You are on page 1of 3

Q: Deen kahan say ata hay logon k paas?

ANS: Logon k paas deen ata hay un k baap


dada or un k mahol say.
Q. kia baap dada ko follow karma positive
attitude hay?
Ans: agar baap dada ko follow karma
positive attitude hota to dunia ka tamam
mazahib sahee qarar deay jatay.is k
wrong honay ka sab say pehla sabot yeh
hay k har koi khud ko sahee mazhab par
kehta hay or yeh sab jantay hain ka saray
mazhab or firqay sahee nahee hosaktay.
Jo muslims hain un k lea quran ki daleel
kafee hay k jab b logon ko islaam ki
dawat deegai to unhoon nay agay say
yehi kaha ka hum apnay baap dada ki
pairwi karaingay or Allah nay is jwab ko
kabee accept nahee kia.
Q.3 Agar baap dada sahee rastay par hon to
Kia phir b un ki pairwi juram hogi?
Ans:Kaisy maloom k baap dada sahee rastay
par hain.

Agar kisi k chehray par likha hota k


wo Allah ki nazar main sahee aadmi ya
momin hay to zaror us ki pairwi ke jatee.
Lekin aisa nahee hay.
Agar har koi apni nigah say dekhay
ga to usay apnay baap dada theek he
nazar ayengay jaisa k tamam dunia ko
deen k mamlay main apnay parents
sahee nazar atay hain.

3. Bohat kam log hotay hain jo yeh


samjhtay hain ka hamaray baap dada b
ghalat hosaktay hain jis trah Ibraheem
pbuh nay nabowwat say pehlay hee yeh
ahsas karlia tha k mera baap jis mazhab
par hay us main mistakes hain.isee trah
jitney peghambar Allah nay chunay wo
nabowat milnay say pehlay say yeh
shaoor rakhtay thay k un k baap dada
ghalat hosaktay hain.

Q.agar peghambar ki olad nay apnay baap


ki pairwi kee to kia wo baap dada ki
pairwee nahee kehlay gee?
Ans: peghambar ki olad nay be sab say
pehlay yehi manna hota hay k un ka walid
peghambar hain or yeh manna aisa hee
tha jaisay koi dosray log jo eman laey
thay.Lehaza peghambar mannay k baad
baap dada ki pairwi wali baat khatam
hogai.ab wo unahain is trah nahee maan
rahay jis trah koi baap dada ko manta hay.

You might also like