You are on page 1of 2

Downloaded from: justpaste.

it/3cyu5

TAKFEER KE USOOL WA QAWAAID


(Takfeer ka aam aur aasaan matlab kisi shakhs par Kufr ka Hukm lagaana ya'ni
Kaafir kehna hai)
.
Deen-e-Islaam se #Kufr wa irtetaad karne (ya'ni Islaam se phir jaane) waale
Girohon ki Takfeer karna, unko #Murtadd Qaraar Dena aur un par (Kufr wa
irtetaad) ka Hukm Naafiz karna #Ahle_Islaam par #Waajib hai.
.
Kyunke yeh Allaah aur uske Rasool (‫ )ﷺ‬Ke laaye huye Deen ka Muhkam Hukm hai, jis par
Nabi (‫ )ﷺ‬ne Amal kiya aur aap ke ba'd Sahaabah karaam (‫ )رضي الله عنهم‬Amal paira rahey.
.
Is Hukm ki ahmiyat ke Pesh-e-Nazar Aimmah-e-Fuqahā wa Hadees ne kutub-e-Fiqh
(Fiqh ki kitaabon) aur Hadees mein Baab/Chapter "Hukmul Murtadd (ya'ni Murtadd ka
Hukm)" qaayam kiya. Is Hukm ka inkaar karna aur jhutlaana Rasoolullaah (‫ )ﷺ‬ki
Sharī'at ko jhutlaana hai.
.
Agar Deen se irtetaad karne (Deen se phir jaane) waalon ka Qala' Qama' na kiya jaaye tou
Deen ki haisiyat hi khatm hojati hai. Aur Ahle Zanaadiqah ke Mazhab jo Deen-e-Islaam
ke ahkaam se bunyaadi ikhtelaaf rakhte hain un mein aur Islaam mein kuch farq baaqi
nahi rehta isliye yeh Amal Namaaz, Rozah se badhkar Deen ke difaa' karne aur isko
#Kufr wa #Shirk se khaalis aur paak karne ka ajar rakhta hai.
-
Kufr wa #irtetaad ka yeh Hukm Aimmah-e-Deen aur #Ahaadees se Saabit hudood quyood ke
daairey mein lagaaya jaata hai. Aimmah-e-Ahle Sunnat ke bayaan karda is daairey aur
hudood se ifraat karna bazaat-e-khud Gunaah balke Sakht Gunaah ki haisiyat rakhta hai.
#Takfeer ki inhi hudood mein ifraat ki wajah se Musalmaano mein ek firqah Khawārij
saamne aaya jinho ne Musalmaano ki naahaq Takfeer Zulm-e-Azeem kiya aur sakht
#Fitnah wa Fasaad phailaaya.
-
#Ahle_Sunnat ki bayaan karda Takfeer ki hudood se ifraat karke Takfeer karna Fitnah wa
Fasaad, Gunaah aur huqooqul ibaad (bandon ke huqooq) mein zulm ka darja rakhta hai.
Musalmaano ki Takfeer Naahaq karna aur unko #Kaafir Qaraar dena ek Jurm-e-Azeem
hai jis se Qur'aan wa Hadees mein Mana' kiya gaya hai.
Abdullaah Bin Mas'ood (‫ )رضي الله عنه‬se rivaayat hai, Rasoolullaah (‫ )ﷺ‬ne farmaaya:
-
"Jab bandah kisi cheez par laanat karta hai woh laanat aasmaan ki taraf chadti hai tou uske
liye aasmaan ke darwaazey band kardiye jaate hain, phir woh zameen ki taraf girti hai tou
uske liye zameen ke darwaazey band kardiye jaate hain, phir woh daayein baayein chakkar
lagaati hai.
.
Phir jab usko koi raasta kisi taraf nahi milta tou jis par laanat kee gayi ho uski taraf Chali jaati
hai. Agar woh uska Mustahaq ho tou theek warna kehne waale ki taraf laut aati hai." [Abū
Daawūd : 4905]
-
Abdullāh Ibn Umar (‫ )رضي الله عنهما‬se rivaayat hai ke Rasoolullaah (‫ )ﷺ‬ne farmaaya: "Jis
shakhs ne kisi aadmi ko Kaafir ya Allaah ka dushman kehkar pukaara agar woh aisa na
hua tou kehne waale ki taraf (woh qaul) laut jaayegi." [Al-Bukhārī : 6104]
-
Mazkoora baala (oopar zikr kee gayi) Ahaadeeth mein naahaq Takfeer karne waale par Kufr
ka Hukm lautne ka zikr hai tou usse muraad woh log hain jo Musalmaano ki kisi daleel ke
baghair mahaz dunyavi mafaad ya #Asabiyat wa bughz ki bina par Takfeer kardete hain.
-
Albatta jo mukhlis Musalmaan kisi Shar'ī Daleel ki GHALAT TA'VEEL ki bina par kisi
Musalmaan ko Kaafir keh baithey tou woh Kufr ki taraf nahi laut-ta. Isliye Imām Bukhārī
(‫ )رحمه الله‬ne apni Sahīh mein mazkoora Hadeeth is unwaan ke tahat darj kiya hai:
-
"Jis ne BINA TA'VEEL ke apne Musalmaan bhai ko Kaafir kaha tou woh khud waisa hi
hai jaisa usne kaha."
-
[Sahīh Al-Bukhārī, Hadīth : 6104 se pehle]
-
SOURCE: [Urdu Kitaab #Aqeedah_Ahle_Sunnat || Shaykh Abdul Baaqi ‫ || رحمه الله‬Romanized
by #AbuZahid Mudhakkir]

You might also like