You are on page 1of 4

Allergy ka ilaj ke Dadi Maa ke 5 Aasan Gharelu Nuskhe Hindi

Mein
kyakyukaise.com /skin-naak-gale-ki-allergy-ka-ilaj-ke-gharelu-nuskhe-upay-hindi-mein/
By Govind
Skin, Gala aur Saans ki Allergy ka ilaj Kaise Kare: Khan paan mein milawat aur pollution ki wajah se allergy jesi
bimariya badhti ja rahi hai, aksar swasth aur sehatmand dikhane wale vyakti bhi isse bach nahi paate. Aajkal
pardushan ke karan hawa mein kai parkar ke vishale kan maujod hote hai jo hamare saans lete samay saans ki nali
se fefado tak pahunch jate hai. Hawa mein maujood ye barik kan kai parkar ki bimariyo, infection aur allergy jesi
pareshaniyo ko janam dete hai jese naak, gale aur fefdo mein sujan. Asthma ki bimari ka parmukh karan bhi yahi
hai. Allergy se charm rog jesi bimariya hone ka khatra bhi hota hai jisme skin par tej kharish hoti hai aur tavacha laal
ho jati hai. Kuch gharelu nuskhe apna kar hum allergy ke upay kar sakte hai. Is lekh mein hum janenge allergy ka
upchar ke dadi maa ke nuskhe, allergy treatment natural tips in hindi.
Is problem ke lakshano mein sardi jukam, bukhar, naak mein sujan hona parmukh hai. Sardiyo ke mausam mein
naak ka behna bhi allergy ki wajah se hota hai.
Jane Asthma ka ilaj ke Gharelu Nuskhe

Agar aaapko ye samasya bar bar hoti hai to iske karan janna bahut jaruri hai, isliye sabse pahle ye
pta kare ki aapko kin kin cheejo se allergy hoti hai, iske liye aapko apni daily routine activity aur apne
khan paan ko bahut dhyan se dekhna hoga. Aaj kal kuch test karwa ke bhi iske karno ka pta kar
sakte hai, iske liye kisi doctor se mile aur salah le.

Allergy Hone ke Karan : Causes


Allergy kai parkar ki hone ke sath sath iske kai
karan hote hai.
Air pollution
Dhool mitti
Mausam mein badlav
Janwaro ke samparak mein aana
Fal, aanaj aur lakdi ki dhool
Kisi madhumakhi ke katne se skin par
sujan aana.
Kuch medicines ki wajah se bhi allergy ho jati hai, jese khali pet pain killer ya antibiotic dawao ke sevan se bhi
allergy ke symptoms dikhne lagte hai.

1/4

Allergy ke Lakshan : Symptoms

1. Naak ki Allergy
Naak ka tej behna ya band hona, naak mein khujli hona, chinke aana ya bar bar jukam lagna.

2. Skin ki Allergy
Baraish ke mausam mein skin ki allergy hone ki sambhavna badh jati hai, tavacha ki allergy hone par khujli hona,
daane nikalna aur pit hona kuch aam symptoms hai.

3. Aankh mein Allergy


Aankh mein jalan hona, paani aana, aankh mein laali aana ya khujli hona.

4. Saans ki Allergy
Khansi aana, saans lene mein taklif hona aur dama hona.

5. Khane Pine se Allergy


Bahut se log aese bhi hai jinhe khane pine se allergy ho jati hai. Humne kuch bache aur bade aese bhi dekhe hai
jinhe aanaj se allergy hoti hai aur vo genhu ke aate ki roti nahi kha sakte. Isi parkar kuch aur khane ki cheje bhi hai
jin se allergy ho sakti hai jese anda, doodh, machli.

Kabhi kabhi allergy ki wajah se pareshani kaafi badh jati hai, aese mein turant hospital jaye aur
doctor se checkup karwaye.

Allopathy se Allergy ka Treatment


Allopathic medicines allergy ke lakshano ko kam jarur karti hai par ye bimari ko jad se khatam nahi karti, aur agar
gharelu aur ayurveda ke nuskhe sahi tarike se kare to ye is samasya ko jad se khatam karne mein asardar hai.

Allergy ka ilaj ke Gharelu Upay


Home Remedies for Allergy Treatment in Hindi
2/4

Agar aap allergy se pareshan hai aur bar bar kisi specialist ke chakar lga ke thak gye hai to aap dadi maa ke ye
nuskhe apnaye.
1. Raat ko 1 chuhara aur 1 anjir doodh mein ubaal kar khaye.
2. Neem wali giloy ke ras ko 1 se 3 graam haridra khand churan ke sath lene se bhi fayda milta hai. Purani se
purani allergy ho ye ramban upay karne se rahat milti hai.
3. Subah uth kar gunguna nimbu paani piye, isse sharir mein vitamin C ki kami puri hoti hai jo allergy ki wajah se
hue najla jukham ko thik karta hai. Aadhe nimbu ka ras aur 1 chammach shahad garam paani mein mila kar pine se
bhi allergy se rahat milti hai.
4. Kisi bhi fal ya fir sabji ke juice mein 4 se 5 boonde castor oil daal kar subah khali pet piye, faal aur sabki ke juice
ke ilava paani ka paryog bhi kar sakte hai, is upay se naak aur skin ki allergy se chutkara milega.
5. Chukandar ka juice 100 ml, kheere ka juice 100 ml aur gajar ka juice 300 ml mila kar rojana pine se bhi aaram
milta hai.
Jane Sardi Jukam ke Desi Nuskhe

Allergy ka Ayurvedic Upchar Karne ke Tarike


Ek graam Sitopaladi powder aur 1 graam giloy ka powder din mein 2 baar khali pet kuch din lagatar sevan
karne se saans aur naak kii allergy se aaram milta hai.
Haridra khand jo haldi se bani hoti hai, is dawa ke paryog se skin ki allergy ka ilaj mein kaafi fayda milta hai.
Skin ki allergy ho to nariyal ke tel mein thoda nimbu ka ras mila kar raat ko sone se pahle lagaye aur subah
neem ke paani se dho le.
Jin logo ko bar bar naak ki allergy hoti hai unhe subah savere khali pet 1 chammach giloy ka ras aur 2
chammach aawle ka ras 1 chammach shahad mein mila kar kuch din lagatar lena chahiye.
Sardiyo mein ghar ka bana hua ya kisi achhi company ka chyawanprash khane se saans aur naak ki allergy
se door rahenge.
Kaali mirch, adarak aur 4 patte tulsi, mishari aur laung mila kar banayi hui herbal chal allergy se aaram dilati
hai.
Ayurveda ki dawaye aap ko baba ramdev patanjali ya fir kisi pansari ki shop se mil jayengi. In dawao ke paryog se
pahle kisi ayurveda vaid ki salah jarur le.
Jane Swasth aur Sehatmand Rehne ka Raj

Allergy se Bachav ke Gharelu Tips


Kehte hai kisi bhi samasya ke ilaaj se acha hai use bache rehna, allergy se bachaav hi iske upchar ka utam upay
hai. Kisi bhi parkar ki allergy se bachyne ke liye niche likhe hue upay jarur kare.
Ghar mein aur ghar ke aas pass saaf safayi ka pura dhyan rakhe, kahi bhi gandagi na jama hone de.
Ghar ko hawadar banaye taki taaji hawa andar aa sake.

3/4

Khane pine ki jin cheejo se allergy hai unka sevan na kare.


Ghar se bahar agar bike par jana ho to muh par koi saaf kapda bandhe aur aankho par chashma lagaye.
Apne sone aur odhne ke bistaro ko samay samay par garam paani se dhoye.
Agar aap ko paltu janwaro se allergy hai to unhe ghar mein na rakhe.

Jis vyakti ko allergy ho use ghar ki saaf safayi nahi karni chahiye taki dhool mitti se door reh sake aur
agar koi aur option nahi hai to safayi karte waqt chehre par mask lgaye aur dhool mitti wali jagah saaf
karne ke liye gile kapde ka paryog kare.

Yoga mein kapalbhati pranayam rojana karne se allergy se rahat milti hai. Homeopathic medicine se bhi allergy
ka ilaj ho sakta hai, iske liye aap kisi ache homeopathy doctor se mile.
Allergy ke treatment mein hamara khan paan aur rahan sahan ka aham yogdaan hai, aur ye bhi jaruri hai ki hamara
immune system sahi kaam kare taki hum allergy aur kisi parkar ke infection se bache rahe.

Dosto Allergy ka ilaj ke Gharelu Upay, Home Remedies for Allergy Treatment in Hindi ka ye artcile kaisa laga
comment kar ke bataye aur agar aap ke pass allergy ka upchar ke desi nuskhe hai too hamare sath share kare.

4/4

You might also like