You are on page 1of 1

Bhatakti hai hawas din raat Soney ki dukaano me

Ghareebi kaan chidwati ha tinka daal deti hai

Safar-e-Shaam likha aur qalam torr diya


Gham-e-Sarkar likha aur qalam torr diya
Ek unwaan liya piyas ka likhnay kay liye
Likh liya naam-e-SAKINA aur qalam torr diya
Ek unwaan mila mujh ko jawani per likhoon
Naam AKBAR ka likha aur qalam torr diya
Socha unwaan-e-wafa per bhi zara ghor karoon
Lafz ABBAS likha aur qalam torr diya
Kiya karoon soch mein unwaan baray aatay hain
Hath seenay per rakha aur qalam torr diya
Likhta Chadar per magar mujh ko jurrat na hui
Jee bhar kay aansu bahaye aur qalam torr diya

Safar to Maine Kiya Tha


Warna Saaz-O-Saman Uske They,
Main to Bas Raazdaar Tha Uska
warna Sare Raaz tu Uske They,
Wo Dariya Me Pyasa Bhaitha Tha
Jabke Samandar Tamam Uske They,
Woh Dhoop Me Bhaitha Hai Chaaw Dene Ko
Jabke Darakt Sare Sayadaar Uske They.
Or Yun to Bazahir Logo Me Maine Rizq Banta Tha,
Lekin Dar Parda Sare Hath Uske They,
Aur Maine Kamaal Bulandi Pe Jaker Socha umer,
Ke Ye To Sare Kamaal Uske They..

You might also like