You are on page 1of 1

QURAN-O-ITRAT ACADEMY

Serving since 1992. 


Ask Text Question

Asked Questions: 207000+

Search Questions 

Question & Answers << Go Back

Search Your Question In Nazr/Qasam/Ahad

Topic: Nazr/Qasam/Ahad (445 Questions)

  1 2   9

Showing 0- 50 questions from 445 questions on this page.

Id: Mujtahid:
797 Aayat-ul-Allah Seestani Date: 2018-05-28

Question: salam ,how much kafara of qasam

Answer: Qasam ka kaffara ye hay kay aik


ghulam ko azad karay ya das (10) faqeeroon
ko pait bhar kar khana khilaye ya inhen
poshak pehnaye, Agr in aamaal ko anjam na
de sake to zaroori hay kay teen (3) din
musalsal rozay rakhe.(Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 263). Update on
dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e
Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar
ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
958 Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: salam... agar beikhtyar khuda ki


qassam kha lai aur qassam khanay k baad
ikdam sai khayal aie kai yeh mai nai kya kah
diya yeh tu mai nai khuda ki qassam kha...
jaisa agar ab isa huwa na khuda ki qassam
mai yeh karo ge tu ab kya karay.. kuon kai
mou sai nikal gaya tha aur nikltay he
mehsoos huwa yeh kya kah diya mai nai... ab
kiya kia jiye ...

Answer: Agr apne jazbat men aakr bila-irada


ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam
sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on
dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e
Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar
ata farmaey).

Print

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh
sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi

Id: Mujtahid:
1513 Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: Mera sawla ye hay k agar koi


insaan musalsal kasain khaey ,aima-e-
tahireen as ki kasam,quran ki qasam khuda
ki qasam rasool ki qasam apnay baap ki
qasam etc etc... but usay apnay jazbaat par
zara barabar bhi control na ho aur phir wohi
gunah kar baithay kay jis kay na karnay ki
usnay qasmain khaei theen to kiya ye tamam
qasmain maani jain gee because usay apnay
jazbaat par control nahi tha ,secondly agar
ye tamam qasmain maani jaingee to is ka
izaala kis tarah say kiya jaey aur in tamam
qasmoo kay gunaahoo ko kis tarah say radd
kiya jaey ?

Answer: Agr wo shakhs aysi qasamen khata


hai jo sharae qasam ki sari sharton per
mushtamil ho to (jese apne frmaya k Allah ki
qasam khai) is surat men is qasam ki
mukhalifat krne se insan gunahgar hojata
hai, lehaza us per per wajib hai kaffara de,
matlb 10 faqeeron ko khana pet bhar kr
khilaye ya phir unhen poshak (libas) pehnaye
(ata kre). Lekin quran wegera ki qasam
khana is qism ki qasmon ki koi sharae hesiat
nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b),
Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e
Maslah # 2633-34). Update on dated 31-07-
2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e
Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata
farmaey)

Print

Id: Mujtahid:
1786 -- None -- Date:

Question: agar husband aur wife ki larayi ho


aur husband kahe ke mey Allah aur us ke
Rasool ke kasam kha ker kehta hoon ke mey
tumhey rakhna hi nahi chahta per rakhne per
majboor hoon aur biwi es baat ko shiddat se
apni insult feel kare aur jawaban gair iradi
taur per kahe ke mey bhi quran ki kasam
khati hoon mey 90% tumhare sath majboori
se rah rahi hoon aur bad mey foran biwi ko
ehsas ho us ne galat kia aur woh sari raat
rote howe astaghfar parhe. pls batain ke
dono ke liye islam ke kia ihkam hain

Answer: Agr ap dono ne jo kuc kaha k sach


kaha hai to ap dono ka ye qasam khana
makrroh tha lekin agr ap dono ne jo kuch
kaha jhoot kaha tha to ye qasam khana
haram hai, is ka istighafar or Allah se maafi
talab krna hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b),
Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e
Maslah # 2638). Update on dated 31-07-
2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e
Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata
farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
1865 -- None -- Date:

Question: kya koi biwi apne shohar par kisi


se baat karnay par pabandi lagati hai aor
pabandi tornay par har rishta khatam hone
ki baat b hoti hai aor shohar use manzoor
karta hai to kia baad main shohar k pabandi
tornay par rishta khatam h jaata hai is ki
tafseel bataain please

Answer: Agr shohar biwi se wada krne k bad


wada khilafi kre to ye haram hai or shohar
gunahgar hoga, lekin is se koi rishta nahi
toot`ta hai.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b),
Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e
Maslah # 30, Eidition 1430 hij) (Ref : Ayat
Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part
# 3, Mafhoom e Maslah # 333, Eidition 1417
hij). Update on dated 31-07-2015. (Khuda
aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w)
sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
1889 -- None -- Date:

Question: Agr koi kisi ko Quran ki kasam dy


kr kahay k wo ye kam na kray.Lakin wo us
kam ko kr lay tu es baray mein kia hukam
hai???? aur ab us ko kia krna chaia??? marlb
us ny kasam tor di hai tu usay kia kaffara
ada krna hoga???? PLz answer me as soon as
possible.

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee


hesiyat nahi hai.or koi kaffar wgera bhi nahi
ayega.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee
hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #
2634). Update on dated 31-07-2015. (Khuda
aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w)
sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
1912 -- None -- Date:

Question: Salam! Ma ne nanraz ho kar


ghusay ma a kar kah dia ko khuda ki kasam
aj ki baad tum logon se baat nahi karoon ga.
kia meri ye kasam drust ha? agar drust ha to
kia mujay is ka kafara b dena paray ga? kafar
kia hoga. ab mujhy afsos hota ha mera wo
acha dost ha.

Answer: Agr apne jazbat men aakr bila-irada


ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam
sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on
dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e
Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar
ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
2236 Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: Meray husband nay quarn hath


main paker ker qasam khai k who aj k bad
chatting ya lerkiyon say koee Relation nahin
rakhay ga.mujhy say kbahi jhot nahin bolay
ga.koee bat nahin chpaye ga.ye sari qasam
unsay quaran hath main paker ker
khain.lakin bad main unsay sari qasmain tort
din.usnay chup ker chatting ki.email ki.aur
mujhysay sab chupaya.yani sari quran ki
qasmain tor din.isay pehlay unsay Allah aur
Rasool ki qasam bhi khaee k who asa nahin
keray ga.lakin usany qasamian tor din.aap
plz batin us per Khuda ka qaher to nahin
pery ga.iska kafara kia hai.main both
thankful hoongi.jawab juldi day dain
plzzzzzzzz

Answer: Agr ap k shohar ne aysi qasam khai


hai jo sharae qasam ki sari sharton per
mushtamil ho to(jese apne frmaya k Allah ki
qasam khai) is surat men is ki mukhalifat
krne se insan gunahgar hojata hai, lehaza ap
k shohar per wajib hai kaffara de, matlb 10
faqeeron ko khana pet bhar kr khilaye ya
phir unhen poshak(libas) pehnaye(ata kre).
Lekin quran egera uthakr qasam khana is
qism ki qasmon ki koi sharae hesiat nahi hai.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul
masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #
2633-34). Update on dated 31-07-2015.
(Khuda aap ko Uloom e Aal e
Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata
farmaey)

Print

Id: Mujtahid:
2452 Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: agar koi biwi apne shohar ko


quraan uthwa ker kasam dilwai or koi kaam
kerne se mana kare tu os kasam ko wapis
kaise le sakti hai take oska shohar os kasam
se azad ho jaye.

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee


hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on
dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e
Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar
ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
2486 Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: mere ek dost ne khuda ki kasam


khali gussay me hamein ky akarna chahiye

Answer: Agr apne jazbat men aakr bila-irada


ya be-ikhtiyar qasam khai thi to ye qasam
sahi shumar nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on
dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e
Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar
ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
3276 -- None -- Date:

Question: main ne dekha hai kay kisi ko


manat puri karni hoti hay to who hazrat
fatima {R.Z ki kahani sunti hain our isay bibi
ki kahani kahtay hain kya yea jaiez hay
Quran ki rooh say bataien .

Answer: Jee nahi ye Mannat nahi hai


(albatta apni duaon k qabool hone k liye
Janab Hazrat Fatima sa k zikr se tawasul
krne men koi harj nahi hai). (Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 2603-4). Update on
dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e
Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar
ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
3571 -- None -- Date:

Question: infact may ne zindage may bohat


si jhooti kasmain khain the. ab zindage may
boht peshtawa ho raha hy. may ne boht say
muamolat mat may Allah Tala, Quran
Majeed, Or kalma shreef be parha lakin bad
may kasmain torna parian. Kia har kasam ka
alag alag kafara ho ga. or agar yaad na ho k
kitni kasmain torain hain to is condition may
kia karna ho ga. Plz mujay jawab jaldi dain
ta k mara boj halka ho saky.

Answer: Ek qasam ye hai k Ap ainda kisi kam


k krne ya na krne ki qasam khate hen, Is
men agr apne zaban se bol kr Allah ka naam
lekr qasam khai hai to phir us per amal krna
wajib hojata hai, or amal na krne ki surat
men insane gunahgar hojhata hai or kaffara
wajib hojayega (kaffara ek ghulam ko azad
krna ya 10 faqeeron ko pet bhar kr khana
khilana ya unko libaas pehnana hai or agr ye
kam na kr saken to phir 3 din musalsal roze
rakhna hai). Or dusri qasam ye hai k ap kisi
bat ko sabit krne k liye qasam khate hen k
ye kam hua tha ya nahi hua tha, to is surat
men agr ap sach bol kr qasam kha rahe
hen(sachi qasam) to koi harj nahi hai albatta
makrooh hai, lekin agr ap jhoot bol kr qasam
kha rahe hen(jhooti qasam) to ye haram hai
or kabhi kabhar to gunah e kabeera hojata
hai , albatta iska koi kaffara nahi hai siwaye
toba o istighafar ke. (Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 2633-38). Update on
dated 30-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal
e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata
farmaey)

Print

Id: Mujtahid:
3622 -- None -- Date:

Question: Aslam o alaikum mujhe ye pochna


tha k meine apni dua ki kaboliyat liye kuch
manaten mangi haen kia manat mangna
allowed hae islam mein?

Answer: Jee han Allowed hai. (Ref:Ayat


Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul
masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #
2603-04). Update on dated 31-07-2015.
(Khuda aap ko Uloom e Aal e
Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata
farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
3809 -- None -- Date:

Question: kasam ki basic deffination kiya


ha? aur iski kitni iqsam ha. plz tell me.
thanku

Answer: Qasam ki 2 qismen hen. 1) Jab koi


shakhs qasam khaye k falan kam anjam dega
ya tark karay ga maslan qasam khaye k roza
rakhe gay a tambakoo istemal nahi karay ga,
Is Qasam ki shariat : Qasam khane wala balig
or aaqil ho apna irade aur ikhtear se qasam
khaye, jis kam ki qasam khai jaye wo haram
or makrooh na ho, Qasam men Allah ka aysa
naam le jo kisi or k liye istemal na hota ho
4: qasam k alfaz zaban per laye, Or us
qasam per amal karna bhi mumkin ho.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul
masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #
2633-2634)
2) - Agr koi shakhs qasam khaye k me jo
kuch keh reha hon sach keh reha hoon to
agar sach keh reha ho to ye qasam khana
makrooh he aur agar jooth bool reha ho to
haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b),
Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e
Maslah # 2638) Update on dated 31-07-2015.
(Khuda aap ko Uloom e Aal e
Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata
farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
3837 -- None -- Date:

Question: muje aik shaks ne kaha k mai


quran pa hath rakh k kaho k mai shadi kro gi
to bs us se kro gi.mai ne asa kia.bt us waqt b
mare dil mai ya tha k mai ne es se shadi ni
karni,us ki umer 45 year hai.mai abi 25 ki
hu.es ka kia kufarra hai.

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee


hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on
dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e
Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar
ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
3861 Aayat-ul-Allah Khoie Date:

Question: salam .mera swal hay k agar koi


jazbat main sharae qasam kha lay, k phir ye
gunah nhi karounga , aor ab pachta raha ho,
aor nafs us ko us gunah karny per magboor
kar raha ho,aor wo qasam thorny ka erada
kar chuka ho, to us ka kaffara kia aik jaisa
hoga , aor usy kia karna chahiey

Answer: Agr sharae qasam se murad wo


qasam hai jo sharae qasam ki sari sharton
per mushtamil hai to is surat men is ki
mukhalifat krne se insane gunahgar hojata
hai, lehaza us per wajib hai kaffara de,
matlb 10 faqeeron ko khana pet bhar kr
khilaye ya phir unhen poshak(libas)
pehnaye(ata kre). (Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 2633). Update on
dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e
Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar
ata farmaey)

Print

Id: Mujtahid:
3894 -- None -- Date:

Question: mere shoher ne muj se quran pak


per hat rakh ker kasam khilwi k tm kis se
phon per bat na kerti or mere mana ker ne k
bawjood unho ne muje qasak khilwi or me
ne khali k me kis se phon per bat nh krti per
me kerti ho ab btaty me kia kro plz reply e
mail

Answer: Agar koi shakhs qasam khay k me jo


kah reha hoon wo sach keh reha hoon to
agar wo jhoot bool reha he to haram he.
(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul
masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #
2638) Update on dated 31-07-2015. (Khuda
aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w)
sekhne ka ajar ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
3996 Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: I WANT TO ASK ABOUT MUJAZA OR


KIA YA MANAT MANI JA SAKTI HA KY MERI DUA
KABOOL HO TO MAN AIMA TAHREEN MA SE
KISI IMAM KA MUJAZA PAROON GA OR NAYAZ
DON GA

Answer: Jee han is men koi harj nahi hai.


(mojza zikr masoomen hai or ye sawab hasil
krne ka mojib hai)(Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 2603-04). Update on
dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e
Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar
ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
4007 Aayat-ul-Allah Seestani Date:

Question: agar koi kisi ko zabardasti Quan e


pak pakra k qasam khilaey k wo ye kaam nai
kare ga or wo qasam utha b le to kyawo
qasam ho jae gi or aga us ne wo kaam kerna
ho to us k liye kya kerna hoga

Answer: Is qism ki Qasmon ki koi sharaee


hesiyat nahi hai.(Ref:Ayat Ullah
Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition#
35,Mafhoom e Maslah # 2634). Update on
dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e
Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar
ata farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
4355 -- None -- Date:

Question: As-salam-o-alaikum sawal ye he ki


Mere Ghar Waalon Ne Mujhe Ek Din Bohot
Daata Or Mene Shaam Tak Khana Nahi Khaya
Tha Is Baat Per, Or Meri Ammi Mujhe khana
De Rahi Thi Mujhse kayi Baar Khaane Ko
Kaha Or mene gusse Me Aakar quran ki
kasam khali or mene wo kasam tod di, Or Me
ye Janna chahta hu ki Mujhe kya kaffara
karna padega

Answer: Ye qasam sahi nahi hai. (Ref:Ayat


Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul
masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #
2633). Update on dated 30-07-2015 (Khuda
aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w)
sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id: Mujtahid:
4408 -- None -- Date:

Question: Me ye jaanna chahta hu ki koi


agar quran ki kasam kha leta hai,or baadme
us kasam ko tod deta hai to use kya krna
chahiye

Answer: Ye Qasam sharaee aytbar se sahi hi


nahi hai. .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b),
Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e
Maslah # 2634). Update on dated 31-07-
2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e
Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata
farmaey).

Print

Id: Mujtahid:
4410 -- None -- Date:

Question: mein nay ghaltee say quran e pak


par eik bat ka half liya k mein nay yeh kam
hotay daikha hay yeh bila irada hua tha aur
ab mujay pachtawa ho raha hay kia iss k liye
koi kafara hay ya yeh b qasam k he zamray
mein aata hay

Answer: Jhooti Qasam ke khane ka koe


kaffara nahi he albatta ye ek haram kam hai
lehaza toba o istighfar kijyega.(Ref:Ayat
Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul
masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #
2638). Update on dated 30-07-2015 (Khuda
aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w)
sekhne ka ajar ata farmaey)

Print

Id: Mujtahid:
4434 -- None -- Date:

Question: agar koi banda koi gunah karta hai


aur woh yeh kahta hai k ya allah main
kassam khata hoon mujhe maaf kar de aaj k
baad dobara yeh gunah nahi ho ga iss kasam
main woh kise ka naam nahi laita aur phir
woh jis kam se kasam khai thi kar daita hai
kiya iss ka kafara ho ga ya nahi .aur ya jo uss
nain bina kise ka naam liye kasam khai tou
yeh kasam hoi he nahi sirf uss nain namaz
padh kar dua mangte huwe kaha tha k ya
allah main kasam khata hon aaj k baad yeh
kam nahi karon ga mujhe maaf kar de .

Answer: Agr jumla apne yehi kaha tha jo


apne bayan kiya hai to ye qasam hi shumar

You might also like