You are on page 1of 4

Tuti Haddi Jodne ke Upay Bone Fracture Treatment in

Hindi
kyakyukaise.com /tuti-haddi-jodne-ke-upay-bone-fracture-treatment-in-hindi/
Govind

Haddi Jodne ke Upay Hindi Mein


Hamari body mein haddi sabse important hoti hai, agar haddiya majboot hongi to shareer bhi healthy aur fit rahega.
Par aajkal ke khan paan ki wajah se body ko jaruri nutritions nahi mil pate jike karan haddiyo mein kamjori aana
sawbhavik hai. Haddiyo mein lachilapan (flexibility) kam hone ke karan ye kai bar tut bhi jati hai. Bacho ki haddiya
najuk hone ke karan tutne aur khisakne ki aashanka jada hoti hai. Is article mein hum janenge tuti haddi jodne ke
upay, how to heal broken bone faster in hindi.
Haddi jodne ka sahi treatment to doctor hi kar sakte hai lekin aap ghar par kuch baato ka dhyan rakh kar problem ko
badhne se rok sakte hai. Iske liye sab se pahle ye janana jaruri hai ki haddi tutne par first aid kya deni chahiye.
Jane Swasth aur Sehatmand Kaise Rahe

Haddi ki Chot Kaise Pehchane


Haddi tutne ke turant baad injury hone wali jagah ke aas pass blood jama hone lagta hai, jisse wahan sujan
aa jati hai.
Agar haath ya pair ki haddi khisak (dislocate) gayi ho to waha thedapan dikhne lagta hai.
Kai baar koi bone fracture hone par body ka vo hissa latak jata hai, usme sensation kam ho jati hai aur vo
jagah nili (blue) padne lagti hai.
Haddi mein sirf darar padi ho to dard ke ilava koi aur pareshani nahi hoti. Ye situation aksar chote bacho ke
sath hoti hai aur iska pata lagane ke liye xray karwana padta hai.

Haddi Tutne ke Karan Causes of Bone Fracture

1/4

Jadatar haddiya chot lagne se tutati hai. Example ke liye girte samay jab body ka sara weight ek haddi par
aa jaye to uske tutne aur khisakne ki sambhavna jada hoti hai..
Haddi par koi bhari cheej gir jaye tab bhi fracture ho sakti hai.
Umar badhne ke sath bones kamjor ho jati hai, isliye budhape mein girne aur halke jhatke se bhi
bone fracture aur dislocation jesi problem aa jati hai.
Kuch bimariya aesi hoti hai jo haddiyo ko andar se khokhla kar deti hai, aesi kamjoor haddiya kai bar bina
wajah ke bhi tut jati hai.
Bache ke janam ke samay agar koi daayi ya nurse jada khichatani kare tab bhi navjaat bache ki haddi tut jati
hai.

Haddi Fracture Hone Par Kya Kare First Aid Treatment


1. Agar kisi wajah se bone fracture jaye to sabse pahle tuti hui haddi ko sahara de taaki vo hil na paye. Agar
haddi hilegi to pain badhega aur haddi ke tukde pahle se jada door ho jayenge.
2. Haddi ko support dene ke liye kisi sakht cheej ka paryog kare jese lakdi ya koi pipe, iske ilava akhbaar bhi
lapet sakte hai. Agar kuch na mile to sharer ke dusre ang se tuti hui haddi ko sahara de.
3. Kandhe (shoulder) ki haddi tut gayi ho to kisi patti ya kapde se sahara de sakte hai. Haath ki haddi tuttne ya
khisakne par haath ko chati ke sath bandh kar rakh sakte hai. Jaangh, ghutna aur usse niche pair ki haddi
tutne par lakdi ke patte ya fir kisi sakht takiye ka paryog kar sakte hai.
4. Agar haddi tutne par bahar dikhne lage aur isme dhool mitti lag jaye to isse infection hone ka khatra badh jata
hai.

Bone Fracture Treatment Tips in Hindi


1. Tuti hui haddiyo ko sahara dete samay is baat ka dhyan rakhe ki haddiyo ko jada kas kar na bandhe, isse
blood circulation ruk jayega jisse condition aur bhi bhyanak roop le sakti hai.
2. Agar body ke kisi ang par haddi ke upar koi jakham ho gya ho to iska ilaaj karna behad jaruri hai. Ghaav ko
ache se saaf karke uspar dawa lagaye. Jane Ghav Jaldi Bharne ke Upay.
3. Kai bar chot lagne par haddi ka tukda bahar gir jata hai, is tukde ko fainkiye mat. Isse pani se dho kar saaf
kar le aur kisi saaf kapde mein lapeet kar patient ke sath is tukde ko bhi hospital le jaye, aajkal doctor is
tukde ko wapis usi jagah laga sakte hai.

Haddi Jodne ke Liye Calcium Kaise Badhaye


Haddiyo ki growth aur iske upchar ke liye calcium sabse jarui poshak tatav hai. Kai bar body mein calcium ki kami
se bhi haddiyo ke rog aur sujan jesi bimariya hone ka khatra hota hai. Agar aapki koi haddi tut gyi hai ya fir isme koi
darar (hair line fracture) aa gyi hai to body mein calcium badhane wali cheje jada khaye.
1. Doodh aur doodh se bani cheejo mein calcium ki matra sabse adhik hoti hai, jese ki dahi aur paneer.
2. Agar aap non veg ka sevan karte hai to machliyo (fish) mein salman, icestar aur hilsa machli khaye.
3. Hari sabjiyo mein bhi calcium ki matra jada hoti hai.
4. Body mein calcium ko digest karne ke liye vitamin D ki jarurat padti hai, isliye aesa bhojan kare jisme poshak

2/4

tatv adhik matra mein ho.


5. Pregnancy ke dauran mahilao ko calcium ki jada jarurat hoti hai taki delivery ke samay haddiya majboot
rahe.

Osteoporosis Kya Hai


Osteoporosis ek aesi bimari hai jisme umar badhne ke sath sath haddiya kamjor ho kar chitaknde lagti hai. Is bimari
se bachne aur ilaj ke liye regular yoga exercises kare aur healthy food khaye taki body mein calcium ki kami na ho.

Haddi Jodne ke Upay Ayurveda Remedies Hadjod in Hindi


Hadjod ek chamatkari podha hai jo tuti hui haddiyo ko jodne aur sharer ko bimariyo se bachane mein kafi asardar
hai. Hadjod ki buti ko paani aur lep dono tarike se paryog kar sakte hai. Aaiye jane tuti haddi jodne ke liye hadjog ka
paryog kaise kare.
Sabse pahle hadjod ki butti ko sukha le ab isme udad ki daal milakar ache se pees kar ek paste bana le. Tuti hui
haddi par ye paste laga kar kisi saaf kapde se baandh de. Is paste ko 2 se 3 din mein dubara lagaye aur lagatar ek
mahine tak is upay ko kare aapki haddi jud jayegi.
Tuti haddi jodne ke ilava ye dard ka ilaj karta hai. Haddi jko jodne ke liye hadjod ke ras ko ghee ke sath lene se bhi
fayda hota hai.
Jane Spinal Cord Injury ke Bare Mein

Haddiya Majboot Karne ke Upay Tips for Strong Bone


1. Hari pattedar sabjiya khaye aur kisi bhi parkar ke supplements ka paryog na kare.
2. Lehsun aur pyaaj khaye. Inme sulfur hota hai jo haddiyo ke liye acha hai.
3. Cold drinks aur kisi bhi parkar ke preservative wale energy drink se parhej kare. Ye haddiyo ko andar se
khokhla karte hai.
4. Chay aur coffee pine ki bajay doodh piye.
5. Regular voga aur exercises kare.
6. Vitamin D lene ke liye subh kuch der suraj ki roshni mein baithe.
7. Aese sports khele jinme physicaly jada mehnat ho.

Hamne apne gaanv shahro mein aese bahut se log dekhe hai jo tuti hui haddi ko bina kisi operation
ke jodne ka dawa karte hai. Hamari salah yahi hai ki aese pehalwaano ke pass jane ki bajay apne
pass ke hospital mein jaye aur haddi jodne ka sahi treatment le.

3/4

Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe


Rajiv Dixit Ayurveda Tips in Hindi
Dosto Tuti Haddi Jodne ke Upay, Bone Fracture Treatment in Hindi ka ye article aapko kaisa laga comment karke
bataye aur agar aapke pass broken bone heal karne ka gharelu ilaj ya desi nuskhe ho to hamare sath share
kare.

4/4

You might also like