You are on page 1of 1

AUDITION SCRIPT

Character Name – Vicky.


Character’s background – Upper Middle Class.
Age – 25-27 years old.
Scene – Vicky talks to his girlfriend about the misunderstandings in
their relationship.

VICKY
Tumhe aadat ho gayi hai sachhai se muh ferne ki.

Tumhe lagta hai bus tum sahi ho aur saari duniya tumhare
khilaf hai. Ye batao maine kya galat kiya, batao na.

Wo aayi hai fir se meri zindagi main. Apni khwahishein
thopne ke liye. Uski aadat hai ye.
Main tumhare sath bohot khush hu aur ye baat usse bardaast
nahi hui. Isliye wo hamari zindagi main zehar gholna chahti
hai aur tum use aisa karne de rahi ho. Tum uski baato mein
aakar apna relationship kharab kar rahi ho.
Mujhe laga tum samajhdaar ho, mature ho, aur apne bhale
bure ka decision le sakti ho. Par sayad main galat hu. Main
tumhe yakeen dila dila ke thak chuka hu. Aur ab main ye
nahi kar paunga. Agar tumhe mujh par visvas hi nahi to ye
sab clarification ka kya fayada? Jo tumhe karna hai karo.

You might also like