You are on page 1of 1

Mera Desh Ro Raha Hai Lyrics [Amitabh, Prasoon, SEL]

bollymeaning.com /2013/08/mera-desh-ro-raha-hai-lyrics-amitabh.html
This poem was written by Prasoon Joshi for the Uttarakhand support program run on TV by Star group. Here he talks about our 'moving on' attitude, and asks whether we're actually giving enough strength to the downtrodden or just saying move on to avoid them. The poem was recited by Amitabh Bachchan and simultaneously sung in parts by Shankar Mahadevan with Ehsaan and Loy. For the translation of the entire poem, you can check THIS POST. Dekho z araa theher ke mera desh ro rahaa hai Ghayal hai man kaa konaa mera desh ro raha hai mera desh.. mera desh.. Parvat sa oonchaa maatha par chot ke nishaan hain nadiyon ke geet chup hain, khaamosh har z ubaan hai har aankh poochhti hai kya mera rona dekha har chehra poochhta hai kya mera kona dekha z ara badh ke haath thaamo Vishwas kho raha hai dekho z ara theher ke, mera desh ro raha hai.. har dil yoon chhalakta hai nainitaal ho gaya dekho to kitna z akhm garhwal ho gaya hai mere desh ka ek hissa, bade dard mein hai yaaron, hamein fikr hai to aisa, kyun haal ho gaya hai Kyun koi yoon akele palkein bhigo raha hai dekho z ara theher ke, mera desh ro raha hai.. bada naaz is pe humko rukte kabhi nahi hum, vipada badi ho kitni, jhukte kabhi nahin hum, hum mein hai shakti ya phir parwaah hi nahi hai khud mein magan hain itne, thamte kabhi nahi hum.. jaz ba ye z indagi ka sawaal ho raha hai dekho z ara theher ke mera desh ro raha hai.. mera desh mera desh mera desh.. santaan soorya ki hum, deepak to naam ke hain jal padein jo sang sang phir kitne kaam ke hain.. taandav na raat ka ho hum jyoti rath hain laaye ab roshni hogi, hum le shapath hain aaye jo dard desh ko hai hum sab ko ho raha hai dekho z ara theher ke mera desh ro raha hai mera desh ro raha hai

You might also like