You are on page 1of 1

kitni girhein kholi hai maine kitni girhein ab baaqi hai paaon mein payal baahon mein kangan

gale mein hansri, kamarband, challe aur bichuye naak kaan chidwaaye gaye aur zewar zewar kehte kehte reet riwaaz ki rassiyon se mein jakdi gayi oof kitni tarah mein pakdi gayi ab chhilne lage hain haath paaon aur kitni kharaashe ubhri hai kitni girhein kholi hai meine kitni rassiyaan utri hai ang ang meraa roop rang mere naksh nain mere bol bair meri awaaz mein koyal ki taarif hui meri zulf saamp meri zulf raat zulfo mein ghataa mere lab gulaab aankhein sharaab ghazalein aur nazmein kehte kehte main husn aur ishq ke afsaano mei jakdi gayi kitni tarah mein pakdi gayi mein poonchoo zaraa aakhomein sharaab dikhi sabko aakaash nahi dekhaa koi sawan bhadon to dikhe magar kya dard nahi dekhaa koi phan ki jhini si chadar mein chile gaye uryani ke taagaa taagaa karke poshaaq utaari gayi mere jism pe phan ki mashq hui aur aap panhaa kehte kehte sange marmar mei jakdi gayi kitni tarah mein pakdi gayi batlaaye koi... batlaaye koi kitni girhein kholi hai maine kitni girhein ab baaqi hai

You might also like