You are on page 1of 2

PANKAJ.

Umr 25/26 saal. Kiran ka bhai. College tak padhha hai, lekin aaj
kisan hai. bade sapne lekar Shahar gaya tha lekin kaafi struggle ke
baad jab Shahar mein uska career nahi ban paya to kaafi nirash hokar
apne ghar-gaanv wapas chala aaya hai aur ab pita-chacha ke sath
kisan hai. samajhdar hai. usko apni chhoti bahan Kiran ke liye bahot
hi sneh hai, wo ek maatr paatr hai jo Kiran ke sapne jaanta hai,
samajhta hai. wo Kiran ko hammesha encourage karta hai. Parivar se
chhipkar bhi wo Kiran ki padhhai ke liye achcha hi sochta hai. shant
aur matured ladka hai. lekin kahi na kahi parivarik pressures ke
saamne wo bebas bhi nazar aata hai kyu ki khud ki nirasha bhi kaam
kar jaati hai.

Pankaj : kaun samjhega teri iss baato ko chhotu ? tu astronaut


banna chahti hai lekin yaha kisi ko ye bhi nahi pata ki
astronaut hota kya hai !
Beilo ki aankho par patti bandhi hoti hai samajh mein
aata hai, yahaa to insan apni aankhe bandh kiye ji rahe
hai !!
Akhbar bhi ghar mein isliye aata hai ki logo ke marne ki
khabre mila kare ! gaanv jitni duniya hai inki aur paghdi
jitni samajh ! duniya mein kahaan, kyaa ho raha hai koi
lena dena nahi hai kisi ko –
Ladkiya pilot ban rahi hai, doctor-engineer ban rahi
hai ! scientist ban rahi hai ! aur yahaan sab ek baat
dekhte hai ki ladki ko roti banaani aai yaa nahi !
lekin kahi na kahi mai bhi darrta hu Chhotu, itni padhhai
ke baad kya ? maine bhi padhhai ki, tere jitney bade
sapne bhale hi naa dekhe ho, kuchh nahi kar paaya mai
Shahar jaakar. Chalte chalte gir jaaye kam lagta hai
Chhotu, aasmaan mein udne ki koshish mein niche girne ke
baad fir se khade ho pana mushkil hota hai.
tumhe chaand par janaa hai, chaand par pahonch gai to
bahot Khushi hogi mujhe lekin bich raaste se agar tum
bhatak gai, fail ho gai to – wo depression zel nahi
paaogi tum – sikasht kaa boz bahot bhaari hota hai chhotu
– khaas kar tab jab sikasht hamari kabiliyat se nahi
kismat se mili ho –

You might also like