You are on page 1of 1

khamoshi uski, ajeeb si hai

pareshan main hi nahi, rakeeb bhi hai


sawal sab kar sakte nahi
jawab jise na mile, wo gareeb hi hai
fark usme aur khuda me hai jyada nahi
be-guftaar dono hi hain, baat ajeeb si hai
[be-guftaar=non verbal]
taabiyat ka mere, imtehan chal raha hai
milti hai jo pal pal, maut bhi haseen hi hai
[taabiyat=patience]
jinda hume rahne ki aadat si pad gayi
jindagi nahi par rangeen si hai
shokhiyo ki, husn ki, ishq ki, hikaayato pe kya kahen
unki to taseer bhi, gam-geen si hai
[hikayato=stories]
lazzat-e-azaar pe humari, be-murrawwat khamosh hai
uske insan hone ki, humne tankeeh ki hai
[lazzat-e-azaar=thrill of pain]
[tankeeh=investigate]
jayenge ab nahin masjido me hum
dikhta waha bhi wo mehzabi hi hai
kuch na chahiye jindagi se ab hume
mila hai jo, samhalta wo hi nahi hai
umr gujregi ab, bas sochte sochte
socha hi maine use, kabhi soch nahi ji hai

You might also like