You are on page 1of 6

Duvidha Hindi song

By Jagadish

Meri duvidha kaun jane

Kaam karna chaha kisne mana kiya

Paisa chahiye tha ameer banne ke liye

Kaun si job lunga

Duvidha mein pad gaya ji

Koi bhi job lu

Kaun si ladki padharegi

Main nahi janta

Shaadi karne ka saubhagya hain

Job chahiye jaroorat hain

Kis job se ladki ayegi

Gori ya kali mujhe hain dar lagta

Puchne par pata chala

Kum paiso mein sawli milti hain

Aur ameer bana to gori chitti

Duniya badi rangeen hain

Job se shuruvat karni padti hain

Kaun si course karoo

Ladki kyon chahiye


Duvidha mein main aisa phasa

Mummy kehti bano doctor

Papa kehte officer

Engineer ban jau bhaya

Behna kehti aksar

Duniya mein aye to shaadi mubarak

Kaun si disha chunu

Ayega apsara mere dwaar pe

Ya kamsin kali kaun jane

Naukri mil gayi to sab samjhauta ho gaya

Kaun si padharegi

Duvidha mein main phas gaya

Choti si umr mein hi maine puchna shuru kar diya

Ladkiyon ne bhi apni kahani dauhara di

Main duvidha mein tha

Bahar akar doondne laga

Meri takdeer ka faisla

Shaadi ke mandap mein hi sajega

Duniya badi rangeen hain

Job se shuruvat karni padti hain

Kaun si course karoo

Ladki chahiye gori


Naukri karne ka saubhagya dekho

Intermediate ki shiksha

Naukri mein jam kar atak gayi

Madhyam gati ki school hain

Phir bhi boli badi chaudi

Galti karoo isme

To ladki gayi videsh

Aur main thehar gaya swadesh

Papa ki baat maan lu

To meri zindagi aaraam

Yeh maine kabhi nahi seekha

Apne bal bute par sikka fenka

To puri zindagi kisi ko nahi kosna

Ghar wale to apni ray to denge

Maine manga ek diya sau ka wajan

Puchunga to sochte reh jaunga

Ki meri kismat main azmau aur ameer banu

Ya ghar ki baat sunkar government ki naukri karoo

Duniya badi rangeen hain

Job se shuruvat karni padti hain

Kaun si course karoo

Ladki chahiye khubsurat


Meri duvidha kaun jane

Kaam karna chaha kisne mana kiya

Paisa chahiye tha ameer banne ke liye

Kaun si job lunga

Duvidha mein pad gaya ji

Shastro ke anusar

Meri naukri lagegi videsh mein

Maine passport hi nahi liya

To hogi kya videsh

Main to tikne wala hun swadesh

To shastro ke anusaar

Meri duvidhayi hogi anek

Koi bhi job lu

Kaun si ladki padharegi

Main nahi janta

Shaadi karne ka saubhagya hain

Job chahiye jaroorat hain

Duniya badi rangeen hain

Job se shuruvat karni padti hain

Kaun si course karoo

Ladki chahiye ameer khandaan ki


Hamare desh mein kaun hain ameer

Jise bhi dekho karta yahi baat

Ameer banna hain to doosro ke paise se

Khud ke paise kabhi gavane ke liye nahi

Aisho aram ki zindagi chahiye

To shaadi karke mauj se raho

Duniya mein aye to shaadi mubarak

Kaun si disha chunu

Ayega apsara mere dwaar pe

Ya kamsin kali kaun jane

Naukri mil gayi to sab samjhauta ho gaya

Kaun si padharegi

Duvidha mein main phas gaya

Apne bal bute par agar maine karobar ki

Aur luck ki apeksha karke maine kamayi ki

Choti si umr mein businessman bana

Aur arabpati karodpati ka saubhagya mila

To mere samne apsarao ki line lag jayegi

Aur gali ke sare ladke mere ird gird ghumenge


Duniya badi rangeen hain

Job se shuruvat karni padti hain

Kaun si course karoo

Ladki chahiye ameer khandaan ki

Mili bhi to karobar karke

END OF DUVIDHA SONG

You might also like