You are on page 1of 3

Oh Ranjhanaa ve teri saanson pe

Thoda sa watan ka bhi haq tha


Na dekh mujhe yun mud mud ke
Tera mera saath yahin tak tha

Aye meri zameen mehboob meri


Meri nass nass mein tera ishq bahe
Pheeka na pade kabhi rang tera
Jismon se nikal ke khoon kahe
Haaye...

Teri mitti mein mill jaawan


Gul banke main khill jaawan
Itni si hai dil ki aarzoo

Teri nadiyon mein beh jaawan


Teri kheton mein leharawaan
Itni si hai dil ki aarzoo

Oh Desh Mere
Teri Shaan Pe Sadke
Koyi Dhan Hai Kya
Teri Dhool Se Badh Ke
Teri Dhoop Se Raushan
Teri Hawa Pe Jinda
Tu Baag Hai Mera
Main Tera Parinda
Hai arz yeh deewane ki
Jahan bhor suhani dekhi
Ik roz wahin meri shaam ho
Kabhi yaad kare jo zamana
Maati pe mar mit jaana
Zikar mein shaamil mera naam ho

o….o….o…
Sandese aate hain, hamein tadpaate hain
Jo chitthi aati hai woh poochhe jaati hai
Ke ghar kab aaoge, ke ghar kab aaoge
Likho kab aaoge
Ke tum bin yeh ghar soona soona hai

Aye guzarne waali hava bata


Mera itna kaam karegi kya
Mere gaanv ja mere doston ko salam de
Mere gaanv mein hai jo woh gali
Jahan rehti hai meri dilruba
Use mere pyaar ka jaam de
Use mere pyaar ka jaam de
……..
Wahin thodi door hai ghar mera
Mere ghar mein hai meri boodhi Maa
Meri Maa ke pairon ko chhoo ke tu
Use uske bete ka naam de
Main ek din aaunga[2]

Vande maataram

Vande maataram[8]

You might also like