You are on page 1of 17

E1.

The Beginning
Anand ek brilliant , bright and inteligente student jo
engineer ki padai kar raha tha . Anand ek shant sa rehnewala
ladka he aur use jyada baat karna bhi pasand nahi aur isi
characteristics ke vajah se uske jyada dost nahi pr uske do bade
najdik ke dost the Amarsh aur maru . Collage ka jyadatar samay
Anand in dono ke saath hi bitata tha pr jb collage se ghar , ghar
pr uske jyada dost nahi the isi li a wo ghar ka jyada samay kitab
padne nahi tho mobile pe kuch jankari hasil karne me bitata tha
. Anand ko quiz compitation bohot jyada pasand the ek baar
Amarsh ne use ek ONLINE QUIZ COMPITITION ke bare me bataya
Anand ne bhi use compitition me resister kiya . Use compitition
ke bare me bata tu to use compitition me kul 10 round the har
round ek alag subject ke liye tha . Aur har round me 10 -10
question puche jane wale the aur jo 10 questions ka sahi jawab
dega vahi next round me qualify karega.quiz compitition 10 din
ka tha aur prize bhi accha khasa tha aur compitition ka samay bhi
raat ka tha .
Compitition suru jis raat ko first round tha nearly 1 lakh
participants the use me se sirf 15000 hi next round ke li a
qualified huye socho kitna though hoga compitition . Anand
qualify kiya pr uske friend qualify nahi kar paye . Next day jab sab
collage gaye tab pure collage campous me usi compitition ki
gosib ho rahi thi . Us samay Anand sayad 1000 rank par tha . Next
round bhi Anand ne clear kar liya dekhte hi dekhte wo final round
tak pohoch chuka tha ab last day tha compitition ka ab jo final
weround tha wo toughest round hone wala tha is round me 13
participants hi bache the aur 13 no pe tha Anand jab compitition
khatm hua tab ranking dekhkar sab shock ho gaye Anand ne is
round me top kiya tha aur pure compitition me usne 1 rank hasil
kar li thi . Aur sabhi winners ko kuch dino baad Ek bohot bade
function me bhulaya gaya prize ceromony ke li a .Anand aur baki
winners ka bohot badiya wellcome kiya gaya kuch samay me
prize ceremony start hone wali thi Anand ke saath uske do friend
bhi aaye the akarsh aur maru . Prize to top 3 ko diya jane wala
tha pr Anand ko us prize se jyada us honer ki padi thi jo prize
milne wala tha wo function chief guest desh ke sabse bade
scientist ke hatho se milne wala tha . Wow kitna bada din tha
Anand ka .
To prize ke li a 3 position ko bulaya gaya jo ek ladki thi
akansa yahi naam announce kiya tha host ne but us samay wo
ladki aayi nahi prize lene ke li a . Uske baad 2 nd position ko
bulaya gaya aur usne apna price li aa aur finaly ab Anand ka naam
aane wala tha tabi piche se ek ladki shout karte aayi wo wahi thi
3 rd position wali aakansa to wo gayi Anand kr aage aur usne
apna prize le liya but Anand us ladki ko dekhta hi rah gaya I think
he is fall in love . Finaly Anand ne apna prize le hi li aa .
Jab last me chief guest ke saath sabhi winner ne photo click
ki tabhi chief guest ne sabhi winner ko ek baat kahi “TO LIVE FOR
COUNTRY TO DIE FOR COUNTRY “ yahi baat Anand ke dil ko
touch kar gayi . Chalo wo din to gaya pr ab Anand ke dil me us
ladki ki tasvir chap gayi thi he is fall in love but wo din tha uske
baad wo ladki kabhi dikhi hi nahi bohot din bit gaye the shayad
Anand us ladki ko bhul chuka tha . Pr ek din achanak wo ladki
yani ki aakansa samne aa gayi Anand ke collage ka final year tha
aur shayad aakansa ne bhi final year ke li a Anand ka collage join
kar li a tha . Ab dono ek hi collage me the . Par itna samay to bit
chuka tha ki dono us price ceromony ko bhul chuke the .
Pr dono class me the ab lazmi he ki dono me baat to hogi
aise hi ek din bato hi bato me un dono ne apne us price ceromy
ki baat samne aayi ha tabhi un dono ko pata chala ki ve pahle bhi
mil chuke he . Kuch din bite dono acche dost bane fir aise hi dono
me baat chit badi aur kuch dino me ve dosti se thode aage bad
gaye shayad they both like each other . Pr dono ne kabhi izhaar
nahi kiya bs dono ascche dost bankar rahe . Aakansa ek din koi
code pad rahi thi shayad use jam nahi raha tha tabhi Anand ne
aakansa ko code solve karte dekha aur Anand ne us code ko kuch
hi minute me solve karke de diya . Aakansa aise hi code lati rahi
aur Anand un code ko solve karta raha .
Kuch mahine bite collage bhi khatm ho chuka tha aur aakhri
din tha collage ka us din Anand aakansa ko apne dil ki baat kehne
wala tha . collage nikal ne se pahle aise news dekha news me
khabar aa Rahim thi honey trap ke uper screen par bahot sari
ladkiyo ke photo dikhaye ja rahe the un photo me aakansa ka
photo bhi tha . Us photo ko dekh Anand paresaan ho e shock ho
gaya . Use ne aakansa ko call kiya par usne call nahi uthaya
Anand ko ab lag hi chuka tha
HE IS IN HONEY TRAP
E2 , EVERYTHING CHANGED
Aanand ne jab news dekhi tab uske hos ud gaye aur pav ke
niche ki jamin lagbak khichak hi gayi thi . Jab Aanand ne dekha ki
aakansha bhi honey trap ke group me shamil thi . Aanand ko
kuch samaj nahi aa raha tha use laga ki news wale galti se wo
photo dikha rahe hoge tabhi usne aakansha ko call kiya par
aakansha ne call pick nahi kiya tabhi Aanand ko samaj aa chuka
tha kikuch gadbad he pr wo gadbad nahi bohot badi sajis he .
Honey trap terrorist ne banaya huva ek aisa plan he jo pura
hone ke baad hi pata chal pata he . Terrorist aisa khufiya jankari
nikal ne ke liye karte he is trap me hota ye ki terrorist kuch train
female terrorist ko un logo ke piche lagati he jo kisi khufiya plan
ya koi undercover organization se juda ho . Aisa terrorist tabhi
bade chote group ke saath karti he par kayi baar ye plan itna
bada ho sakta he ki koi soch nahi sakta . Ye honey trap terrorist
hi nahi karte balki kuch desh ki khufiya agency bhi karti he wo log
female officer ko terrorist ke piche lagati aur us terrorist se sari
khufiya jankari nikal li jati he . Is kaam me pakde jane par mout
ke alava kuch aur nahi milta .
Par is baar kuch alag tha is baar terrorist ne pure desh bar
me ye plan ko execute kiya aur kuch had tak kamyaab bhi huye .
Aanand thoda confused tha ki use kyo is trap ke jariye fasaya ja
raha he balki uska to koi dur dur tak khufiya agency ke saath
relationship nahi he . Par kuch information ko read karke aur
news pe bhi aa gaya tha ki terrorist un student ko apne terrorist
gang ya group me samil karna chahti thi jo student kuch nahi
technology ke uper kaam kar rahe ho un students me Aanand bhi
ek student tha jo ek secret instrument pe kaam kar raha tha .
Aanand ek naye energy source ke uper kaam kar raha tha jo pure
world ko change karne wala tha . Par is project ke bareme
medhane kisi ko kuch bhi nahi bataya tha tabhi use laga tha ki
sayad as student use terrorist group me samil karne ka koi plan
ho . Ha tab tak wo yahi man kar chal raha tha .
Kuch din bit gaye aur ab honey trap ka jitna bhi kuch matter
tha wo shant ho chuka tha . Aanand ko ek baar buero bhulaya
gaya tha puchtach ke liye waha bhi jyada kuch puch tach nahi
huyi aur waha se bhi use chod diya gaya sab thick ho chuka tha
jindagi patri par aa chuki thi .
Pr ek din achanak khabar aayi ki taliban ne afghanistan pe
kabza kar liya aur amerika bhi afghanistan se apni military ko
vapas bhula liya tha sab kuch bohot jaldi ho raha tha taliban ka
afghanistan par kabza karna ek aam baat he wo log salo se lad
rahe the america ka bohot sara paisa aur human power
afghanistan ko taliban se bachate huye khatm ho rahi thi aur ek
taraf lockdown se economical situation bhi kharab ho rahi thi isi
liye america me apni army ko vapas bhula liya . Par ye galat bhat
thi aise ki desh ko yuhi chod dena bohot galat he . Taliban ek aisi
organization he jo purane vicharo pe chalti he aur vahi vichar wo
pure desh pr lagu karna chahti he . Ek nazariya to ye huva pr
dusra nazariya ye bhi he ki agar aap ek chote se group se bade
organization me badal javo to ek authoritarian sattavad ki ki
bhavna janam leti he aur aap apne aap ko ek takadvar rular
samjane lagte ho aur taliban bhi khud ko ek takadvar
organization man ne lagi he aur iska natija ye ki wo log terrorism
ka saath dene lage .
Taliban to ek chij thi par bharat me terrorist hamle ki
sajis bohot badne lagi thi . Kabhi mumbai local par hamla karne
ki sajis kabhi kisi festival me human bomb ki sajis . Par sari sajise
nakam ho rahi thi . Isi bich ek khabar mili Aanand ko ki use
terrorist kidnapped karne ke bareme khufiya jankari mili he .
Aanand kuch samaj nahi aaya ki use terrorist kyu kidnap karenge
. Ye khabar itni badi thi ki bhartiy khufiya agency ne bhi Aanand
ko puchtach ke liye bhulaya . Aur use baar baar yahi puch rahe
the ki terrorist tumhe hi kyo kidnap karna chahte he ?Aanand un
loko ko ek hi jawab deta raha “mujhe nahi pata ”. Tabhi Aanand
ki nazar inteligente. Buero ke ek computer screen pe padti he aur
us screen ko dekhkar Aanand shock ho jata he jab wo dekhta he
ki wo photo to us reactor ki he jo wo banane wala hota he . Tab
wo officer se puchta he ki ye modal kisne banaya he officer kehta
he kyo . Aanand kehta he ki ye to modal to mere project se hub
hu milta he . Officer kehta he kya , ye modal tumhara he ?
Aanand kehta he ki ha par ye abhi complete nahi huva ,ye
aapko kaha se mila ?
Officer : hamari khufiya agency ko ye ek terrorist ke computer se
mila . Par hame ye pata nahi ki ye kya he
Aanand : terrorist ke haath ye kaise lag sakta he wo log sab taba
kar denge .
Officer : kya matlab he iska
Aanand : yah ek khatanal device he jo ki agar kisi ne bana liya to
puri duniya ko khatm kar sakta he . Yah ek energy device he jo
har tarah ki machine ko chala sakta he aur wepon ko itna
advance kiya ja sakta he ki ham soch bhi nahi sakte tabhahi la
sakta he ye device
Officer ; oh god ! Pr device ki information un logo ke haath kaise
lagi , shayad isi liye tumhe wo log kidnap karna chahte he
Tabhi Aanand us honey trap wale incident ki baat karta he aur
kehta he ki shayad usi samay ye information ko leak kar diya ho
aur us samay ek buero me khabar aati he ki kisi anjan weapon ka
test kiya gaya he . Aur wo device usi energy se chalta he . Aur ye
bhi he ki wo device terrorist ke haath me he . Terrorist ab shant
nahi baithne wale . Kuch bada hone wala he .
E3. THE RISE OF PENTAMEROUS
Khufiya agency se bahar aate samay kuch log Aanand ko
kidnap kar lete he . Aur ek khufiya jagah le jate he aur band ke
rakh diya jata Aanand ko vaha . Kuch der bad jab Aanand ko hosh
aata he tab uske samne aakansha hoti he pahle to wo yakin hi
nahi kar pata pr puri tarah hosh me aane ke baad samaj jata he
ki wo vahi he Aanand ke haath bande nahi to he will kill him . Kyo
ki Aanand ko pata tha ki usi ne hi pure world ko tabah karne wale
project ke ke documents churaye the aur Aakansha bhi terrorist
thi but love never die Aanand ke dil me jo aakansha ke prati jo
pyar tha use rok raha tha .
Ek dharma sankat tha ek taraf pyar aur dusri taraf desh par
desh bakti ke aage koi bada nahi bale krishn bhagwan hi kahe
prem jagat ka saar he pr ek taraf dharm ke ladna over to the head
sarvopari he . Tabhi Aanand apne haath chuda leta he aur baju
me padi gun uthakar aakansha ke head par tan deta he aur
puchne lagta he why are you that . Aakanksha kuch bhi nahi
batati isi gusse me Aanand gun chalane wala hota he tabhi us
jagah ke head vaha aa jate he aur kehte he “ruko” .Aanand gusse
me badbada raha hota he” I want kill her ,kill her” aise me wo
head gun chhin lete he . Aanand us head ko dekh kar chouk jata
he aur kehta he aap to wahi scientist ho na jo us quiz compitition
ke chief guest the . Aur aap bhi in logo saath mil gaye balki aap
hi ne to kaha tha ki to live for nation to die for nation . Mujhe to
yakin hi nahi ho raha ki aap ek rastra drohi ho .
Chief: tumhe jo lagta ho wo samjo par ek baar meri baat sun lo
Aanand : ab sun ne ko aur samajneko reh hi kya gaya he ab yakin
karne layak koi bacha hi nahi .
Chief : ek baar baat sun to lo sab samaj javoge
Aanand : to kaho
Chief : To baat aisi he ki tum jo samaj rahe ho ki hum terrorist
group ke saath mil gaye he to ye galat he .
Aanand : wah ! Ek taraf honey trap ki sajis mere khufiya project
ko churana kuch galat nahi he .
Chief : aaj se kuch 10 saal pahle bhartiy sarkar dwara ek research
organization banayi gayi thi us organization ka me scientist tha .
Wo sanstha weapon ko modernized karne ki aur apne kam kar
rahi thi . 7-8 saal me hum logo ne weapon to bana liye par
weapon ko chalane ke li a energy sourse chahiye tha jo ki hamare
pass nahi tha aur wo weapon hum kabhi istemaal hi nahi kar
paye . Par ancient script me us energy ko create karne ka formula
tha aur use cracked karna tha . Vaimanik shastra naam ki ancient
script he par hamare sare scientist use cracked karne me nakam
rahe par tumne use kaise kar liya pata nahi .
Jab hamare paas sare formula the tab hum logo ne wo quiz
compitition rakha ki jis se hum un logo tak pohoch paye jo apne
dimagh ki hado se paar soch paye . To jo quiz ka aakhri padav ya
round tha us me hum logo ne ek code daal diya jise solve karna
lagbak kisi ke liye bhi na mumkin tha par us round me tumne kar
dikhaya what a genius mind you are . Usi wakt se hum logo ne
tumhare upper nazar rakhna suru kiya aur aakansha ko ek jasus
banakar tumhare paas bej diya aur dire dire tumse code cracked
karvaye par ek din aakansha ko tumare paas ek diary mili .
Shayad us diary me tumhara wo project tha bas aur kya tha
formulas ko cracked karte karte samay to ja hi raha tha usi samay
bana banaya project mil gaya . Jisme kuch kamiya thi jo hum logo
ne bar di . Par tumne us source ko kaise banaya ?
Aanand : wo diary mujhe mere dad ke room me mili thi . mere
dad ki thi jo adhuri thi a kuch calculation galat the jo maine kuch
had tak thik karne ki kosis ki .
Chief : tumhare dad ka naam kya tha ?
Aanand : janmejay
Chief : wakayi tumhare dad genius he . Ab wo kaha he .
Aanand : pata nahi ek din achanak wo gayab ho gaye . Par tum
logo ne wo device bana liya tha to wo terrorist ke hatho kaise lag
gaya ?
Chief : jo hamari organization thi us organization me kuch lalchi
log bhi the jo satta ki lalsa aur paise ki chamak dekh un terrorist
ke hatho bik gaye aur hamari sari mehnat bhi le gaye , sare
formulas , sare blueprint , sare code and secret s un logo ne
document ke istemal se source of energy to bana liya he ab wo
log shayad use weapon me istemal karna suru kar chuke he .
Us terrorist ko rokne ke liye hum logo ne ek khufiya
organization suru ki thi pentamerous .hamari organization ne
khuch had tak un terrorist kabhu me rakha he hum un logo unke
weapon test karne ka mouka hi nahi de rahe he . Par ye ham kuch
jyada der tak nahi kar payenge . Tumhe yaha isi li a laya gaya he
ki tum us energy sourse ka thod nikal sako .
Pr Aanand ke paas uska koi thod nahi tha . Par waha lagi
diwar ki tasvir me Aanand ke dad ki bhi tasvir thi . Jise dekh
Aanand thoda chouk gaya aur kaha mere dad ki taswir yaha kaise
. Chief kehta he ye tumhare dad he ye hamri organization ke
chief scientists the . Aur ek din ek weapon ke upper kam karte
vakt ek hadsa ho gaya tha . Ha yaad aaya us vakt wo ek ajib si
energy ke uper kaam kae rahe the us vakt kuch accident ke baad
mile hi nahi . Unke kuch paper the jo hamre paas he . Fir un paper
ko laya jata he aur Aanand jab un paper ko padta he padke thodi
smile aa jati he uske muh par . Wo kehta ki mere dad us enegy
ko khatm karne wale formule ke uper kaam kar rahe the . Par us
samay utni advance taknik nahi thi us formule ko banane ke li a .
Aanand kehta he shayad yah code unhone mere liye chode he .
Ab hum dugna waar karenge
E4. PENTAMEROUS ON MISSION
Energy nor bhi create or nor be distroy it chane one form to
another form ab ye principle ke saath chale to koi bhi energy ko
create nahi kiya ja sakta . Par jo energy device he wo bhi
universal energy ka ek hissa he aur nahi create kiya gaya he bs us
energy ko ek device ke madat se ekkattha kiya gaya he aur
weapon me istemal kiya gaya tha agar us energy source ko
distroy kiya jaye to khatm kiya ja sakta he par aisa karne par utni
energy release hogi jo ek sahar ke namo nisan mita sakti he .
Sach baat to yahi thi ki wo energy source terrorist ke paas
tha . Par medhavi ke dad ka formula bhi medhavi ke paas tha aur
bs us formule par kam karna tha aur chief , aakansha aur
medhavi is formule par kam karne lage. Kuch din gaye lagbak 1
mahina laga un logo ko device banane me par itne samay me
terrorist ne bohot badi autobot ki army khadi kar li thi jo duniya
par kabza karne ke bure irade se aage bad rahe the . Ek taraf
medhavi aur pentamerous ek nayi tarah ki device par kam kar
rahe the .
Ab wo device ready tha us device ki khasiyat thi wo ek tarah
ka autobot hi tha par us par ek special power ko emmit karne
wala device tha aur is auto bot ka individual energy sourse tha jo
terrorist ke paas jo auto boat tha uska individual energy sourse
nahi tha we autobots jo energy source ka device tha 10km ke
range me rahkar hi apni power achieve kar sakta tha in short un
autobot ka ladne ka area 10km tak simit tha par us 10km ke
range me un logo se ladna bohot hi muskil tha. .
Par jo medhavi aur uski team ne auto boat banaya tha uski
khasiyat yah thi ki wo log kisi area ke liye simit nahi the par in
logo ke paas sirf 100 autobot the aur terrorist ke paas 10000 se
jyada . Ab jo tha vahi tha ab aakhri war ka samay aa chuka tha
.War se pahle medhavi aur aakansha ke bich thodi baat chit huyi
Medhavi : tum is organization je kaise judi .
Aakansha : jo is organization ke chief he unhe ek trusty agents
chahiye tha jo us formule ko hasil kar sake is liye mere dad ne hi
mujhe train kiya aur fir me bhi is mission ke saath jud gayi.
Medhavi : wah ! Kya tumhe pata he mera bhi ek sapna tha ki kisi
inteligente organization ke saath kaam karu aur case solve karu.
Aakansha: to ab to jud gaye na your dream is completed
indirectly hi sahi par tum inteligente organization ke saath ho.
Medhavi : ha ye maine socha hi nahi , collage ke wo din kya yaad
he tumhe bohot hasin din the jo tumhare saath bitaye the sabse
hasin the . Tumare friend banne se pahile kitna akela tha par tum
jabse dost bani thi happiness ke saath kuch pal bite the . Par
jabse honey trap wali khabar dekhi thi shayad us din se ek bhi din
chain se nahi bitaya .
Aakansha : itna accha dost samjate the mujhe ?
Medhavi : dhosti se badkar . Jo collage ka last din tha tab me
tumhe kuch kehne wala tha .
Aakansha : kya ?
Tabhi chief waha aa jate he aur baat adhuri reh jati he . Chief
batate he ki terrorists ne dilhi par hamla kar diya he aur ab hame
un terrorist ko rokna hoga . Tabhi wo log mission “chalo dilhi ”
ke saath waha se dilhi ke border par pohoch jate he . Aur dilli
pohochkar sab logo ko vaha se ek safe jagah le jate he .
Terrorist ki badi si army dekh sab shouk jate he par
terrorist ki fouj 10000 autobot wali thi aur har 1000 autobot ke
liye ek power sourse aise kul 10 power source the .
Ek gamasan yudh suru ho chuka tha medhavi ka ek ek auto
bot 10 bot par bari tha par terrorist ke boat kuch jyada hi power
full the us ladai me medhavi ye samaj chuka tha ki un power
sourse ko distroy kiye bina un logo ko harana muskil hi nahi na
mumkin he . Kaise bhi karke wo log 9 power source ko to khatm
kar dete he jo ki fake power sourse the asal me 1 hi power source
tha jo un 10000 autobot ko power de raha tha . Bs use khatm
karna tha par power source ko distroy karne se bohot sari energy
release hone wali thi jo pure sahar ko khatm karne wali thi .
Par medhavi ke dad ne jo formula bataya tha us formule ke
istemaal se use khatm kiya ja sakta tha par . Jo device banaya tha
use power source me lagakar distroy karna padta he jo kisi ek ko
apni jaan ko dav par lagakar waha jana hoga . To is kaam ke liye
medhavi aage aata he aur wo apni jaan dav par lagakar power
source ko distroy kar deta he . Aapko yaad hoga ki jab medhavi
ke dad ne jab is experiment ko kiya tha tab wo bhi distroy ho
gaye the yaha bhi kuch vaisa hi jab power source distroy huva
tab jo energy release huyi us energy ko souk lene wali ki bhi maut
ho jati he . Medhavi bhi is incident me distroy ho gaya . Aur
pentamerous pure desh ko bacha leta he . Pure desh ki kimat
medhavi ki jaan thi . Medhavi sirf desh ke liye jiya aur desh ke
liye mara .
Aakhari sandesh jo medhavi ne choda tha
Hey chief mission se pahle mujhe kuch dought the is project ko
lekar . Jab mujhe dad ka formula mila tha us me likha tha ki jeet
kurbani mangti he . Kisi n kisi ko kurbaan hona hi padta he . Jab
mere dad ne experiment kiya tha tab unko apni jaan gavani padi
thi us energy ko distroy karne ke liye . Mujhe ye pata tha par
mere akele ke kurbaani se agar hum sab ki jeet ho to meri
kurbaani desh ke naam . Aakansha jo me tumhe us din kehne
wala tha ki “I LOVE YOU”
Akansha: I love you too https://youtu.be/rtOvBOTyX00

Story by “Sidharth”. THANK YOU

You might also like