You are on page 1of 6

Udaasi Aur Depression ka ilaj Kaise Kare Treatment in

Hindi
kyakyukaise.com /depression-ka-ilaj-aur-upay-home-treatment-in-hindi/
Govind

Depression ka ilaj Hindi Mein


Depression ko hindi mein awsaad kehte hai jo ek mansik bimari hai, ye kisi bhi umar ke vyakti aur mahila ko ho
sakti hai. Kuch physicians ka kehna hai ki dimag mein maujood chemicals mein gadbadi ke karan depression hota
hai. Depression hone par vyakti lambe samay tak udaas, dukhi aur tanav mein rehta hai, jis wajah se life mein uski
dilchaspi kam hone lagti hai aur mind mein negative feelings aa jati hai aur kisi bhi kaam ke ache result ke chances
vyakti ko na ke brabar lagte hai. Is article mein hum janenge depression ka ilaj karne ke upay kya hai,
Depression Treatment in Hindi.
Depression se bahar aane mein har insaan ko kuch samay jarur lagta hai. Anti-depression medicine se is bimari par
kabu paya ja sakta hai par abhi tak aisa koi test nahi hai jisse brain mein maujood chemicals ke level ka pata kiya ja
sake.
Jane Swasth aur Sehatmand Rahne ka Raaz

Pursho ke comparison mein mahilaye depression se jada parbhavit hoti hai. Depression ki wajah se
personal aur professional realtions par bura asar padta hai aur iske ilava is bimari se hamare mood,
lifestyle aur sochne samajhne ki shakti par bhi bura parbhav padta hai. Agar bina kisi upchar ke is
bimari ko aise hi chod diya jaye to ye aapki life ko mushkil mein daal sakti hai.

Depression Aur Udaasi Mein Kya Farak Kai


Depression aur udaasi ke difference ko smajhna bahut
jaruri hai kyuki hum sabhi kabhi na kabhi udaasi ka
samna karte hai. Kabhi kabar udaas hona normal hai
par problem tab hoti hai jab aap is udaasi mein hi dube
rahe. Lagatar dukh aur udaasi mein dube rehna hi
depression hai. Depression se bachne aur is situation
se bahar nikalne ke liye iske bare mein jada samjhne ki
jarurat hai.
Udaasi: Kisi buri ghatna aur situation ke karan
man udaas aur dukhi hota hai. Ek bar jagah
badalne par ya fir thoda samay beet jane par ye udaasi door ho jati hai.
Depression: Depression mein aap kisi ek wajah se udaas nahi hote balki har cheej ko lekar udaasi mehsoos
karne lagte hai. Vyakti har samay bina kisi karan ke bhi kisi ghum mein duba rehta hai.

1/6

Clinical Depression Kya Hai


Har samay udaas aur tanav mein rehna.
Kisi na kisi wajah se mood kharab rehna.
Manpasand kaam ko karne mein laachar mehsoos karna aur apni life ko bojh smjhna.
Neend na aana, neend jaldi khul jana ya fir jarurat se jada neend aana.
Bhukh kam lagne se lagatar weight kam hona ya fir jada khane se weight badhna.

Depression Kyu Hota Hai Causes


Depression ka sabse bada karan chinta aur tanav hai, jiske liye jadatar haalaat jimedar hote hai. Depression
sharirik pareshaniyo se bhi juda ho sakta hai, jese physical trauma ya fir harmons mein hone wale changes. Aur bhi
kuch karan ho sakte hai.
Kisi apne se door hona.
Kisi compition mein haar jana.
Naukri choot jana ya paiso ka nuksan hona.
Mehnat ke baad bhi umeed jitna result na milna.
Retirement ke baad khud ko bekar smjhna.
Karz badh jana aur use chukane ka koi tarika na hona.
Passive aggression ki wajah se bhi vyakti depression me aa jata hai. Aggression 2 parkar ka hota hai active aur
passive. Active aggression mein vyakti aapna gussa ladayi jhagda karke nikalata hai par passive mein vyakti kisi
wajah se apna reaction nahi de pata aur vo depression mein aa jata hai.
Jane Gussa Kaise Kam Kare

Depression ke Lakshan Symptoms


Kisi bimari ke agar lakshan malum ho to uska treatment aur bachne ke upay karna aasan ho jata hai. Depression ke
lakshan har vyakti mein alag hote hai. Iske ilava kuch log life mein 1 bar depression ko experience karte hai aur
kuch logo mein iske symptoms lambe samay tak dikhte hai. Is bimari ke kuch common lakshan niche likhe hai.
Jivan se nirash hona aur khalipan mehsoos karna.
Bhukh kam ya jada lagna.
Neend na le pana.
Hamesha thaka hua mehsoos karna.
Koi decision na le pana.
Concentration kam hona.
Bechani aur chidchidapan .
Life bekar lagna aur khud ko bebas mehsoos karna.
Dusro se duriya banana.

2/6

Sucide karne ke bare mein sochna.


Marne ki koshish karna.

Depression Mein Kya Kare


Jab depression ke lakshan lambe samay tak dikhe tab vyakti ko akela nahi rehna chahiye. Depression ka ilaj
ho sakta hai. Is bimari mein rogi ka sharirik se jada mansik roop se swasth hona jaruri hota hai isliye akele na
rahe.
Is bimari mein vyakti khud ko sab se alag kar leta hai, aise mein bahar nikalne ki sochna mushkil kaam hai.
Aap baaha nikale aur kuch naye purane dosto se mile. Apne dosto ke sath group banaye aur rojana morning,
evening walk ko jaye.
Physically aur mentally healthy rehne ke liye achi neend lena bahut important hai. Agar aapko neend aane
mein pareshani hoti hai to aap iske liye doctor se baat kare ya fir kuch gharelu upay kare jisse aapko achi aur
gehri neend aaye.
Kisi bhi parkar ke drugs ka isteemaal na kare. Cigrate, sharab aur drugs depression ko badhava dete hai.
Agar aap kisi nashe ke aadi ho gye hai to ise chodne ke liye dusro ki madad le aur kisi nasha mukti kendar
mein ilaaj karwaye.
Jane Neend Aaane ke Gharelu Upay

Depression ka ilaj aur Upay Tips to Get Rid of Depression


Depression kabhi apne aap khatam nahi hota. Agar aap depression mein hai to isse ubarne ke liye kuch na kuch
karna hoga. Is samasya se chutkara pane ke liye doctor ki salah lene ke sath sath aap kuch gharelu nuskhe aur
activities bhi apna sakte hai.

1. Daily exercises
Depression mein rehne wala vyakti jada physical activity nahi kar pata, tanav aur bechani se bachne ke liye
physical activity karna jaruri hai.
15 se 20 minute tak tej chalna, dance karna, jogging aur cycling karna.
Agar akele exercise nahi kar sake to kisi family member ya friend ko bhi apne sath exercise karne ke liye
kahiye. Regular exercises karne par aap jald hi apne mood mein badlav mehsoos karenge.
Exercises mein aap aerobic exercise, Baba Rambev yoga aur meditation bhi shamil kar sakte hai. Meditation
aur yoga se man shant hoga aur body ki negative energy bahar niikal jayegi.

2. Khane Peene ka Khayal Rakhe


Kai baar tension ki wajah se kuch bhi khane ka man nhi karta aur kai bar jada khane ka man karta hai.
Agar depression ki wajah se aapki bhukh aur digestion par asar pada hai to aapko poshtik aahar lena
chahiye, jisse aapki energy aur mood mein positive badlav dikhenge.
Agar bhukh na bhi ho tab bhi kuch halka fulka khane ki koshish kare. Isse aapko pure din kaam karne ki takat

3/6

milegi. Jane bhukh badhane ke upay.

3. Apni Problems Share Kare


Aap un halat ko pehchanane ki koshish kare jiski wajah se aap depression mein aa gye hai, aur jab aap ki
apni pareshaniyo ki wajah samajh aa jaye tab apne ghar ke kisi member se ya fir apne best friend se apni
pareshaniya share kare.
Kai bar ye accept karna mushkil hota hai ki hum depression ka shikar hai, iske ilava kisi aur ko iske bare
mein batana aur bhi mushkil ho jata hai. Aap ko is bimari se ladne ke liye kisi support ki jarurat padegi. Kisi se
baat karke aapka man bhi halka hoga aur aapko help bhi milegi.
Apni feelings aur problems ko kisi se discuss karne ke baad uska positive solution nikalne ka paryas kare.
Aap iske liye kisi ki madad bhi le sakte hai.

4. Apne Pasand ke Kaam Kare


Depression ki wajah se insaan hassna aur mauj masti karna bhul hi jata hai. Is halat se bahar nikalne ke liye
aap apne shauk aur pasand ke kaam kare, jese music sunana, dancing, game khelna, ghumna firna, movie
dekhna.

5. Doctor se Consult Kare


Depression ka ilaj agar sahi samay par na kiya jaye to ye dusri mansik aur sharirik bimariyo ka karan bhi ban sakta
hai.
Aap sabse pahle apni jaan pehchan ke doctor se mile aur aap kesa feel karte hai aur kya sochte hai sab
doctor ko bataye.
Ye bhi ho sakta hai ki doctor depression hone se mana kare, isliye jarurat padne par kisi mano
vaigyanik (Psychiatrist) se bhi mile aur unki salah le.
Doctor se milne jate samay kisi ko sath le jaye jo aapki baate doctor ko baate batane mein aur doctor ki bate
aapko smjhane mein mada kar sakta hai.
Psychotherapist se milne ke ilava aap weight, blood pressure, thyroid ke test bhi karwaye.
Jane Yaddasht Badhane ke Aasan Upay

Apne aapko ek baat hamesha bole I am Stronger than Depression.

Depression se Bahar Nikalne ke Upay


Aagar aapko aesa mehsoos hone laga hai ki aapki duniya khatam ho gyi hai to aap akele aese nahi hai. Hamari
socitey mein 5 se 10% log isse parbhavit hai. Agar depression ko jaldi pehchanana hai ya fir isse bachna hai to iske
bare mein jankari hona jaruri hai.

4/6

1. Medicine Sahi Tarike Se Le


Agar aapke doctor ne depression se bahar niklne ke liye medicine di hai to use sahi samay par aur sahi
maatra mein le.
Pregnanat women doctor ko apni pregnancy ke bare mein batana na bhule, kyuki kuch antidepression
dawaye bache ki sehat par bura asar daal sakti hai.
Jadatar log thoda result milne par hi dawa lena band kar dete hai lekin ye galat hai. Depression ka treatment
7 se 9 mahine tak chalta hai jise pura karna jaruri hai, nahi to dubara depression hone ki aashanka rehti hai.

2. Remind Good memories


Depression ka sab se bura asar aapki soch par padta hai, kuch bhi acha nahi lagta aur aap hopeless hone
lagte ho. Aesi situation mein aapko hamesha yaad rakhna chahiye ki life mein acha aur bura samay aata jata
rehta hai aur jindagi mein kai bar haalaat negative mod le lete hai, lekin isse jindagi khatam nahi ho jati.
Aise waqt mein aapki mitthi yaaden aapka sahara ban sakti hai. Apni strength aur quality ko pehchano aur
apne aapko fir se ek nayi shuruat karne ke liye tyaar karo.

Depression ke liye Counselling aur Treatment


Depression ke treatment ke liye medicine aur counselling dono ki madad li jati hai. Talk therapy, counseling aur
psycho social therapy depression ke upchar mein kafi helpful hoti hai. Ye therapy depression ke symptoms mein
rahat dene ke sath aapki life ko sahi direction mein lane mein madad karti hai, aur future mein kisi bhi parkar ke
stress ko face karne ke liye behtar tarike se tyaar karti hai.
Shuruaat mein jo dawa di jati hai uska asar 3 se 4 hafte mein pata chalne lagta hai. Agar medicine ka asar
nahi ho rha to doctors anti-depression medicine ka paryog karte hai.
Logo ko ye bhi dar hota hai ki anti depression medicines ke side effect hote hai jese neend jada aana. Par
aajkal jo dawaye doctor dete hai vo dimag ka santulan banana mein madad karti hai aur unke nuksan nahi
hote.
Depression ka ilaj karne ke liye koi bhi medicine doctor ki salah ke bina na le, kyuki kuch dawaye aesi bhi ho
sakti hai jo nashili ho aur aap ko unki aadat lag jaye.

Depression Koi Pagalpan Nahi Hai


Aaj bhi log is bimari ko pagalpan ka naam dete hai. Par ye sach nahi hai, depression ek mansik bimari jarur
hai par ise pagalpan kehna bilkul galat hai.

Family Support
Family mein agar kisi ko ye bimari hai to use pura support de aur use patient kabhi na samjhe.
Aesi baate na kare jisse use taklif hoti ho.

5/6

Vyakti ko uski strength aur achievements ka ehsaas karaye.

Homeopathic Remedies for Depression in Hindi


Homeopathy se bhi depression aur tanav door karne ke upay ho sakte hai. Is bimari mein homeopathic doctor case
study kar ke usi hisab se dawa deta hai. Depression mein di jane wali kuch common medicine yaha likhi hai.
Ignatia
Nux-V198omica
Pulsatila
Arsenicum-Album
Koi bhi dawa shuru karne se pahle doctor ki salah jarur le nahi to nuksan bhi ho sakta hai.

Ayurvedic Home Remedies for Depression


Ayurvedic aushadhi se bhi depression, tanav aur udaasi ko door kiya ja sakta hai. Iske liya aap kisi ayurveda
vaid ki salah le.
Iske ilava prayers, meditation aur mantro ka ucharan bhi negative harmons ko khatam karne mein upyogi hai.

Jo log depression ke shikar hote hai vo dukhi aur nirash hote hai aur jaldi apne jivan se haar maan
lete hai. Extreme dipression mein kuch log aatamhatya karne ki koshish tak karte hai. Aagar aap is
bimari ka shikar hai to jab bhi man mein aatam hatya ka vichar aaye to turant kisi ko bulaye aur
doctor se contact kare.

Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe


Rajiv Dixit ke Ayurvedic Nuskhe
Dosto Depression ka ilaj aur Upay, Depression Treatment in Hindi ka ye lekh aap ko kaisa laga hame comment
karke bataye aur agar aap ke pass tanav, udaasi aur depression se bachne ke upay ya koi anubhav hai to
hamare sath bhi share kare. Aapki di hi jankari se auro ko bhi fayda mil sakta hai.

6/6

You might also like