You are on page 1of 4

Story Name: Gareeb Ka Aasmani Dhaba

Characters : Ajay(60), Vijay(55), Sunil(25)


Sc.No Character Dialogue
1 Scene (Setting: house)
Vo Ajay vijay dono bhai ek sath raha karte the.. dono bhaiyo
me bahot pyaar tha.. koi bhi kaam ho dono bhai ek sath
karte the. Unka pura parivaar ek saath mil julkar rehta
tha,…
2 Scene (Setting: house + Samshan ghat)
Vo Par ek ka ek, vijay ko ek gambhir bimari ho jaati hai…
wo kuch mahino tak bistar par padha hota hai aur fir
achanak swarg sidhar leta hai!
3 Scene (setting: house)
VO Vijay ka ek beta tha. Jis ka naam sunil hain. Vijay ki maut
ke baad, Sunil ke kaka Ajay use naukro ki tarah kaam
karwate the- khet ki jutaai, janwaro ka khayal rakhan,
ghar ka saman laana wagaira wagaira. Kuch samay baad
Sunil insab se tang aa gaya…
Sunil Taau ji! Aap sara kaam mujhse karwate ho, aur khud
ghar baithe rehte ho! Na hi aapke dono bete meri koi
kaam main madad karte hai!
Ajay Toh? Agar tujhe is ghar me rehna hain toh, sara kaam
tujhe hi karna padega!
Sunil Kyu? Iss ghar par aapka jitna hakk hai utna mera bhi
hai!
Ajay (laughing) pagal ho gaya hain kya? Tujhe pata nahi?
Mere pitaji ne apni jaydad mere naam par rakhi hai..
tere baap ke naam par kuch bhi nahi hai. Tujhe kuch
nahi milega! Samjha!
Sunil Iss liye aap mujhse aur meri maa se naukro ki tarah bar-
tav karte ho!
Ajay Haan! tum dono bas naukar hi ho!
Sunil Ye toh sarasar baimani hai! Aapne saari jaydad dhoke se
apne naam kar li!
Ajay Tujhe jo samajhna hai samaj! Ye ghar toh mera hai… par
tu mere chote bhai ka beta hai isliye tujhpar taras
khakar main tujhe purana ghar de raha hu… wo mere
pitaji ka ghar hai… tu apni maa ke saath waha chala jaa!
Vo Sunil ke paas aur koi raasta nahi tha… wo ghar ke kagzat
leke, apni maa ke sath purane ghar chala jaata hain.
4 Scene (purana ghar )
Story Name: Gareeb Ka Aasmani Dhaba
Characters : Ajay(60), Vijay(55), Sunil(25)
Vo Ghar bada tha.. par uss ghar ko marumat ki zaroorat thi,
ghar ke aage ek chota aangan bhi tha.
Sunil Maa! ghar toh accha hain, par safai aur maramt ki bohat
zaroorat hain
Maa Haan beta! Tere dada ji ko ye ghar bahot pasand tha.
Meri shaadi hui thi toh main yahi aayi thi… tere dadaji
yahi aangan main baithte the char pai pe!
5 Scene (ghar ki saf safai)
Vo Sunil aur uski maa ghar ki saf safai me jut jaate hain…
andar se ghar ki halat aur buri thi. Ghar ki safai karte
karte sunil dusre kamare me chala jaata hain. Vaha ek
bada patra gira tha.. sunil jaise hi patra uthata hain.. an-
dar se ek Saap nikalta hain.
Sunil(self Are baap re! ye toh bahot bada Saap hain. Par me tujhse
talk) nahi darunga…. Ab mujhe issi ghar main rehna hai… hey
saap tu yaha se chala jaa warna majburan mujhe tujhe
yaha se nikal fekna hoga!
Vo Tabhi vo Saap sunil se baat karne lagti hain…
Saap (fe- Kuch din pahle hi maine yaha ande diye hain. Jab anday
male) se bache bahar aa jaiye toh me khud chali jaugni tab tak
main yahi rahungi!
Sunil Kya tum bol sakti ho?
Saap main jadui saap hu! Main bol sakti hu!
Sunil Theek hain tum yaha raho par meri maa aur mujhe koi
nuksan nahi hona chahiye!
Saap Main aap dono ko, koi nuksan nahi pahochaungi.
Vo Ghar ki safai karte karte raat ho gayi. Sunil ke pass kuch
paise the… unn paiso se sunil khana lata hain. maa bete
khana khaa ke so jaate hain.. par sunil ko nind nahi aati,
fir se sunil saap ke pass jaata hain.
6 Scene (Saap ke sath)
Sunil Tum yaha kab se ho?
Saap Picchle kai saalo se.. par tum yaha kyu aaye ho?
Tumhara pura pariwar kaha hain?
Sunil Kuch hi mahino pahle mere pitaji ki mrituye ho gayi, ek
bimari se. mere pitaji ke ek bade bhai bhi hain. Hamara
pura pariwar ek sath rehte tha… pitaji ke marne ke baad
mere tauji hamare saath naukro jaisa bartav karne
lage… maine taau se jaidad ka hissa manga, toh mujhe
Story Name: Gareeb Ka Aasmani Dhaba
Characters : Ajay(60), Vijay(55), Sunil(25)
ye keh diya ki mere pitaji ka koi hissa nahi hai… aur
taras khakar unhone ye purana ghar mujhe de diya…
kaash wo kuch aur paise bhi de dete! Kam se kam main
ek dhaba khol leta!
Saap Lagta hain tumari maa uth gayi..
Vo tabhi sunil ki maa use awaz laga rahe hote hain.
Sunil main sone jaata hu. Kal fir aunga tumse baat karne!
7 scene (Setting: outside house a floating dhaba in air)
Vo Agli subha sunil ki maa aangun jhadu marne jaati hain,
unhe aangun main aasmani dhaba dikhai deta hain.. jis
ki shidhiya zameen se thodi upar hoti hain, aur pura
dhaba hawe main tair raha hai! bina kisi sahare ke.
Maa (Scream) Sunil! Sunil!
Sunil Kya hua maa? Subha subha kyu chila rahi ho?
Maa Zara ye asamani dhaba toh dekh! Bina kisi sahare ke
hawa me kaise tair raha hain!
Vo Asamani dhabe ko dekh sunil ko yakin nahi hota hain,
dono maa bete asamani dhabe ki seedhiya chadhkar
upar jaate hai..
Sunil Wah! Maa ye hamara aasmani dhaba hai!
Maa Par ek raat me ye jadui dhaba banaya kis ne?
Vo Sunil samjh jaata hain. Ye asamani dhaba uss Jadui Saap
ne hi banaya hain
8 Scene (Sanp ke paas)
8 VO Sunil maa ko lekar Saap wale kamre main jaata hai.. par
waha Saap nahi hota, har jaghe dhundne ke baad bhi
sunil ko Saap nahi milta hain. Bas toote huye anday ke
kuch chilke milte hain.
Sunil(self Lagta hain, vo apne bacho ko leke chali gayi.. par jaate
talk) jaate mer liye jadui asamani dhaba bana ke gayi..
VO Sunil ki maa jadui saap ko bohat duwa deti hai…
9 Scene (Logo ki lambi line)
Vo Aur ussi din se Sunil ne aasmani dhabe ko shuru kar
diya… door door se log asamani dhabe pe khana khane
aate hain.. subha se shaam tak logo ki lambi line lagi hoti
hain. Aasmani dhaba apne aap main ajuba tha… log
khane se zyada, aasmani dhaba dekhne aate the… Sunil
ki kamai acchi ho rahi thi… usne purane ghar ki mara-
Story Name: Gareeb Ka Aasmani Dhaba
Characters : Ajay(60), Vijay(55), Sunil(25)
mat karwa li… aur saath hi sukh suvidha ki har cheez
khareed li… Ab Sunil aur uski maa ka jeevan pehle se
bohat behtar ho gaya tha! Wo khush the aur unki khushi
ka kaaran- Jadui aasmani dhaba tha!

You might also like