You are on page 1of 1

Jeeney ki aas main rehti hai khushi ki talaash kabhi kabhi

Jeeney ki aas main rehti hai khushi ki talaash kabhi kabhi

Manzil nazar aati hai magar rah bhatak jati hai kabhi kabhi

Hai lab pe bhi naam unka aur tasavur main bhi hain woh

Par yun he sab kuch bhulana chahhtain hain kabhi kabhi

Woh unko samajh key apna duniya ko bhool jana

Yaad aati hain iss dil ki nadaniyaan kabhi kabhi

Paas humdum bhi hai door mehfil bhi woh apni

lagti phir bhi rooth key mananey walon ki kami kabhi kabhi

Hain maikhaney main terey har rang key ujaley

Par kyun na nazar aati woh adhoori raat kabhi kabhi

Hai kahan yeh mumkin ki yaksaan rahey har tarf hum

Rangish wa muhabat ki khalish main rehta hoon kabhi kabhi

Ho zikr-i- jahan pe tera kyun door hum uss jagah sey

Dikha sakb ko bhi apni bazm-e- ka rasta kabhi kabhi

(Sakb mushtaq)

You might also like