You are on page 1of 14

BETTERCREATOR.

COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

101 Blog Ideas


Hi doston, is PDF me apko blog shuru karne ke liye 101 topics ki list di gayi hai,
aap inme se kisi par blog shuru kar skte hain ya inhe dekh kar inspire ho sakte
hain kisi aur related topic par bog shuru karne ke liye.

Shuru karne se pehle me apko ye bata du, ki aap unhi topic par blog
banaye

 jinme aapka interest ho


 jinke bare me padhna aapko pasand ho
 jiske bare me aap acche se apni knowledge share kar skte ho
 jiske bare me logo ko padhne me interest ho? – kya log un topics ke
upar sawaal puchte hain?

ab shuru karte hain 101 blog ideas ki list :

1. Health & Fitness Blog – weight loss, weight gain, dark circles kaise
remove kare, diabetes kaise kam kare, blood pressure kaise normal
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

maintain rakhe etc.

2. Beauty Blog – skin care, body care, hair care – baalo ka girna kaise
roke, baal straight kaise rakhe, makeup kaise kare, hair style tutorials

3. Gharelu Nushke – Ayurveda home-made remedies for cure of diseases

4. Business ideas – alag alag tarah ke business start karne ke pura


process, business kaise badhaye, business card kahaan se banwaye,
business setup karne me kitna kharcha ayega, office setup kaise kare,
best coworking space in lucknow, Noida etc.

5. Startup & business news – kaunse startup ko kitni investment mili, kaunsa
startup kis idea ke upar kaam kar rha hai, kaunsi problem solve kar rha
hai

6. Online Money Blog – alag alag online rupaye kamane ke tarike,


freelancing se rupaye kaise kamaye, article likh kar rupaye kaise
kamaye, College ke saath saath online part time work kaise kare,
kahaan kare etc.

7. Education & career – pilot kaise bane, doctor kaise bane, chartered
accountant kaise bane…aise har career ke upar article likh sakte hain

8. Product comparison blog – yahaan aap alag alag brand ke products


ko compare kar sakte hain aur bata skte hain kaunsa product jyada
accha hai aur kyun

9. Song Lyrics – jo bhi latest song aaya hai uske bol/lyrics likh kar bana
skte hain…bahut search karte hain log gaane ka lyrics

10. Gadgets review blog – isme aap laptop, mobile, headphone, smart
watch, Virtual Assistant jaise Amazon Alexa, Google Home aur baki
gadget ka review likh sakte hain

11. Automobile review – bike, car comparion aur review, best sports bike,
best SUVs under 30 lakhs, best 150cc bike, Hero Glamour Vs Passion Pro
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

etc.

12. Mobile help Blog – har mobile me jo bhi dikkat hoti hai uska solution,
tips & tricks. Example : Redmi Note 4 me PUBG kaise khele, MX Player
automatically stops in Redmi Note 4 uska solution etc.

13. Entertainment Review – movie ka review, gaane ka review, south indian


dubbed movie kab release ho rhi hai uski information

14. Life Coach Blog - Personality Development aur motivational articles


post kiya ja sakta hai yahaan – confident kaise bane, naye dost kaise
banaye, interview ki tayari kaise kare etc.

15. Job vacancies – sarkari naukari, private naukari ki vacancies, exam


details ke bare me

16. Trending News – jo bhi news trending ya viral ho rhi hai uske bare me
article like sakte hain

17. Mystery blog – Alien, UFO, Ghost, jalpari, Bermuda Triangle, Iceman,
Unresolved mysteries, Conspiracy theories, Illuminati, in sab topics ke
upar

18. Top 10 blog – Top 10 politicians, Top 10 Cricketers, Top 10 actors, Top 10
horror movies etc.

19. How to Blog – Tutorial blog – email kaise banaye, youtube channel
kaise banaye, aadhar card kaise apply kare, pan card kaise banaye
etc.

20. Technology Explain – Printer kaise kaam karta hai, laser light kaise
kaam karti hai, Electric car kaise chalti hai, uske peeche ki technology ,
virtual reality kaise kaam karti hai, 3d lens kaise kaam karti hai etc.

21. Travel – rajasthan me ghumne ki jagah, patna me ghumne ki jagah,


Kanpur me ghumne ki jagah, kam budget me kaise travel kare, Best
Travel bags review
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

22. Cooking & Recipes Blog – tasty aloo parantha kaise banaye, ghar me
pizza kaise banaye, restaurant jaisa butter paneer masala kaise
banaye, hostel me rehne wale students ke liye easy breakfast recipes

23. Interview Question Collection – job interview question and answers, ias
interview questions, tech interview questions, google interview
questions

24. Relationship Advice – Dating aur love ke upar advice – ladki se kaise
baat kare, kis tarah ka gift de, pehli date par kahaan le jaye etc.

25. Men Fashion Blog – hairstyle tips, party me jane ke liye kaise tayar ho,
interview me kaise kapde pehne etc.

26. Finance & Investment – agar aapko jankaari hai tabhi is blog ko shuru
kare – rupaye kahaan invest kare, bank ka account kaise khole,
mutual fund kya hota hai, stock market me kaise nivesh karte hain, best
stock market nivesh karne wali company kaunsi hai, tax kaise bachaye
etc.

27. Celebrity Information – height, weight, age, net worth,


girlfriend/boyfriend, marriage etc.

28. Biography – successful logo ki biography like mark Zuckerberg, steve


jobs, apj abdul kalam, atal Bihari bajpayee

29. Agriculture – kheti kaise kare, paudho ki upjao kaise badhaye, kaunsa
khad sahi rhta hai, bade tamatar kaise upjaye, ganne ki kheti kaise
kare, adhunik kheti karne ke upay, apna upjao market me kaise sell
kare, kis daam par sell kare, vertical farming kaise kare, Sarkar ki taraf
se Minimum Support Price kya hai..

30. Festival Wishes – har tyohaar par article likha ja skta hai, Diwali wishes,
new year wishes, holi wishes, raksha bandhan greetings

31. Android Apps – video edit karne ke liye apps, best game wale apps,
students ke liye best apps, photo edit karne ke liye best apps, online
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

dating ke best apps etc.

32. Astrology Blog – astrologers ke liye ye sabse best blog hoga,


horoscope, numerology, palm reading

33. Puja Blog – Diwali puja kaise kare, ganesh puja kaise kare, laxmi
bhagwaan ke mantra, shiv bhagwaan ke mantra. Isi tarah aap apne
religion ke liye bana sakte hain.

34. Temples of India/World – isme aap bharat aur duniya ke har mandir ke
bare me details daal sakte hain, unhe kis time par visit karna chahiye,
kab open rhta hai kab close rhta hai, aas paas kahaan raha ja skta
hai, kaise pahucha ja sakt hai – iski puri details ek hi site par compile kar
ke. Isi tarah girjaghar, gurudwara, church [aur baki religion ke religious
places] ke upar bhi kiya ja skta hai

35. Sports blog – cricket updates, football, kabaddi, IPL, kaunsa player
kitne me khairda gaya, kabaddi premier league, Indian Super league,
Indian players with their wives/girlfriends (ye sab bahut dekhte hain log)
etc.

36. Fantasy sports blog – fantasy sports khelne ke liye best websites and
apps, dream 11 me apni team kaise select kare etc. Note : Gambling
ya betting ke upar blog na banaye bharat me bahut jagah ye illegal
hai aur apko google ads nahi milenge aur legal issue bhi ho sakta hai.

37. Social Media – Whatsapp status, facebook status collection, best


whatsapp groups, best telegram groups, best facebook groups etc.

38. Kitchen Tips – best cooker, best tawa, kitchen kaise sajaye, lpg
connection kaise le etc.

39. Online Course – best online course to learn photography, best online
course to learn photoshop, top online courses to learn data science,
online degree ke liye best university etc.

40. Political News – jinka politics me interest hain unke liye ye sahi blog
rahega, aap daily jo bhi bade news aa rhe hain politics ke unke upar
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

detail me puri jankari de sakte hain

41. Study Materials – jo bhi exam a rha hai uski tayari karne ke liye study
material ka collection

42. Local Area Blog – City ya state ke upar – ghumne ki jagah, best
coaching for guitar, best dance teachers in patna etc.

43. Parenting Blog – chote baccho ki dekh bhaal kaise kare, kitne saal par
kya khilaye, bacche gali de to kya kare, healtyh foods for kids,
breastfeeding sahi tarike se kaise kare, apne baccho ki online safety
kaise kare, baccho ke liye best skin care products kaunsa hai

44. Pregnancy Blog – Pregnancy shuru se end tak kya sawdhaani bartein,
pregnancy exercise, weight loss after pregnancy, pregnancy ke time
kya khaye, kya na khaye

45. Decoration / Interior designing/ Home decor / Craft– ghar ko kaise


sajaye, used saman se pen stand kaise banaye, key chain holder kaise
banaye, mehndi designs etc.

46. Gaming blog – best games ke review, best android games, best pc
games, best pc setup for playing games, new games review, best xbox
games

47. Sewing Blogs – kapde kaise seeye, sweater kaise banaye, jeans ko
kaise seeye, ghar par carry bag kaise banaye

48. Wedding blogs – wedding dress select krte waqt ye sab batein dhyaan
rkhe, wedding destination kaise select kare, wedding ki photography
ke styles, best mehndi for wedding, wedding par kya gift de

49. Yoga & Meditation – Yoga for increasing height, yoga for weight loss,
yoga to reduce belly fat, yoga for better breathing, meditation kaise
kare, best meditation apps, meditation ke fayde

50. Language Learning Blogs – English seekhe, hindi seekhe, English


grammar tips, English kaise bole, English sikhne ke liye best apps, English
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

dialogues between customer and business owner, conversation


between student and teacher etc.

51. Gardening Blog – ghar me aloe vera kaise lagaye, rose ke paudhe ki
dekhbhaal kaise rakhein

52. Spirituality & Law of Attraction Blog – khush kaise rahe, gratitude journal
kaise banaye, law of attraction kya hota hai, Vision board kaise
banaye,

53. Photography – photoshop training, video editing, image editing ke tips


yahaan de sakte hain, mobile photography kaise kare, mobile par
video film kaise banaye etc.

54. Android App Development – android app kaise banaye, android app
se rupaye kaise kamaye, kaunsa platform best hai

55. Reality TV – All about Reality shows on TV, about their audition dates,
audition procedures, latest news gossips eliminations about
Contestants etc.

56. TV Shows Blog – Running Tv shows se related news, kahaani me aage


kya hone wala hai jaise news channel par show aate hain – Saans
bahu aur saajish, saans bahu aur betiyan usi tarah ek blog

57. Born Today – List of People born today for all days of the year.

58. Shayari/Jokes/SMS – But jo latest ho wahi kare, nahi to purane wale


already kisi ne apne blog par daal dia hoga aur apka duplicate
content hone ke kaaran Google Ads approve na kare

59. Dancing Tips – ise youtube channel ke saath kare

60. Guitar Lessons – ise youtube channel ke saath kare

61. Government Schemes Information – Sarkar ki jo bhi nayi scheme aa


rahi hai uske upar pura detail blog
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

62. Luxury Blog - Ameer log kaise rhte hain, kahaan ghumte hain, ameero
ki networth, unke wealth ke bare me articles

63. Entertainment – Celebrity Gossips, New Movie Launch Details and


related news

64. Body Building – Exercises, Diet Plans, Fitness & Exercise of Celebrities,
Upper body strength ke liye kaunsi exercise best hai, legs ke liye best
exercises, Vitamins aur Supplements ke reviews etc.

65. Windows Help & Advice – Windows operating system se related jo bhi
error hai ya technical tricks and tips hai uske upar

66. Women Blog – successful women biography, women problems and


solutions, news related to women etc.

67. Foreign Education – videsh se padhai kaise kare, university ke liye kab
kaise apply kare, kya procedure hai, naye forms ke updates, kaunsi
acchi university hai kisi particular course ke liye

68. Gulf Details – Dubai me jaa kar kaise kaam kare, kaise visa milta hai,
kaun si companies acchi hain, kahaan rahe, naye job ki vacancies
etc.

69. Book Summaries/Lessons – Acchi Kitabon ki summaries aur notes apne


shabdo me

70. Gift Ideas Blog – Birthday par kya gift de, teacher’s day par teacher ko
kya gift de, girlfriend ko pehli date par kya gift de, wedding aur
anniversary par kya gift de, retirement par kya gift de, promotion party
par kya gift de, new born baby ki party me kya gift de etc.

71. Indoor Games, Fun Challenges & Activities – Alag alag games jo log
apne bhai behen, cousins ke saath khel kar time pass kar sakte hain.
Example – Antakshri, Carom Board, Business, Ludo & Snakes, Book
Cricket , Truth or dare, Dumb Charades etc.
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

72. Adventure Lovers Blog – trekking kahaan kare, kaise kare, camping
and hiking karne kahaan jaye, bungee jumping kahaan kare, river
water rafting kahaan kare etc.

73. Home Product Reviews – jo bhi aap samaan kharidte ho uske upar
detail review, cooler kharida to uska review, Patanjali Noodles Vs
Maggi Noodles Review, best Toilet Cleaner, best detergent powder,
Online shopping site ka review – kaunsa aapko accha lagta hai aur
kyun

74. Money Saving Blog – Frugal Living, Kam rupaye me kaise rhe (reh-gujar
kare), online shopping me rupaye kaise bachaye, tax kaise kam kare,
koi online shopping festival chal rha hai to uski detail, credit card se
kaise rupaye bachaye, travel karne waqt rupaye kaise bachaye –
saste lodge me reh kar, mehnge products ke saste (aur acche)
alternatives etc.

75. Science Blog – yahaan aap scientific concepts ko easy aur interesting
tarike se explain kar skte hain. New Research, Space Science,
Innovative Products, Future me use hone wali technologies ke bare me
likha ja sakta hai
76. History Blog – historical figures ke upar articles, wars ki explanation,
purane civilization ki details

77. Life Hack Blogs – productivity tips, Uncommon solutions to common


problems, First aid box kaise banaye, bhukamp ke time khud ko kaise
bachaye, barsaat me machar se bachne ke upay etc.

78. Movies Explain, Blunders – Is blog par aap complex science fiction wali
movies ko explain kar sakte ho, Bollywood movies me jo galtiyan karte
hain unke bare me post kar skte ho

79. Programming – Isme aap hindi me coding karna, programming


languages jaise c ++ , java, php etc. sikha skte hain, hamare colleges
me bahut ghatiya tarike se sikhate hain aur hindi me sikhane wala koi
badhiya blog hai nahi, aapko traffic to milega hi aap bahut logo ka
career bhi bana denge. Isse jyada satisfaction aur kis kaam milega?
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

80. Easy maths – competition exams ke maths ke question solve karne ke


liye shortcut tricks, vedic maths ke formulae – baad me isme aap apni
ebook sell kar skte hain, online test series sell kar skte hain ya fir apne
coaching institute ko promote kar skte hain.

81. Fight Lovers Blog - Wrestling / Boxing / Fighting Championships se


related updates, news aur articles – Top 10 WWE Finishers, Top 10
Women Wrestlers in WWE, Best Fights of John Cena, Top 10 Wrestlers
brutally beaten up by The Great Khali etc.

82. Internet Stars – India aur videsh ke top Internet celebrities ke upar blog
likh sakte hain jo musically, youtube, blog, Instagram par famous hain.
Unse judi latest news updates, gossips aur unke future plans ka update
kar skte hain.

83. Events Blog – Aane wale Events ke upar updates like college festivals,
kisi musician ka live concert, standup comedian ka live show aur inki
ticket kahaan se buy kare etc.

84. Indian Laws – Agar aap law background se hai to aapke liye sabse
badhiya ye topic rhega jahaan aap kanoon ke niyam ko saral shabdo
me samjhayenge. Topics – Consumer complaint kaise kare, online
harassment ki complain kaise kare, property lene waqt kin laws ka
dhyaan rkhe, online fraud ki complain kaise kare etc.

85. Current Affairs & General Knowledge – Aaj Kal har exam me current
affairs ya general knowledge to pucha jata hi hain, even interview me
current affairs ke prashn kiye jate hain, aise me GK blog par bahut
jyada traffic kam time me mil sakta hai. Is par aap Quiz shows ke
answer bhi daal sakte hain jaise KBC seasons ke dauraan jo pucha jata
hai.

86. Apple Products Blog - Iphone, Ipad, MacOS etc. ke upar tricks and
tips, latest updates wala blog. Iphone ka craze to apko pata hi hai
kitna hota hai, traffic bhi bahut hoga in blogs par.

87. Group Discussion/ Essays – GD topics le kar uske upar dono taraf se
points likh kar aap interview ki preparation karne walo ke liye ek bahut
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

accha blog bana skte ho. News channels par aksar koi na koi debate
aati hai, un topics ko aap apne blog par daal skte ho, kuch important
points ke saath.

88. Dog & pet Blog – aaj kal me dekh rha hu dheere dheere paltu kutte
rkhne ka trend badh rha hai aise me agar aapke paas bhi ek paltu
kutta hai to aap is blog ki badi aasani se maintain kar payenge. Kuch
topics jin par aap likh sakte hain – Puppy diet requirement, is pedigree
good for your dog – review post, apne kutte ko kitne time par nehlaye,
vaccination and deworming schedule for your dogs etc.

89. Freelancing – Freelance site ka review, best website for freelance


writer, freelancing ka rate kaise badhaye, freelance job kaise paye,
freelancing sites par apna reviews aur ratings kaise badhaye, client
satisfaction kaise de freelancing karte time etc.

90. Magic Tricks – Simple jadu ke tricks jo log ghar par kar skte hain, jaise
card tricks, number games etc.

91. Scholarship Updates – kaunsi university, ngo ya company scholarship


de rhi hai uski puri details, kaise apply karna hai, kya eligibility hai etc.

92. College/University Notes & Assignments – iske liye apko alag alag
forums aur blogs se notes compile karna hoga aur apne blog par
dalna hoga. Example – IGNOU notes, Delhi SOL Notes etc. In blogs par
hadd se jyada traffic aata hai

93. Real Estate – Rehne ke liye plots, flats kahaan kharide, Commercial
property me kaise invest kare, kaun kaunse documents bharne padte
hain, alag alag state me kya rules hai, Property kharidte time kin
batonka dhyaan rkhe, property dealer se property ka daam kaise
negotiate kare, naye projects ke bare me jaankari, naye ghar ke liye
vastu Shastra tips etc.

94. Online Sellers Blog – apna samaan online kaise beche, amazon par
sellar kaise bane, flipkart par seller kaise bane, paytm par seller kaise
bane, shopify bs shopmatic in india, thok ka maal kahaan se kharide,
kaunse company se product shipping karaye, product ki online
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

marketing kaise kare, discount aur coupon ka use karke kaise sale
badhaye etc. – online selling karne wale logo ki har problems ka
samadhaan yahaan kar skte he aap apne articles se.

95. Web Series Review – Netflix, Amazon Prime, Viu, Hotstar aur youtube
par aane wale shows/web series ka review kar skte hain, aaj kal iska
bahut craze badh rha hai aur traffic bhi bahut aasani se mil jayega.

96. MLM Reviews & Tips – Desh me aaj 1000 se jyada Multi-Level
Marketing/Direct Selling wali companies ho gayi hain, join karne ke
pehle log pehle us company ko google par search karte hain ki kaisi
company hai – agar aapne har ek company ka pura detail daal dia –
kaise join karna hai, kitna rupaye lete hain, kitna kama skte hain,
earning scheme kya hai (pyramid structure hai ya 2 leg chalane hain),
kaun kaun se products hain, user review kya hai etc. to aapko jitna
traffic milega uska aap andaaja bhi nahi laga skte, upar se aap galat
aur fraud company ko expose karke bahut logo ke rupaye bhi
bachayenge – wo satisfaction lakho rupaye se badh kar hai. Is blog
par aap in mlm companies se jude logo ka interview bhi le sakte hain,
apne koi acchi company join ki hai to usko promote kar skte ho, apne
under jyada se jyada logo ko kaise jodein uske upar tips aur advice de
sakte hain.

97. Important Days Blog – Duniya bhar me jo bhi important days aur
holidays hote hain unki details. Jaise January 10 – World Hindi Day, Sept
15 – Engineers day inke upar details ki kyun manaya jata hai shuruat
kahaan se hui kab hui etc. iske saath hi ek history ka compilation bhi
kar skte hain like ‘today in history’ [Aaj ka itihaas] aur daywise
important historical events ko compile karke daily ek naya post bana
skte hain.

98. Software Reviews & Tutorials Blog – best software to download youtube
videos, best audio editing software for windows – free & paid
(download link bas free wale ka dena), paid wale ka doge to legal
issue aa sakta hai aur ads disable ho sakte hain. Is blog par aap tutorial
bhi daal sakte ho jaise – how to edit audio using audacity, how to
convert .mobi to .epub using calibre software
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

99. Excel Tutorials – MS excel aisi chij hai jise jitna sikho kam hai aur
IT/Commerce Field me har insaan ko aani chahiye par iska koi simple
hindi bhasha me samjhane wala blog nahi hai. Ispe kaam kar ke acchi
traffic generate ki ja sakti hai, India me English me excel par blog bana
kar ek blogger to crorepati bhi ban chukka hai. Bahut demand rhti hai
excel ke upar tricks, formula aur charts ki.

100. Comics & Anime Blog – isme aap alag alag comic Superhero,
Anime/Manga Shows aur superheroes par aane wali movies ki details
post kar skte ho. India me aisa koi blog nahi hai aur agar apka isme
interest hai to aap ek acchi khaasi fan following bana skte ho aur loyal
traffic generate kar skte ho.

101. Website Review/Suggestions – website to download free images,


website to download facebook videos, website to convert pdf to doc
online, website to download youtube videos, best websites when you
are bored etc.

Apne Blog ka domain aur hosting aap Is link par click karke discounted
rates me le sakte ho. Me yahi host use karta hu apne blogs ke liye aur
itne saalo me kabhi bhi mujhe koi dikkat nahi aayi hai.

Discount Link For Domain & Hosting

Movie/Song/Software Download Links wali website par traffic to bahut aata


hai, par aise blogs par google adsense disable ho jata hai aur risk bahut hai
(legal risk) isiliye better hai aise blogs na banaye aur isiliye maine use is list me
include nahi kia hai.

Bahut se youtube channel aur blogs par aapko ye bhi salah di gayi hogi ki
blogging aur digital marketing ke upar blog bana le.

Par jo pehli baar blog shuru kar rha hai, me use recommend nahi karta ki wo
in topics par kaam kare kyunki
BETTERCREATOR.COM BY DEEPAK SINGH RATHORE

- Yahaan already bahut professional bloggers hain aur bahut


competition hai aur is wajah se rupaye kamane me jyada time lagega.
- Me chahta hu aap jald se jald rupaye kamao un topics par likh kar
jahaan competition kam hai

Milta hu apko Private Facebook Group, wahaan aap apne doubts puch
sakte ho.

You might also like