You are on page 1of 3

Sawal:

HADEES Kise Kaha Jata Hai?


Jawab:
HADEES ke lugwi maney BAAT karne ke hote hai aur SHARIYAT ke istilah me 2do chizo ke
majmue ko HADEES kehte hai pehla KHABAR aur dusra ASAR,
Basawakat Kabhi Khabar Ko Bhi Hadees Kaha Jata Hai Aur Kabhi Asar Ko Bhi Hadees Kaha
Jata Hai Aur Amuman In Dono Ke Majmua Ko Hadees Kaha Jata Hai,
Aur Khabar Ki Jama Ko Akhbaar Kehte Hai Aur Asar Ki Jama Ko Asaar Kehte Hai!

Sawal:
SUNNAT Kise Kaha Jata Hai?
Jawab:
SUNNAT ke lugwi maney TARIKEY ke hote hai aur SHARAYI istilah me SUNNAT kehte hai
RASOOLULLAH(sallalla hualaihiwasallam) ke tarike ko yani SUNNAT ka lafz khas hai
RASOOLULLAH(sallalla hualaihiwasallam) se hai aur jab koi kehta hai QURAN wa SUNNAT
to iske maney hote hai RASOOLULLAH(saw) Se Marfuan Sabit Ho Use Sunnat Kaha Jata Hai!
Basawakat SAHABI raziallahuanhu Ke Tareeke Ko Bhi Sunnat kaha Jata Hai Jaise Rasoolullah
sallallahualahiwasallam Ne Farmaya Alaikum Bi Sunnati Wa Sunnatil Khulafa Ur Rshideen Al
Mahdihreen!
Magar Sunnat Amuman Rasoolullah sallallahualahiwasallam Se Khaas Hai!

Sawal:
KHABAR Kise Kehte Hai:
Jawab:
"KHABAR" kehte hai 3teen chizo ke majmue ko RASOOLULLAH(sallalla hualaihiwasallam)
ke AQWAL yani Rasoolullah sallallahualahiwasallam ne kuch farmaya aur RASOOLULLAH
sallallahualahiwasallam ke AF'AL yani apne Koi amal kiya aur RASOOLULLAH
sallallahualahiwasallam ki ijazat yani apke samne kisi sahaba(raziallahuan) ne koi amal kiya ya
kuch kaha aur RASOOLULLAH sallallahualahiwasallam ne unhe roka nahi yani apne us amal
ko barkarar rakhka ye 3teeno chize yani RASOOLULLAH(sallalla hualaihiwwsallam) ke aqwal
wa af'al wa takrir yani ijazat SUNNAT kehlati hai aur HADEES ki istilah me ise KHABAR Aur
Khabar Ki Jama Akhbar Kaha Jata Hai wa ASAR aur Asar Ki Jama Akhbar bhi kehte hai...

Sawal:
ASAR Kise Kaha Jata Hai?
Jawab:
ASAR Ki Lugwi Hota Hai Nisani Ke Aur Shariyat Ki Istilah Me Asar ke maney hote hai kisi
SAHABI(raziallahuan) ke aqwal yani Sahabi raziallahuanahu ne kuch farmaya aur SAHABI
raziallahuanhu ka af'al yani Sahabi raziallahuanhu ne koi amal kiya aur sahabi raziallahuanahu ki
takrir yani sahabi raziallahuanahu ke samne ki kamdarje ke kisi Sahabi raziallahuanhu ne ya kisi
TABAYI ne koi amal kiya ya kuch kaha aur jo ilm me zyada bade SAHABI raziallahuanhu ne
unhe roka nahi barkarar rakhka ye Sahabi raziallahuanhu ki takrir ho gayi...
basawakat TABAYI Ya TAB E TABAYI(rahimahullah) ke kaul wa amal ko bhi asar kehte hai
magar tabayi ki takrir humare ilm ke mutabik asar me samil nahi hoti...

Sawal:
RAAWI Kise Kehte Hai:
Jawab:
RAAWI Us Shaks Ko Kaha Jata Hai Jo Hadees Ko Riwayat Karta Hai Apne Shaikh Se Jaise
Imam Bukhari Ne Apni Sahih Me Farmaya HADDASNA ALI IBN ABDULLAH MADNI to
Yaha Imam Bukhari Bhi Raawi Hue Aur Jinse Unhone Riwayat Kiya Hai Apne shaikh Yani Ali
Ibn Madni Ye Bhi Raawi Keh Late Hai!
Aur RAAWI Ki Jama RUWAT Hoti Hai!

Sawal:
SANAD Kise Kaha Jata Hai?
Jawab:
HADEES ki RIWAYAT karne walo ke silsila e tareek ko SANAD kaha jata hai aur TAREEK
bhi...
maslan IMAAM BUKHARI ne kaha HADDASNA MAKKI IBN IBRAHIM unhone kaha
HADDASNA YAZEED IBN ABI UBAIDA unhone riwayat kiya ANN SALAMA IBN AKOOH
raziallahuan unhone kaha SAMIYATU NABIYI sallallahualaihiwasa llama Yaqulu Kaza Wa
Kaza.....
is silsila e tareek bayan karne ko jo ek dusre se riwayat kiya hai HADDASNA ya AKHBARNA
Ya SAMIYATU Ya ANN wagaira,
To is Silsila E Riwayat Ko SANAD kaha jata hai,
Aur SANAD Ki Jama ASAANID hoti Hai Aur ISNAAD Bhi Hota Hai!

Sawal:
MATAN Kise Kehte Hai?
Jawab:
QAULA RASOOLULLAHI sallallahualahiwasallama MANN YAQUL ALAIYA MAA LAM
AQUL FALYATBAWWU MAKADAHU MINANNAARI!
RASOOLULLAH sallallahualaihiwasa llam ne farmaya jisne humari taraf se wo baat kaha jo
humne nahi kaha tha yani mujhpar jhut bandha to wo apna thikana jahannam me dhunndle!
[SAHIH BUKHARI KITABUL ILM]
is ARABI ibarat yani alfaz ko MATAN kaha jata hai,
Jo Rasoolullah sallallahualahiwasallam Ne Farmaya Is Arabi Ibarat Ko MATAN Kaha Jata Hai
Aur MATAN Ki Jama MUTOON Hota Hai!

You might also like