You are on page 1of 3

Story Name : bans kaatne wali ki khani/ chand se aayi pari

Characters : kin lee(male 45), suzu(frmale 40), samrath ,


Sc.No Character Dialogue
1 (Gaon)
Vo Ek chote se gaon me 40 se 45 saal ke ek dampatti rehte
the. Kin lee aur suzu…. Unki halat kafi buri thi.. chota
purana ghar.. uss ghar ki chat bhi tuti futi thi. Subha
dhoop ki kirane unke ghar ke andar aati aur raat
chand ki roshani…. ghar chalane ke liye kin lee jungle
main bans kata karta hain..
2 (Jungle me)
Vo Ek din kin lee bans kat raha tha… par unme se ek bans
se tej roshani aa rahi thi...
Kin lee Ye bans itna kyu chamak raha hain?
Vo Kin lee ne bade hi pyaar se vo bans kata uss bans ke
andar se anguthe ke aakar ki.. bohat hi khubsurat ladki
nikali aur uss ladki se tez roshni nikal rahi thi...
Kin lee (self Kitni khubshoorat iss me ghar le jaunga.
talk)
vo Kin lee ne bohat dhyan se apne hath pe uss ladki ko
rakha aur apne ghar le gaya.
3 (Ghar)
Vo Ghar pahoch ke usne apni patni ko sari baate batayi..
Suzu bhi nanhi ladki ko dekhkar bohat hairaan ho gayi..
Suzi Ye toh chandi ki jaisi chamak rahi hain. Ham isse
moonlight kahenge.

4 (Jungle)
Vo Kin lee har din ki tarah jungle me bans katne jaata
hain…. par ab kin lee jo bhi bans katata uss bans ke
andar se sone ki mohre nikalti thi… kin lee ne socha ki
ye sab l moonlight ke ane se hua hain kin lee moonlight
ko bohat hi saubhagyashali maanta
Tha….
5 Vo moonlight saman bacho se dungi tezi se badi ho rahi thi
aur mehaz 10 baras main wo bohat khubshoorat yuvati
main badal chuji tji..
6 (Bada ghar)
Vo kin lee aur uski patni bohat ameer ban chuke hai.. ab.
Aur ek bada ghar main rehte hain.. Unlogo ne
moonlight ki parvarish main koi kami nahi chodi…
Usse bilkul apni beti ki tarah pala hai…
Vo Din bitate gaye.. ab moonlight badi ho gayi… jab bhi
moonlight apne ghar se bahar nikalti log bas usse hi
dekhte… gaon ke har jawan ladka moonlight se shaadi
karne ka sapna dekha karte the…
Vo Gaon wale bhi kin lee aur suzu se pucha ki moonlight
aakhir hai kon?..
kin lee Moonlight mujhe bans ke andar mili…. par ham usse
apne beti jaisa hi pyaar karte hain…
Story Name : bans kaatne wali ki khani/ chand se aayi pari
Characters : kin lee(male 45), suzu(frmale 40), samrath ,
1 aadmi Dekho kin lee bhai! Ab jo bhi ho… moonlight aap ki beti
hain.. meri mano toh uski shadi mere bete se kara do.
Iss gaon me ham se ameer aur accha parivaar koi aur
nahi milega.
Vo Tabhi gaon ki ek aurat bohat gusse me boli..
Aurat Are wah wah wah! Bhala hamare pariwar me kya
kharaabi hain? Kin lee ji kuch hi mahino me mere beta
vilayat jaane wala hain.. moonlight ki shadi mere bete
se kara do usse bhi vilayat le jaaiga..
Vo Gaon ke log ek dusre me bahes karne lage. Tabhi kin
lee chupke se vaha se nikal gaya.
7 (Ghar aake)
Vo Kin lee daudte huye ghar aaya!
Moonlight Kya hua papa? Aap itne thak kyu ho?
Kin lee Kuch nahi! Gaon wale aapas me bahes kar rahe tumhari
shadi ko leke.
Rekha (laughing) pura gaon moonlight se shadi karna chahta
hain! Goan ka koi aisa ghar nahi hain… jisne moonlight
bahu roop main nahi chahiye…
Moonlight Par mujhe shadi nahi karni hain… aap dono ke sath hi
rahna hain..
Rekha Beti sab ladkiyo ki shadi hoti hain… aur teri bhi
hongi..
Vo Moonlight apne mata pita ke sath khushi khushi rehna
chahti thi… lekin ek baat hamesha unhe satati thi..
Moonlight Maine kon hu? Mere paas sab kuch hain… mata pitajo
(self talk) bhi bohat pyaar karte hain. Fir bhi me andar se khush
kyu nahi hu?
Vo Har raat moonlight khud se ek hi sawal puchti… maine
kon hu?
8 (samrat)
Vo Vaise toh har din kin lee ke ghar moonlight ke liye
shadi ka rishte aate the… par aaj moonlight ko dekhne
nagar se samrat aaye the..
Kin lee Samrat ji! Aayiye baithe!
Samrat Moonlight aap ki saputri hain?
Kin lee Ji haan!
Samrat Pure gaon me unki khubshoorati ke charche hain. Kya
main unhe dekh sakta hu?.
Kin lee Abhi bulata hu!
Vo Kuch hi der me! Moonlight aayi! Moonlight ki
khubsoorati dekh samrat khade ho jaate hain… aur
unki tareef karne lagte hain…
moonlight Samrat ji! Par me aap se shadi nahi kar sakti hu.
Samrat Kintu kyu?
Moonlight Main apne mata pita ko chod ke kahi nahi jaaungi aap
se kya? Me toh kisi se bhi shadi karna nahi karna
chahti hu
Story Name : bans kaatne wali ki khani/ chand se aayi pari
Characters : kin lee(male 45), suzu(frmale 40), samrath ,
Vo Samrat hass padhe...
Samrat Hame apna mitra toh bana sakte ho.
Vo Dono hasne lage.
9 (Chand tuta)
Vo Adhi raat me moonlight chand ko dekhti hain.. chand
beech se tutane lagta hain. Aur ek rath me badal jaata
hain.. uss rath ke aas pass chote chote sipahi the.... tej
roshni ke sath vo rathmoonlight ki taraf aata hain..
Vo Roshani itni tej thi.. ki sab gaon wale roshani ki taraf
jaane lagte hain.. sab apne apne ghar se bahar nikalte
hain… samrat bhi apne mahal se roshani ki taraf chalte
hain..
9 (Rath zameen pe)
Vo Rath moonlight ke ghar ke aage utarta hain. Moonlight
ghar ke bahar aati hai…. Chote chote sipahi moonlight
ke paas aaye aur usse chune lagi. Unke cchute hu
moonlight aur zyada chamak ne lagi.. aur tabhi
moonlight ke par aa jate hain aur wo ek bohat sundar
pari me badal jaati hain… aur moonlight ko saari baatey
yaad aa jaati hai
Vo Sab log usse hi dekhne lagte hain.. moonlight apne maa
ko aur apne pita ko gale se laga leti hain.
Moonlight Ek raat me chand se dharti pe aayi thi…… mere peeche
kuch jungli janwar padhe the.. aur main bohat thak
chuki thi isliye bans ka andar jaa ke aram karne lagi
aur agle din aap mujhe apne ghar le aaye... ab tak
mujhe kuch yaad nahi tha… Par ab mera samay aa gaya
hain.. chand pe jaane ka.. samrat aap ki dosti hamesha
mere saath rahegi…. Me aap sab ko chand se dekhti
rahungi.
Vo Aur moonlight rath me baith ke chali gayi.
Vo Kin lee aur suzu fir se apni moonlight ko yaad karte
rahe… wo aksar chand ko dekhkar moonlight ko
aashirwad dete the… moonlight ek pari thi jisne ek be
aulaad mata pita ko… aulaad ka sukh diya..
(Freeze)

You might also like