You are on page 1of 3

Main Udaas Hu Mujhko Udas RehneDe Abhi Thoda Aur Waqt Mujhe Apne Paas Rehne De Na Bujh Sakegi

Ye Shabnam Ke Katro Se Mere Labon Pe Tu Sehra Si Pyas Rehne De Door Ja Kar Bhi Aapse Door Ja Nahi Sakte Kitna Roye Kisi Ko Bata Nahi Sakte Gam Ye Nahi Ki Aap Mil Nahi Sakte Ab Gham To Ye Hai Ke Hum Aapko Bhula Nahi Sakte Tujhe Bhool Kar Bhi Na Bhool Payenge Hum Bas Yahi Ek Wada Nibha Payenge Hum Mita Denge Khud Ko Bhi Jahan Se Lekin Tera Naam Dil Se Na Mita PayengeHum Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko Chalega Mehfil Mein Jab Zikr Hamara Koi To Tum Bhi Tanhai Dhundoge Aansu Bahane Ko Zubaan Khamosh Ankhon Mein Nami Hogi Yahi Bas Ek Dastan-E-Zindagi Hogi Bharne Ko To Har Zakham Bhar Jayega Kaise Bharegi Wo Jagah Jaha Teri Kami Hogi Sad Shayari Kaanton Si Chubhti Hai Tanhai Angaron Si Sulagti Hai Tanhai Koi Aa Kar Hum Dono Ko Hansa De Main Rota Hoon Rone Lagti Hai Tanhai Adhure Milan Ki Aas Hai Zindagi Sukh Dukh Ta Ehsas Hai Zindagi Fursat Mile Toh Khwabon Mein Aaya Karo Aapke Bina Badi Udas Hai Zindagi Dilon Mein Aarzu Ke Diye Jalte Rahenge Aankhon Se Aansu Nikalte Rahenge Aap Shama Bankar Dil Mein Roshni Karna Hum Mom Bankar Pighalte Raheng Raaste Mein Kuch Bhi Kaha Nahi Kabhi Uske Ghar Mein Gaya Nahi Main JanamJanam Se Usi Ka Hoon Use Aaj Tak Ye Pata Nahi Ye Khuda Ki Den Ajeeb Hai Ki Usi Ka Naam Naseeb Hai Jise Tune Chaha Vo Mil Gaya Jise Maine Chaha Mila Nahi Isi Shaher Mein Kayi Saal Se Mere Kuch Kareebi Ajeez Hain Unhe Meri Koi Khabar Nahi Mujhe Unka Koi Pata Nahi - Bashir Badr Khuda Humko Aisi Khudai Na De Ki Apne Siva Kuch Dikhai Na De Khatawar Samjhegi Duniya Tujhe Ab Itni Jiyada Safai Na De Hason Aaj Itna Ki Is Shor Mein Sada Siskiyon Ki Sunai Na De Bhool Shayd Bahut Badi Kar Li Humne Duniya Se Dosti Kar Li Tum Mohabbat Ko Khel Kehte Ho Humne Barbaad Zindagi Kar Li Hum Nahi Jaante Chiragon Ne Kyon

Andheron Se Dosti Kar Li Dhadkane, Dafn Ho Gayi Hongi Dil Mein Deewar Kyon Khadi Kar Li - Bashir Badr Isiliye To Yahan Ab Bhi Ajnabi HoonMain Tamaam Log Farishte Hain Aadmi Hoon Main Tamaam Raat Chiragon Mein Muskurati Thi Voh Ab Nahi Hai Magar Uski RoshniHoon Main - Bashir Badr Aas Hogi Na Aasra Hoga Aane Wale Dino Mein Kya Hoga Main Tujhe Bhool Jayunga Ek Din Waqt Sab Kuch Badal Chuka Hoga Naam Humne Likha Tha Aankho Mein Aasuon Ne Mita Diya Hoga Dum Ghuta Ja Raha Hai Seene Mein Koi Bujhta Hua Diya Hoga - Bashir Bashir Jo Mila Khud Ko Dhundhta Hi Mila Har Jagah Koi Dusra Hi Mila Gham Nahi Sota Aadmi Ki Tarah Neend Mein Bhi Ye Jaagta Hi Mila Khud Se Hi Mil Ke Laut Aaye Hum Humko Har Taraf Aanina Mila Har Thakan Ka Fareb Hai Manzil Chalne Walon Ko Rasta Hi Mila - Nida Fazli Raahon Mein Kaun Aa Gaya Kuch Pata Nahi Usko Talash Karte Rahe Jo Mila Nahi Be-aas Khidkiya Hain Sitare Udas Hain Aankho Mein Aaj Neend Ka Koson Pata Nahi Main Chup Raha To Aur Galatfehmiyan Badhi Voh Bhi Suna Hai Usne Jo Maine Kaha Nahi - Bashir Badr Dua Karo Ki Ye Paudha Sada Hara Hi Lage Udasiyon Mein Bhi Chehra Khila-Khila Hi Lage Ajeeb Shakhs Hai Naraz Ho Ke Hansta Hai Main Chahta Hoon Khafa Ho To Voh Khafa Hi Lage Nahi Hai Mere Muqaddar Mein Roshani Na Sahi Ye Khidki Kholo Zara Subah Ki Hawa Hi Lage - Bashir Bad Zindagi To Mujhe Pehchan Na Pai Lekin Log Kehte Hain Ki Main Tera Numainda Hoon Phool Si Kabr Se Aksar Ye Sada Aati Hai Koi Kehta Hai Bcha Lo, Main Abhi Zinda Hoon Vakai Is Tarah Maine Kabhi Socha Hi Nahi Kaun Hai Apna Yahan Kiske Liye Zinda Hoon - Bashir Badr Ye Kasak Dil Ki Dil Mein Chubhi RehGayi Zindagi Mein Tumhari Kami Reh Gayi Ek Main, Ek Tum, Ek Deewar Thi Zindagi Aadhi-Aadhi Banti Reh Gayi Raat Mein Bhige Patton Ki Tarah Meri Palko Pe Thodi Nami Reh Gayi Main Roka Nahi Vo Chala Bhi Gaya Bebasi Door Tak Dekhti Reh Gayi Mere Ghar Ki Taraf Dhoop Ki Peeth Thi Aate-Aate Idhar Chandni Reh Gayi - Bashir Badr Main Udas Rasta Hoon Sham Ka, Teri Aahton Ki Talash Hai Ye Sitare Sab Hain Bujhe-Bujhe, Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai Vo Jo Ek Dariya Tha Aag Ka, SabhiRaston Se Gujar Gaya Tumhe Kab Se Ret Ke Shaher Mein, Nai Barishon Ki

Talash Hai Naye Mausamo Ki Udan Ko, Abhi Iski Koi Khabar Nahi Tere Aasmaan Ke Jaal Ko, Naye Panchhiyon Ki Talash Hai Mere Doston Ne Sikha Diya, MujheApni Jaan Se Khelna Meri Zindagi Tujhe Kya Khabar, Mujhe Katilon Ki Talash Hai TeriMeri Ek Hai Manzilein, Vo Hi Justju Vo Hi Aarzoo Tujhe Doston Ki Talash Hai, Mujhe Dushmano Ki Talash Hai - Bashir Badr Phool Sa Kuch Kalaam Aur Sahi Ek Ghazal Uske Naam Aur Sahi Uski Zulfein Bahut Ghaneri Hain Ek Shab Ka Kyam Aur Sahi Zindagi Ke Udas Kissey Hain Ek Ladki Ka Naam Aur Sahi Kursiyon Ko Sunaiye Ghazalein Katal Ki Ek Sham Aur Sahi Kampkpati Hai Raat Seene Mein Zeher Ka Ek Jaam Aur Sahi - Bashir Badr
Voh Nahi Hai To Uski Yaad Rahe Ek Jaye To Ek Paas Rahe Aaj Hum Sab Ke Sath Khoob Hanse Aur Fir Akele Der Tak Udas Rahe - Bashir Badr

Aaya Hi Nahi Humko Aahista Gujar Jana Sheeshe Ka Muqaddar Hai Takra Ke Bikhar Jana Har Mod Pe Do Aankhein Humse Yahi Kehti Hain Jis Tarah Bhi Mumkin Ho Tum LautKe Ghar Jana Ye Chand Sitare Tum Auron Ke Liye Rakh Lo Humko Yahin Jeena Hai Humko Yahin Mar Jana Jab Toot Gaya Rishta Sarsabz Pahadon Se Fir Tez Hawa Jaane Humko Kidhar Hai Jana - Bashir Badr

Koi Na Jaan Ska Voh Kahan Se Aaya Tha Aur Usne Dhoop Se Badal Ko Kyon Milaya Tha Voh Ab Wahan Hai Jahan Raste Nahi Jaate Main Jiske Sath Yahan Pichhle SaalAaya Tha Suna Hai Uspe Chehkane Lage Parinde Bhi Voh Ek Podha Jo Humne Kabhi Lagaya Tha Chirag Doob Gaye Kampkpaye Hothon Per Kisi Ka Hath Humare Labon Tak Aaya Tha Badan Ko Chhor Ke Jana Hai Aasmaan Kit Taraf Samandero Ne Hume Ye Sabak Padhaya Tha Tamaam Umar Mere Dum Usi Dhuyein Mein Ghuta Voh Ik Chirag Tha Maine Jise Bujhaya Tha - Bashri Badr

You might also like