You are on page 1of 2

zulmat ko ziyā sarsar ko sabā bande ko ḳhudā kyā likhnā

patthar ko guhar dīvār ko dar kargas ko humā kyā likhnā

ik hashr bapā hai ghar meñ dam ghuTtā hai gumbad-e-be-dar meñ

ik shaḳhs ke hāthoñ muddat se rusvā hai vatan duniyā-bhar meñ

ai dīda-varo is zillat ko qismat kā likhā kyā likhnā

zulmat ko ziyā sarsar ko sabā bande ko ḳhudā kyā likhnā

ye ahl-e-hashm ye dārā-o-jam sab naqsh bar-āb haiñ ai hamdam

miT jā.eñge sab parvarda-e-shab ai ahl-e-vafā rah jā.eñge ham

ho jaañ kā ziyāñ par qātil ko ma.asūm-adā kyā likhnā

zulmat ko ziyā sarsar ko sabā bande ko ḳhudā kyā likhnā

logoñ pe hī ham ne jaañ vaarī kī ham ne hī unhī kī ġham-ḳhvārī

hote haiñ to hoñ ye haath qalam shā.er na baneñge darbārī

iblīs-numā insānoñ kī ai dost sanā kyā likhnā

zulmat ko ziyā sarsar ko sabā bande ko ḳhudā kyā likhnā

haq baat pe koḌe aur zindāñ bātil ke shikanje meñ hai ye jaañ

insāñ haiñ ki sahme baiThe haiñ ḳhuñḳhār darinde haiñ raqsāñ

is zulm-o-sitam ko lutf-o-karam is dukh ko davā kyā likhnā

zulmat ko ziyā sarsar ko sabā bande ko ḳhudā kyā likhnā

har shaam yahāñ shām-e-vīrāñ āseb-zada raste galiyāñ


jis shahr kī dhun meñ nikle the vo shahr dil-e-barbād kahāñ

sahrā ko chaman ban kar gulshan bādal ko ridā kyā likhnā

zulmat ko ziyā sarsar ko sabā bande ko ḳhudā kyā likhnā

ai mere vatan ke fankāro zulmat pe na apnā fan vaaro

ye mahl-sarāoñ ke baasī qātil haiñ sabhī apne yaaro

virse meñ hameñ ye ġham hai milā is ġham ko nayā kyā likhnā

zulmat ko ziyā sarsar ko sabā bande ko ḳhudā kyā likhnā

You might also like