You are on page 1of 2

Aao Kahani mai sunaau ek aise sheher ki

Jiski mitti me hai bas pyaar ki khushbu


Jiske Galiyon mei chalti hai apnepan ki hawa aur
Na kisi me hod ek dusre ko pichhe chhorne ki
Jiske itihaas lambi hai itni kyaari
Hai kahaniyan bhi pyaari chahe ho koi musafir
Kisi mulk se ho aaya uski aankhon par bhi chhaya aur
Patna sheher ko sabse pyaara usne paaya
Jiske naam bhi badle waqt ke sang aur kirdaar bhi
Janm diya jisne zero banaane waale ko bhi
Hai basera jiska maa ganga ki god mei
Ek mithaas hai yahan ke har bol mei

Kuch toh khaas hai yahan ke hawaon mei


Har ek kaum ke hain log rehte pyaar se
Iss dharti se aaye the Mahaan hastiyan
Aryabhatt ne duniya ko jab zero Diya
Chal pade the hum tarakki ke raah pe

Hai jiska zikr har panno me itihaas ke


Kitne Budhhijivi jaise Gautam Budhha aur Ashoka bhi the
Aaj bhi unke saari seekhon ka asar hai dikhta
Patna sheher ne hai riwaazon ko sambhale rakha

Jo bhi aate hain Nalanda ke khandaron ke paas


Dang reh jaate hain Jaan ke ko in sabka itihaas
Harmandir Sahib ke jaadu ka ab kya hai kehna
Chahe har koi thodi der aur rehna

Jinka ho bachpan juda iss sheher se


Jab ho alag wo
Mann kaise behlaaye dur ghar se
Dosto ke sang phirna
Chidiyaghar gol ghar jaana
Raaste me chai ki tapri par ruk kar
Baatein banana
Ganga kinaare baithe bin ek lafz bole
Dil me Jo baatein hai wo bayaan kar ke
Ghar sukoon se jaana

Kitne janbaaz iss sheher ne hai diye


Apne Desh ko Jo apne karmo me hain datey huye
Chahe suraksha ho iss desh ki ya ho chalana
Desh ko mil jayenge har kaamon me wo tumhe

Talaash me hum zindagi ke


Ghar chhod jaate jab yahan se
Ye chhota Sheher pukarta Hamein
Suney se kamre ki deewarein
Hamein Yaad karke roti hai bulaati hai

Itni hain baatein batane ko ki


Shabd kam pad jayenge
Tere intezar mei tere apne raah dekhte hain
Unki baaton ko naa bhulana
Sang sabke hasna gaana aur khushiyan lutaana.

Kuch toh khaas hai yahan ke hawaon mei


Har ek kaum ke hain log rehte pyaar se
Iss dharti se aaye the Mahaan hastiyan
Aryabhatt ne duniya ko jab zero Diya
Chal pade the hum tarakki ke raah pe

You might also like