhein yaad ho ke na yaad ho
suno zikr hai kaii saal kaa, koii vaadaa mujh se thaa aap kaa
vo nibaahane kaa to zikr kyaa, tumhein yaad ho ke na yaad ho
kabhii ham mein tum mein bhii chaah thii, kabhii ham se tum se bhii raah thii
kabhii ham bhii tum bhii the aashnaa, tumhein yaad ho ke na yaad ho
hue ittefaaq se gar baham, vo vafaa jataane ko dam-ba-dam
gilaa-e-malaamat-e-arqabaa, tumhein yaad ho ke na yaad ho
vo jo lutf mujh pe the beshtar, vo karam ke haath mere haath par
mujhe sab hain yaad zaraa zaraa, tumhein yaad ho ki na yaad ho
kabhii baiThe sab hain jo ruu-ba-ruu to ishaaraton hii se guftaguu
vo bayaan shauq kaa baramalaa tumhein yaad ho ki na yaad ho
vo bigaDanaa vasl kii raat kaa, vo na maananaa kisii baat kaa
vo nahiin nahiin kii har aan adaa, tumhein yaad ho ki na yaad ho

jise aap ginte the aashnaa jise aap kahate the baavafaa
main vahii huu.N "Momin"-e-mubtalaa tumhein yaad ho ke na yaad ho
------------------------------------------------------------------------tumhare saath bhi tanha hooN tun na samjhoge,
main apne khwaab ka saya hooN tum na samjhoge
tumhaare pyaar me mujhse jo ajnabi THahri,
meiN vo khushi ki tamanna hooN, tum na samjhoge
mila ke aaNkh churaate ho tum nazar jis se,
meiN aaine ka vo chehra hooN, tum na samjhoge
tumhe qarar hai "shahzaad" se aur mujhe tumse
raqeeb aap meiN apna hooN, tum na samjhoge.
---------------------------------------------------------------------------moti ho ke shesha, jaam ke dur
jo toot gaya so toot gaya
kab ashkooN se juD sakta hai
jo toot gaya so choot gaya
tum na'haq tukray chun chun kar
daman maiN chupai baithay ho
sheshooN ka masiha koi nahi
kya aas lagai baithay ho
shayad ke inhi tukRoN maiN kaNhi
vo sagar-e-dil hai jis maiN kabhi
sad naaz se utra karti thee
sehba-e-gham-e-jaanaaN ke pari
phir dunya walaoN ne tum se
ye sagar lai ker phoR diya
jo mai thee baha de matTi maiN
mehmaan ka shehper toR diya
ye raNgeeN rezay heiN shayed
in shouq baloreeN sapnooN ke
tum mast jawani maiN sajan
khalwat ko sajaya karte thaay
na'daari, daftar bhookh aur gham
in sapnoN se takraatay rahe
bai'rehem thaa chomukh pathrao
ye kaNch ke dhaNchay kiye kertay
ya shayed in zarroN maiN kaNhi
moti hai tumhari izzat ka
vo jis se tumhaiN ujz pe bhe
shamshaad qadooN ne rashk kiya
is maal ke dhun maiN phirtay ho
tajir bhe buhat, rahzen bhe kai
hai chor nagar, yaaN muflis ke
gar jaan bachi to aan gai
ye sagar, sheshay, laal-o-gohar

saalim hooN to qeemat paatay heiN


youN tukRay tukRay hooN, to faqat
chubhtay heiN, lahoo rulwatay heiN
tum na'haq tukray chun chun kar
daman maiN chupai baithay ho
sheshooN ka masiha koi nahi
kya aas lagai baithay ho
yaadoN ke garibanoN ke rafoo
par dil ke guzar kab hoti hai
ek bakhiya udheRa, aik siya
youN umar basar kab hoti hai ?
is kar gah-e-hasti maiN jahaN
ye sagar, sheshay dhaltay heiN
har shay ka badal mil sakta hai
sab daman pur ho sakte heiN
jo hath baDhay, yawar hai yaNha
jo aaNkh uthay, vo bakhtawar
yaaN dhan doulat ka ant nahiN
hoN ghaat maiN dakoo laakh, magar
kab loot jhapat se hasti ke
dukaanaiN khaali hoti heiN
yaaN parbat parbat heray heiN
yaNha sagar sagar moti heiN
kuch loug heiN is doulat per
parday latkaai phirtay heiN
har parbat ko har sagar ko
neelaam chaDhatay phirtay heiN
kuch loug vo bhe heiN jo laD bhiD ker
ye parday nouch giratay heiN
hasti ke uthai geerooN ke
her chaal uljhai jatay heiN
in dono maiN run paDta hai
nit basti basti nagar nagar
her bastay ghar ke seenay maiN
her chalti raah ke maathay per
ye
vo
ye
vo

kaalak bhartay phirtay heiN


jout jagatay rehte heiN
aag lagatay rehte heiN
aag bujhatay rehte heiN

sub sagar, sheshay, laal-o-gohar


is baazi maiN bad jatay heiN
utho sub khali haathoN ko
is run se bulaway aatay heiN
--------------------------------------------------------------------------------hinaa-e-ghaer khud apne haathoN use lagaa di humne
vafaa ki chalo ye rasm bhi nibhaa di humne
zabaan-e-kalam huaa karte jo kabhi meri

guzre huye vakt ki nazm banaa di humne


phir dhalee shaam hai tassavur aapka
bhujhte sholoN ko zara phir se havaa di humne
yooN na thaa ke anjaam hum se vaakif they
kismat ki baat thee so aazmaa di humne
hai barq pey ilzaam-e-aatishzadgi bejaa
nasheman ko tou khud hi aag lagaa di humne
zindgi ki chaahat "Azal" baDi shaayaraana thee
so bey-behr ik ghazal hi banaa di humne
-------------------------------------------------------------------------------Mobhaabt zindagi ki sabse mushkil aazmaaish hai
Lekin yeh aazmaa lene laayak aazmaaish hai
-------------------------------------------------------------------------------O, how this spring of love resembleth
The uncertain glory of an April day,
Which now shows all the beauty of the sun,
And by-and-by a cloud takes all away.
--------------------------------------------------------------------------------

You might also like