You are on page 1of 1

12 April, 2020

Mene hmesha suna h k is zindagi ka qayam ikhtalaf e AAaMAL p he. Ye shad adhi baat thi or puri baat
mere senses me acanak ai or me SubhanAllah krte hoi uthi or socha k Eham baat h. Sanad kr lyni chayie

Likhne wale ye to likhte hen k dunyan Ikhtalaf e amal p he asan alfaz me likhen to un equality p base prti
h. dkha jaye to aesa e he. Kisi k pass paisa h to kisi k pass dimad, kuch zameen p huqmarani krte hen to
kuch ko Allah pak ne taro p qumande dalne k liye paida kia, Kuch ilm wale hen or amal wale, kuch maaf
krne ki estataat se mustafeed hen or kuch maafi k talabgar, kuch lyne wale hath hen or kuch dyne wale.
Garz k koi b Qamil nae. Hr koi aesi cheez ki talash me h jo is k pass nae. Me is sb ko #Barabri k maano me
lyti hen. Or kisi k pass b Allah ki rehmaton ka sb kuch nae hen or wo uski talash me hen to Ikhtalaf e
Amal q kahen isko bhala? Han hr kisi ki talash alag he or agr is mano me dekha jaye to bilkul kaha ja skta
h k is dunya ki bunyad e ikhtalaf e amal p he.

Kuch mazeed gor krne p m is conclusion p ponchi k agr insan wo cheez, jo us k pass wafer miqdaar me
he, usko baqi makhlooq se bantna shuru kr de to thora sa unbalance a jata h. Jesa k mera mushaida h k
hr kisi k pass mukhtalif nimatain hen pr in sb ka majmooa kia jaye to hr insan k pass in nimato ki tadad
same hogi. Shad mere smjhane ka tariqa thora mukhtalif he or baat smj me nae a rae lekn mera
mushaida is Qool Qainat ki nachor he.

Han to me khe rae thi agr koi Allah ki ata krda nimato me se jo cheez wafer ho usko dusri makhlooq k
sath bante to nimato me tawazan barqarar nae rehta to us tawazan ko barqarar rkhne k liye Allah usko
mazeed nimato se nawazte hen. Or ain mumkin h k is bar aata me wo tohfa ho jo phle apki jholi me na
tha. Or is trah bht asan tariqa he na ye to hr cheez ko paa lyne ka. Jis cheez ki maqdaar zada h jo apko
zrorart e nae usko zakhira krne ka kiafaida? Usko agy de do or jo nae h wo Allah se mang lo

Cemistry k meanings me btao to hr reaction ka equilibrium point hota h. Us point p hm reaction ki yield
calculate krte hen. Hr Target molecule k sath By-products bante hen, lekn Target molecule ya by-
products ki amount ka equilibrium point p koi asar nae hota. Lekn reactin ki yield sirf target molecule p
depend krti he. To agr hm by-products (jo k Allah ki wo nimatein hen jo zada miqdar me hen) usko
reduce kr lein kisi trah (distribute kr den) to equilibrium point un balance ho jata h. Or target molecule ki
mqdar barh jati h. or isi trah yield b barh jati h.

Mere khyal se sirf ye e ik tariqa h k is baat ko support kia jaye k ye dunya ikhtalaf e Amal p base krti h.
Kuch k pass shad zada nimatein hen or iski waja k shad unko ne wafr saman tarseel kr di.

Kia khoob likha h Dunya ki bunyad Ikhtalaf e Amal p h.

You might also like