You are on page 1of 4

Chapter 10 : Introduction of Gateway of Tally

Tally me Company Create kar lene ke baad jo sabse pehla Page Open hota hai use Gateway of
Tally Kehte hai.

Jaisa ki Aap Photo me Dekh Sakte hai.

Ab is Photo ko ham kuch Parts me Divide kar denge jis se ki ham Gateway of Tally ko Acche se
samajh Payenge ki Gateway of Tally me Kya Kya Function hote hai aur kaha kaha Hote hai.

Ham Number Wise Gateway of Tally ko Ek ek Karke Samajhte hai.


Upar Diye Gaye Photo ke Anusar ham point By point Samajhte hai.

1. Menu Bar
Jis Tarah Har Software me menu Bar Hota hai usi Tarah Tally me Bhi Ise menu Bar Kehte hai.
Isme Alag Alag Option Hote hai Jo is parkar hai.

 Print - Kisi Bhi Report Ya Bill Ko Print Karne ke liye.


 Export - Kisi bhi Tarah ki Report ko Excel me Export karne ke liye.
 Email - Koi bhi Report ya bill ko Mail Karne ke Liye.
 Upload - Kisi Bhi Tarah ka Data Upload Karne ke liye.
 Tally Shop - Tally se Extra Features ke TDL kharidne Ke liye.
 Language - Language Change karne Ke liye.
 Keyboard - Keyboard ki Language Karne ke liye
 Control Center - Kisi Bhi Tarah ki tally Help Ke liye.
 Support Center - Kisi bhi Tarah ka tally Support Paane ke liye.
 Help - Tally me Kisi Bhi Tarah ki Help Lene Ke Liye.
2. Function Bar
Is point ko Function Bar Kehte hai Kyunki isme Jitene Bhi Function hai Un Sabhi ko Use Karne
Ka shortcut keyboard me jo Function key hote hai F1 se Lekar F12 tak jyada tar yahi Key Use
me Li Jati hai. isliye ise Function Bar Kehte hai.

Tally ke Alag Alag page Par Function Bar Change Hote rehte hai Filhal Gateway of Tally par Jo
Function Bar me Option hai wo Kuch Is tarah hai.

 F1 (Select Company) - Tally me Bani hui Kisi bhi Company ko Select Karne ke liye.
 ALT+F1 (Shut Company) - Pehle se Khuli Hui Company ko Band Karne ke liye,
 F2 (Date) - Entry Karte Waqt ya Report Dekhte Waqt Date Change Karne ke liye.
 ALT+F2 (Period) - Period Change Karne ke liye.
 ALT+F3 (Company Info) - Pehle Se Bani Hui Company Ko Edit Karne Ya Delete
karne Ke liye
 F11 (Features) - Tally me Dusre Features ko Activate Karne ke liye
 F12 (Configure) - Tally me Bahari Features ko Configure Karne ke liye & Settings
Change Karne ke Liye

3. Company Information Bar


Yaha par Aapko jo Company Aapne Kholi Hui hai uski Kuch Information Milegi jaise.

 Company Current Period - Abhi Kaunsa Financial Year active hai.


 Current Date - Tally me Abhi Kaunsi Date Lagi Hui Hai.
 Name of Company - Abhi Kaunsi Company Open ki hui Hai.
 Date of last Entry - is Company me Last Entry kis Tarikh ko Hui hai

4. Main Gateway of Tally


Tally ka yahi Main Page hai Chahe Kisi bhi Tarah ka Kaam ho Ledger Banana ho, Stock Item
banana ho, Kisi bhi Tarah ki Entry karni ho ya Phir Kisi bhi Tarah ki Reports Dekhni ho. Sab
Kam Yahi Par hote hai.

aur Ye Gateway of Tally ka main part 4 Parts me Divide hota hai jo kuch is tarah hai.

1. Masters - Kisi bhi Tarah ka Ledger Ya Items, Naya Banana Ho, ya Pehle Se Bane huwe
ledger ya item Ko Edit karna ho ya Delete karna ho wo Sab yahi Par hota hai.
2. Transaction - Tally me kisi Bhi tarah ki Entry karne ke liye is function ka Use kiya jata
hai.
3. Utilities - Tally ke Kuch Advance Features ka Use karne ke liye is function ka use kiya
jata hai jo jarurat ke mutabik hi istemal kiye jate hai.
4. Reports - kisi Bhi Tarah ki Reports is Funtion ke Andar dekhi Jati hai.
5. Tally Information Bar
Yaha par Tally se Related information hote hai jaise

 Tally Logo - Sabse Pehle Tally ka logo Yaha Par Diya huwa hai
 Version & Updates - Install Kiye huwe Tally Ka Version & Updates Available hai to
uski Jankari
 License & serial - Agar Aapne Tally Kharida huwa hai to Uska Serial Number & license
ki Jankari Yaha Milti hai.
 Configuration - ODBC server Check Karne ke liye
 Calculator - Tally me Calculator ko use karne ke liye

You might also like