You are on page 1of 2

SCENE 04: NIGHT: INT: TRAINING SITE MUMBAI

(Frame opens- Ibrahim aur emaan aamne saamne baithe hain)

Ibrahim
(Ibrahim mobile deta hain emaan ko)
Yeh dekho … tumhari ammi ko police ne sahi Salamat humare kehne par ghar chod
diya hain.

Emaan
(cries a bit) shukriyan bhaijaan shukriyaan …

Ibrahim
Emaan, mere bhai, ismain shukriyan kis baat ka … itna toh hum kar he sakte hain.
lekin ab main rizwan k liye iske aage kuch kar nahi paunga

Emaan
Main samjha nahi bhaijaan …

Ibrahim
Rizwan k liye ab tumhe he kuch karna padega … juniad ko maar diya gaya hain.

Emaan
(shock) kya?

Ibrahim
Han…

Emaan
Kisne?

Ibrahim
Mukhtar ne

Emaan
Lekin kyun …

Ibrahim
Juniad ne mukhtar ki baat na mankar apne ghar waloan se baat karne ki koshish ki …
islye use badi behrehmi se jaan se maar diya mukhtar ne

Emaan
(shocked and confused …) bhaijaan junaid k abbu ki tabiyat thik nahi hain isilye usne
ghar baat ki hogi … bass itni se baat k liye usse maar diya
Ibrahim
Emaan, juniad ko itnisi baat k liye jaan se maar diya… rizwan ne mukhtar par sabke
samne haath uhtaya tha … mujhe darr hain ki Rizwan k saath kuch galat na karde
mukhtar

Emaan
Nahi bhaijaan aise kaise woh Rizwan ko kuch kar sakta hain … aap kuch kijiye
bhaijaan aap kuch kijiye

Ibrahim
Mere Bhai samjho haath, mere bandhe hue hain, ismain main tumhari koi madat
nahi kar sakta…
Ab tumhe ki kuch karna padega

Emaan
Lekin kaise … mujhe toh yeh tak nahi pata use kaha rakha gaya hain. mujhe kuch
samjh nahi aaraha hain. aap he kuch raasta bataiye bhaijaan

Ibrahim
(after some pause)
Tumhari jaan bachane k liye Rizwan ne kisi ki jaan lele … ab tumhe bhi wahi karna
padega

Emaan
(hairan hokar) kisi ki jaan lena … nahi main aur kisiki jaan nahi le sakta

Ibrahim
Ab khud k liye khade hone ka waqt aagaya hain emaan … tumhe jald he mukhtar ko
jaan se marna hoga. Agar dair hogayi toh Rizwan ko, apne bhai jaise dost ko kayi
khona na padjaye tumhe.

(emaan bahaot he dara hua hain usse rizwaan ki bhi fikra ho rahi hain.)

Ibrahim
Kisi ko agar pata chal gaya k tumhe yeh sab pata hain … toh kayi mukhtar Rizwan ko
ussi waqt na … isliye emaan kisi ko pata ne lagne paaye. Ab faisala aur Rizwan ki
zindagi tumhare haaothoan main hain.

(emaan bahoat he ghabraya hua hain, use samajh nahi raaha hain ki kya kiya jaaye.

You might also like