You are on page 1of 4

MOULA SE

DARKHWAAST

A Poem in Urdu
Moula se Darkhwaast
Moula mere mujhse na ruthnaa
Ruth jaye saari Dunya
Tun kabhi na ruthnaa
Moula mere mujhse na ruthnaa

Tun agar ruth gayaa


To jaaun mei kahaan
Darvaza khatkhataun kiska
Kisko kahun apnaa

Moula mere mujhse na ruthnaa…

Maanaa ke mei gunnahgaar hun


Par tun bhi to bhara Rahmaan hai
Teri is azeem shaan ke sadke
Gunnah mere mu’aaf karnaa

Moula mere mujhse na ruthnaa…

Lamhe guzar jaatein hein


Na parhta hoon tera Kalaam
na karta hoon tera zikr
Meri is la-parwahiko nazar andaz karnaa

Moula mere mujhse na ruthnaa…


Kitni naimatonse nawaaza hai tune
Firbhi karta hun teri na-farmaani
Sunle qasoorwarki yeh iltijah
Mujh par nigahen karam karnaa

Moula mere mujhse na ruthnaa…

Mujhko kabhi azmana nahin


Imaan mera kamzor hai
Teri Paak zaat ke tufeil mein
Saaya tera mujh par rakhnaa
Moula mere mujhse na ruthnaa…

Tun mujhe apnaa banale


Mujhe aur chaahiye kya
Hashr ke maidaan me
Fainsla mere haq me karnaa

Moula mere mujhse na ruthnaa…

Yehi tamannaa hei ke Qiyamat ke roz


Mujhe tere Arsh ka saya mile
Aur nasib ho Nabi (SAW) ke Mubarak hathonse
Hauz-e-Kauthar se peenaa
Moula mere mujhse na ruthnaa
Ruth jaye saari Dunya
Tun kabhi na ruthnaa
Moula mere mujhse na ruthnaa

…Ameen

You might also like