You are on page 1of 4

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai; Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai!

Khench lena voh mera parde ka kona da-fatan; Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai

Berukhi ke saath sunna darde dil ki daastan; Woh kalaai main tera kangan ghumana yaad hai!

Waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne ke liye; Woh tere sukhe labon ka thar-tharana yaad hai!

Aa gaya kal wasl ki shab bhi kahi zikr-e-firaaq; Woh tera ro ro ke bhi mujhko rulana yaad hai!

Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye; Vo tera kothe pe nange paaon aana yaad hai!

Ba-hazaran istirabo sad-hazaraan ishteyaque; Mujhse vo pehle pehal dil ka lagana yaad hai!

Jaan kar hota tujhe wo kasad-e-pabosi mera; Aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai!

Tujhko jab tanha kabhi pana to aj-raahe lihaaz; Hale dil baton hi baton me jatana yaad hai! Jab siwa mere tumhara koi diwana na tha; Sach kaho kya tumko bhi wo kaarkhana yaad hai!

GHULAM ALI - BIKHARTI ZULF KI PARCHHAIYAN MUJHE DEDO - ...

BIKHARTEE ZULF KI PARCHHAYIYAAN MUJHE DEDO! TUM APNI SHAAAM KI TANHAAYIYAAN MUJEH DEDO! YE LAHER LAHER BADAN TOOT HI NA JAYE KAHEEN; KHUMAAR-E- HUSN KI ANGDAAYIYAAN MUJHE DEDO! MAIN TUM KO YAAD KAROON AUR TUM CHALE AAO; MUHABBATON KI YE SACHHAYIYAAN MUJHE DEDO! MAIN DOOB JAAWOON TUMHAREE UDAAS AANKHON MEIN; TUM APNE DARD KI GAHRAAYIYAAN MUJHE DEDO! Ghulam Ali - Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai; Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai!

Khench lena voh mera parde ka kona da-fatan; Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai

Berukhi ke saath sunna darde dil ki daastan; Woh kalaai main tera kangan ghumana yaad hai!

Waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne ke liye; Woh tere sukhe labon ka thar-tharana yaad hai!

Aa gaya kal wasl ki shab bhi kahi zikr-e-firaaq; Woh tera ro ro ke bhi mujhko rulana yaad hai!

Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye; Vo tera kothe pe nange paaon aana yaad hai!

Ba-hazaran istirabo sad-hazaraan ishteyaque; Mujhse vo pehle pehal dil ka lagana yaad hai!

Jaan kar hota tujhe wo kasad-e-pabosi mera; Aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai!

Tujhko jab tanha kabhi pana to aj-raahe lihaaz; Hale dil baton hi baton me jatana yaad hai! Jab siwa mere tumhara koi diwana na tha; Sach kaho kya tumko bhi wo kaarkhana yaad hai! Song: Yeh Daulat Bhi Le Lo Movie: Ajj Singers: Jagjit Singh, Chitra Singh Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shoharat Bhi Le Lo Bhale Chhin Lo Mujhase Meri Javaani Magar Mujhako Lautaa Do Bachapan Kaa Saavan Vo Kaagaz Ki Kashti, Vo Baarish Kaa Paani Muhalle Ki Sabase Nishaani Puraani Vo Budhiyaa Jise Bachche Kahate The Naani Vo Naani Ki Baaton Mein Pariyon Kaa Deraa Vo Chahare Ki Jhuriryon Mein Sadiyon Kaa Pheraa Bhulaae Nahin Bhuul Sakataa Hai Koi Vo Chhoti Si Raaten Vo Lambi Kahaani Kadi Dhuup Mein Apane Ghar Se Nikalanaa Vo Chidiyaa Vo Bulabul Vo Titali Pakadanaa Vo Gudiyaa Ki Shaadi Mein Ladanaa Jhagadanaa Vo Jhuulon Se Giranaa Vo Gir Ke Sambhalanaa Vo Pital Ke Chhallon Ke Pyaare Se Tohafe

Vo Tuuti Hui Chuudiyon Ki Nishaani KaBhi Ret Ke Unche Tilon Pe Jaanaa Gharaunde Banaanaa Banaake Mitaanaa Vo Maasuum Chahat Ki Tasvir Apani Vo Kvaabon Khilaunon Ki Jaagir Apani Na Duniyaa Kaa Gam Thaa Na Rishton Ke Bandhan Badi Khuubasuurat Thi Vo Zindagaani
Song: Honton Se Chhoo Lo Tum Singer: Jagjit Singh

Hm mm mm mm, hm hm hm hm hm hm hm (Honton se chhoo lo tum Mera geet amar kar do) - 2 Ban jaao meet mere Meri preet amar kar do Honton se chhoo lo tum Mera geet amar kar do (Na umr ki seema ho Na janm ka ho bandhan) - 2 Jab pyaar kare koi To dekhe keval mann (Nayi reet chalaakar tum Yeh reet amar kar do) - 2 (Aakaash ka soonapan Mere tanha mann mein) - 2 Paayal chhankaati tum Aa jaao jeevan mein Saansein dekar apni Sangeet amar kar do Sangeet amar kar do Mera geet amar kar do (Jag ne chheena mujhse Mujhe jo bhi laga pyaara) - 2 Sab jeeta kiye mujhse Main har dam hi haara (Tum haarke dil apna Meri jeet amar kar do) - 2 Honton se chhoo lo tum Mera geet amar kar do

You might also like