You are on page 1of 1

koi kaam humse kiya nahi jata

jindagi azaab bani jiya nahi jata


[azaab=acid]
hai absar-e-aab-e-talkh ki zaroorat hume saki
jaam koi ab piya nahi jata
[absar-e-aab-e-talkh= wine from eyes]
humse kahta hai waiz to kayi bate zaroor
dastoor-e-shajra tameel par kiya nahi jata
[waiz=man who teaches islam]
[dastoor e shajra==khandaani riwaj ya kanoon]
khamosh hai nijam par kayi samajhdaar
hotho.n ko lekin humse siya nahi jata
[nijam=system, govt.]
kuch aisa ho jisme farazi dikhe
niwala-e-haram bacho.n ko diya nahi jata
[farazi=honesty]
be-dakhal karenge humko soobedaar
fakeer ka bandobast, kiya nahi jata
upar jo baitha, wo to ek hi hai
ram raheem me farak humse, kiya nahi jata
hazaro chaadre.n mazaro pe, bhookho.n ke shehar me
rahees ko najrana diya nahi jata
mandir-masjid ke naam pe kyu ladte hain sab "amar"
khuda ko bana ke ghar diya nahi jata
"amar"
1:25
10-sep-2010
smgt class

You might also like