You are on page 1of 2

Salam he un veeron ko 

Rab ne likhi unki takdeeron ko


sarfroshi ke un peeron ko 
Hamare vatan ke anmol heeron ko 
Salam he un veeron ko
Apni nahi ki kabhi parwah 
Har vaar dushman ka seene pe saha
Unka bhi pariwaar tha
Lekin yo desh ki raksha karta raha 
Salam he un veeron ko 
Un desh bhagat faqeeron ko 
Jaag rahe wo raton ko 
Bhul ke saab baton ko 
Ki so tum chen se sako 
Dil pe rakhe bojh 
Rakhe himmat roz wo 
Chahe aage dushman ki foj ho 
Wo na kabhi jhuke 
Salam he un veeron ko 
Jo na thake na ruke 
Date hue he border par 
Chahe jitna marji ker lo 
Chuka na sako ge unka kar
Salam he un veeron ko 
Phul lagi tasveeron ko 
Jo desh ke liye gaye mar 
Tirange mein lipte aaye
Ankhon mein bhale ho ansu 
Par pariwaar ka sar garav se uncha ho jaye
Gallantry toh bas sammaan he
Unke karan dushman ki jhuki aan ka 
Desh ka na jhukne diye swabhiman ka 
Sabh kuch luta ke bhi na chuka sake mol ham unke
balidaan ka 
Sabh kuch luta ke bhi na chuka sakein mol ham unke
balidaan ka 
Salam he un veeron ko 
Sarfroshi ke un peeron ko 
Hamare desh ke un asli nag or heeron ko 
Salam he un veeron ko 
-- Rohit Singh --

You might also like