You are on page 1of 2

Salam-e-Akhir

Ghareeb detey hain pursa tumhare pyaroun ka

Salam un pah jinhe sharm khaye jaati hae


Khule saroun pah aseeri ki qaak aati hae

Salam us pah joh zehmat kashe salasil hae


Museebatoun mein imaamat ki pehli manzil hae

Salam bhejtey hain apni shahzadi par


Ke jisko soump gaye marte waqt ghar Sarwar

Musafirat ne jise bebasi yeh dikhlaayi


Nisaar kar diye bachhe na bach saka bhayi

Aseer hoke jise shaamiyoun ke narghe mein


Hussainiyat hae sikhana Ali ke lehje mein

Sakina bibi tumhare ghulam haazir hain


Bujhe joh pyaas toh ashkoun ke jaam haazir hain

Pahaad raat badi der hae saverey mein


Kahan ho shaame ghareeban ke ghup andheray mein

Zameene garm yateemi ki saqtiyaan bibi


Woh seena jis pah ke so-ti thi ab kahan bibi

Yeh sin yeh hashr yeh sadmay naye naye bibi


Kahan pa baithi ho qaime toh jal gaye bibi
Janab maadarey besheer ko bhi sab ka salaam
Ajeeb waqt hae kya dein tassaliyoun ka payaam

Abhi kaleje mein ek aag si lagi hogi


Abhi toh goadh ki garmi na kam huvi hogi

Na is tarah koi kheti hari bhari ujdey


Tumhari maang bhi ujdi hae goadh bhi ujdi

Nahin andheray mein kuch soojhta kahaan dhoondein


Tumhara chand kahan chup gaya kahan dhoondein

Nahin layeenoun mein insaan koyi Quda hafiz


Darinde aur yeh bewaarisi Quda hafiz

Salam turn pah shaheedon ke bekafan laasho


Salam turn pah rasool-o-Batool ke pyaaro

Bachein toh aglay baras hum hain aur yeh gham phir hae
Jo chal basein toh yeh apna salaame aaqir hae

You might also like