You are on page 1of 6

Anjuman Shairee - Compiled by Suresh Shah of London.

UK

1 Is sadii ka jab kabhii Khatm-e-safar dekhenge log Ramz Ahemedabadi


waqt ke chehere pe Khaak-e-rahguzar dekhenge log
Anjuman ko faiz pahunchaaengi sham-e-anjuman
Kya hasin hoti hain umr Mukhtasar dekhenge log

2 dil ne ek ek dukh sahaa tanhaa Majeed Amjad


anjuman anjuman raha tanhaa
Dhalte saayo me tere kuche se
koii guzraa hai baar-haa tanha

3 bhule to jaise rabt koii darmiyaan na thaa Taban Ghulam Rabbani


itne badal bhi sakte ho tum pe gumaa na thaa
us anjuman se Uth ke bhi ham anjuman me the
Khalvat vo kaun sii thii tamaashaa jahaa na tha

4 muddat se lapatta hai khudaa jaane kyaa huaa Akhta Saeed Khan
phirta thaa ek shakhs tume puuchhtaa hua
Har anjuman mein Dhyaan usi anjuman ka hai
Jaagaa ho jaise Khwaab koii dekhta huaa

5 paimanaa-e-haal ho gae hum Sahar Ansari


gardish men misal ho gae hum
daryuuza-garo ki anjuman me
kashkol-e-saval ho gae hum

6 manaa ke rang rang teraa pairaha bhi hai Jaan Nisar Akhtar
par isme kutch karishma-e-aks-e-badan bhi hai
mutrib bhii tuu nadiim bhii tuu saaqiyaa bhii tuu
tuu jaan-e-anjuman hii nahii anjuman bhii hai

7 vo daur qariib aa raaha hai Athar Nafees


jab daad-e-hunar na mil sakegii
jaaoge kisii kii anjuman me
par us se nazar na mil sakegii

8 kise khabar ke jab me shahr-e-jaan se guzar rahaa thaa Akhtar Hoshiyarpuri


zamin thii pahluu me suraj ik kos par rahaa thaa
ajiib sargoshiyo kaa aalam thaa anjuman me
mai sun rahaa thaa zamaana tanqiid kar rahaa thaa

9 jo pardo me Khud ko chhupaae hue hai Hafeez Banarasi


qayaamat vahi to uthaae hue hai
Teri anjuman me jo aae hue hai
Gam-e-do-jahaa ko bhulaae hue hai

10 rang baate kare aur baato se Khushbuu aae Zia Jalandhari


dard phulo ki tarah maheke agar tuu aae
siine viiraan hue anjuman aabaad rahii
kitne gul-chehra gae kitne parii-ruu aae
11 labo pe hai jo tabassum to aankh purnam hai Makhmoor Saeedi
shu.uur-e-gam kaa ye aalam ajiib aalam hai
abhii nahii kisii aalam me dil Thaharne kaa
abhii nazar me teri anjuman kaa aalam hai

12 aaj bhii dast-e-balaa me nahar par pahra rahaa Akhtar Saeed Khan
kitni saadiyo baad me aayaa magar pyaasaa raha
ik sulagtaa aashiyaa aur bijliyo kii anjuman
puuchhtaa kis se ki mere ghar me kyaa thaa kyaa rahaa

13 ufuq agarche pighltaa diikhaai padtaa hai Jaan Nisar Akhtar


muje to duur saveraa diikhaai padtaa hai
jo apnii zaat se ik anjuman kahaa jaae
vo shaKHs tak mujhe tanhaa dikhaai padtaa hai

14 dil hii to hai nigaah-e-karam se pigal gaya Nayyar Sultanpuri


shikwa labo pe aa ke tabassum me Dhal gayaa
KHalvat banii huii thii teri anjuman magar
me aa gayaa to bazm kaa naqsha badal gayaa

15 vo ek pal kaa saath ba-waqt-e-namaaz hai Muzaffar Hanfi


mahmuud aasmaan pe zamin per aayaz hai
us anjuman me baat nahii ban sakii magar
allaah ko sunaa hai ba.Daa kaarsaaz hai

16 suu-e-falak na jaanib-e-mahtaab dekhna Ahmad Faraz


is shar-e-dil-navaaz ke aadaab dekhnaa
ham le to aa.e hai tujhe ik be-dilii ke saath
is anjuman me ai dil-e-betaab dekhnaa

17 Uthii kutch aise badan ki Khushbuu Mohammad Alvi


simat gaee pairahan ki Khushbuu
ye kaun 'alvii' chalaa gayaa hai
sameT kar anjuman kii KHushbuu

18 Khirad me mubtilaa hai 'saalik' dewaana barso se Abdul Majeed Salik


nahi aayaa vo maikhaane me bebaakaana barso se
naii shame jalaao aashiqii kii anjuman vaalo
ki suunaa hai shabistaan-e-dil-e-parvaana barso se

19 tasir-e-burq-e-husn jo unke sukhan me thii Hasrat Mohani


ek larzish-e-Khafii mere sare badan me thii
vaa se nikal ke phir na faraaGat hu.ii nasiib
aasuudgii kii jaan terii anjuman me thii

20 justajuu unki dar-e-ghair pe le aayi hai Mahendra Singh Bedi Sahar


an Khda jaane kahaa tak merii rusvaa.ii hai
dil abhii maa.il-e-sad-baadiya-e-paimaa.ii hai
kyuu abas ahl-e-chaman anjuman aaraa.ii hai
21 sitaaro se aage jahaa aur bhi hai Allama Iqbal
abhii ishk ke imtihaan aur bhi hai
gae din ki tanhaa thaa mai anjuman me
yahaa ab mere raaz-daa aur bhii hai

22 bughat rahaa hu Khud apne kiye kaa Khamyaaza Shakir Khaliq


tapak rahaa hai jo aankho se lahuu tazaa
nigaar-e-vaqt ne har-suu kamand Daalii hai
bikhar na jaa.e kahii anjuman kaa shiiraaza

23 aa terii gali me mar gae ham Meer Mohammadi Bedar


manzuur jo thaa kar gae ham
juu shamaa us anjuman se 'bedaar'
le daaG-e-dil-o-jigar gae ham

24 ke jaise koii musaafir vatan me laut aae Ameer Imam


huii jo shaam to phir se thakan me laut aae
kabhii gae the havaao kaa saamnaa karne
sabhii charaaG usii anjuman me lauT aae

25 vahii par mera sim-tan bhii to hai Sarvat Husain


usii raaste me vatan bhii to hai
mashaqqat bhare din ke aaKHiir par
sitaaro bharii anjuman bhii to hai

26 nasiihat- garo dil lagaayaa to hotaa Zaheer Dehlvi


Kabhi Khanjar-e-ishq Khayaa to hota
na aataa ki aataa shikaayat na rahtii
mujhe anjuman me bulaayaa to hotaa

27 dasht ki viraaniyo me hema-zan hotaa huaa Salim Saleem


mujh me Thahraa hai koii be-pairahan hota huaa
mere saare lafz merii zaat me khoe hue
zikr us kaa anjuman-dar-anjuman hotaa huaa

28 char jaaniib se sadaa aayi merii Mohsin Ehsan


shobada ban gaee tanhaai merii
ab bhii yaaraan-e-girafta dil ko
yaad hai anjuman-aaraa.ii merii

29 ladi is Thaat se mankhuuha-e-kaafir-bayaan merii Mohammad Taha Khan


farishte likhte likhte chhoD bhaage daastaan merii
vahii hai iKHtilaaf-e-baahamii kii anjuman ab to
faqat shaadii ke din us ne milaae haa me haa merii

30 rusva hue begair na naaz-e-butaa uThaa Ismail Merathi


jab ho gae subuk to ye baar-e-giraan uThaa
us anjuman me jaaea ab kis ummiid par
ham baiThne na paae ki vo bad-gumaa uThaa

31 yuu terii talaash me tere Khasta-Jaa chale Fana Nizami Kanpuri


jaise jhoom jhoom kar gard-e-kaarvaa chale
dil kii anjuman se yuu jaa rahaa hai zabt-e-Gam
jaise raaz kholne koii raaz-daa chale
32 koii aarzu nahi hai koii muddaa nahi hai Shakeel Badayuni
tera gham rahe salaamat mere dil me kyaa nahi hai
ye udaas udaas chehre ye hasii hasii tabassum
terii anjuman me shaayad koii aaiina nahii hai
33 aabruu kya khaak us gul kii ke gulshan me nahi Mirza Ghalib
hai garebaan nang-e-pairaahan jo daaman me nahi
raunaq-e-hastii hai ishq-e-KHaana viiraa saaz se
anjuman be-shamaa hai gar barq KHirman me nahii

34 naqaab-e-husn-e-do-aalam uThaee jaati hai Jigar Moradabadi


mujhi ko merii tajallii dekhaaii jaati hai
vo mai-kada hai terii anjuman KHudaa rakkhe
jahaa KHayaal se pahle pilaae jaatii hai

35 jab ek chraagh-e-raahguzar kii kiran pade Majeed Amjad


honto kii lau latiff hijaabo se chhan pade
jab anjuman tavajjoh-e-sad-guftuguu me ho
merii taraf bhii ik nigah-e-kam-suKHan pade

36 har gaam hadsaa hai Thahar jaaiye janaab Ameer Qazalbash


rasta agar yaad ho to ghar jaaiye janaab
din kaa safar to kaT gayaa suuraj ke saath saath
ab shab kii anjuman me bikhar jaaiye janaab

37 use ham bhii bhuul baithe na kar uska zikr tuu bhii Mahshar Badayuni
koii chaak agar ho zaahir to kare use rafuu bhii
terii anjuman kii raunaq me na farq aaegaa kuchh
hame chup biThaane vaale kabhii ham se guftuguu bhii

38 be-samt raasto pe sadaa le gayi mujjhe Iffat Zarrin


aahat magar junuun ke bachaa le gaii mujhe
maathe pe us ke dekh ke laalii sinduur kii
zaKHmo kii anjuman me hinaa le gaii mujhe

39 nahii ke ishq nahii he gul-o-saman se mujhe Wahshat Raza Ali Kalkatvi


dil-e-fasurda liye jataa he chaman se mujhe
misaal-e-sham.a hai ronaa bhii aur jalnaa bhii
yahii to faaeda hai terii anjuman se mujhe

40 aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahi mila Mustafa Zaidi


dil jis se mil gayaa wo dobaara nahi mila
ham anjuman me sab kii taraf dekhte rahe
apnii tarah se koii akelaa nahii milaa

41 abhi aankhen khuli hain aur kya kya dekhne ko Zafar Iqbal
mujhe paagal kiya us ne tamaasha dekhne ko
ba-zaahir mutma.in mai bhii rahaa is anjuman me
sabhii maujuud the aur vo bhii KHush thaa dekhne ko

42 dil par jo zaKHm hain wo dikhae kisi ko kya Habib Jalib


apna sariik-e-dard banaae kisi ko kya
rone ko apne haal pe tanhaaii hai bahut
us anjuman me KHud pe hansaae kisii ko kyaa
43 yaad ki subh Dhal gai shauq ki sham ho gaii Shamim Karhani
aap ke intezaar me umr tamaam ho gaii
raas na aaii ziist ko subh-e-bahaar kii havaa
ahl-e-junuu kii anjuman KHalvat-e-jaam ho ga.ii

44 mai us kii anjuman me akelaa nahii gayaa Zeeshan Sahil


jo mai gayaa to phir ko.ii tanhaa nahii gayaa
me chaahtaa thaa us ki nigaaho se khelnaa
lekin zaraa si der bhii khelaa nahii gayaa

45 lafz ki buhtat itni naqd-o-fan mein aa gayii Kavish Badri


maskh ho kar suurat-e-maanii suKHan me aa gayii
ek vahshii sinf se ham ne sharaafat siikh lii
panj-tan kii lau gazal kii anjuman me aa gayii

46 khari baaten ba-andaz-e-suKHan kah dun to kya hoga Shaad Aarfi


aduu-e-jaan-o-tan ko jaan-e-man kah dun to kya hoga
sitaare toDtii hai jab ki zarro kii tavaanaii
sitaaro ko tumhaarii anjuman kah duu to kyaa hogaa

47 hame shu.uur-e-junuu hai ki jis chaman me rahe Majrooh Sultanpuri


nigaah ban ke hasiino kii anjuman me rahe
zabaan hamaari na samjhaa yahaa koii 'Majrooh'
ham ajnabii ki taraah apne hi vatan me rahe

48 na bastiyon ko aziz rakkhen na hum bayaban se lau lagaae Shahzad Ahmad


mile jo aavaargii ki fursat to saari duniya me khaak udaee
ye dasht be-rah-ravo kii bastii ye shahr zindaaniyo kaa maskan
agarche KHalvat-nashii nahii ham magar kahaa anjuman sajaae

49 azab-e-be-dili-e-jaan-e-mubtala na gayaa Arsh Siddiqui


jo sar pe baar thaa andesha-e-sazaa na gayaa
rahe musir ki uThaa de vo anjuman se hame
ham uThnaa chaahte bhii the magar uThaa na gayaa

50 uDa sakta nahin koi mere andaz-e-shewan ko Saail Dehlvi


ba-mushkil kutch shikaayaa hai navaa-sanjaan-e-gulshan ko
ijaazat do to saarii anjuman ke dil hilaa duu mai
samajh rakkhaa hai tum ne hech taasiiraat-e-shevan ko

51 maujud the abhi abhi ru-posh ho gaye Jaleel Manikpuri


ai mast-e-naaz tum to mere hosh ho gaye
kyaa kyaa zabaa-daraaz charaaG anjuman me the
daaman-kashaa tum aae to KHaamosh ho gaye

52 ham un kii anjuman kaa samaa ban ke rah gaye Shakeel Badayuni
sar-taa-qadam nigaah o zabaa ban ke rah gaye
mazluum dil kii tHalk-navaii to dekhna
naghme jo lab tak aae fugaan ban ke rah gaye

53 ghubar dil se nikala nazar ko saf kiya Zeeshan Sahil


fir is ke baad mohabbat ka etiraaf kiya
is anjuman me mai aayaa thaa jin kii marzii se
unhe tumhaarii nazar se mere KHilaaf kiyaa
54 jab ek charagh-e-rahguzar ki kiran paDe Majeed Amjad
honto.n kii lau latiff hijaabo.n se chhan paDe
jab anjuman tavajjoh-e-sad-guftuguu me.n ho
merii taraf bhii ik nigah-e-kam-suKHan pa.De

55 use hum bhi bhul baiThe na kar us ka zikr tu bhi Mahshar Badayuni
koii chaak agar ho zaahir to kare use rafuu bhii
teri anjuman kii raunaq me.n na farq aa.egaa kuchh
hame.n chup biThaane vaale kabhii ham se guftuguu bhii

56 be-samt raston pe sada le gayi mujhe Iffat Zarrin


aahat magar junuun kii bachaa le gayi mujhe
maathe pe us ke dekh ke laalii sinduur kii
zaKHmo.n kii anjuman me.n hinaa le gayi mujhe

57 nahin ki ishq nahin hai gul o saman se mujhe Wahshat Raza Ali Kalkatvi
dil-e-farsurda liye jataa hai chaman se mujhe
misaal-e-sham.a hai ronaa bhii aur jalnaa bhii
yahii to faa.eda hai terii anjuman se mujhe

58 aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahi.n mila Mustafa Zaidi


dil jis se mil gayaa vo dobaara nahi.n mila
ham anjuman me.n sab kii taraf dekhte rahe
apnii tarah se ko.ii akelaa nahii.n milaa

You might also like