You are on page 1of 2

uske hatho ka jab se sahara na raha

humari jindagi ka thikana na raha


jo the wo, hum ab na rahe
jab se wo humara na raha
shuru kiya tha jise humne khel khel me
dillagi usko ab kah pana na raha
baat sanjeeda ho gayi, kuch is kadar
hasna to door ab muskurana na raha
jiske din raat pehlu mein, maujood rahte the hum
uska ab humari taraf, kabhi ana na raha
sochenge wo mujhe mayus ho ke kabhi
haif: mera ab wo parwana na raha
[haif=alas]
nigaho se jo madmast piya karte the
ab humara wo maikhana na raha
shab e vasl ko der se ane pe
uska ab bate banana na raha
gairo pe muskura ke
dil ko jalana na raha
azaan ki awaaz jab padi kano.n me
wo sath sath, dua me hath uthana na raha
lehaja bhi sakht ho gaya hai najeeeb ka
hume apna wali ab, unka batana na raha
[najeeb= praise worthy]
[wali= master]
kabhi na aeyega jindagi me wo din
jab log kahenge main unka deewana na raha
jindagi me kisi cheez ka ab thikana na raha
saans tak aansuo.n me, theek se le pana na rha
maante khuda ko to ab bhi hain
par maangte kuch nahi
masjido me ja ja ke sir jhukana na raha
unki galiyo me rahne ki,wajah hazaro thi kabhi
ab to duniya me bhi rahne ka bahana na raha
hum unke thehre, aur wo udu ke
ab to rakeeb bhi humse begana na raha
uski baaten nagma e jan hoti thi
ab to bas, khamoshi ka bhi tarana na raha
chashm-e-yaar ke sher unko yaad ate honge
surma isliye shayad ab unka, lagana na raha
sab kuch luta diya humne ek hi bazi me

ishq ki adayagi k liye, ab koi jurmana na raha


tanhaiyo ki aadat ab aisi pad chuki
sath kisi ke hum to kya, humara janaza na raha
soorat se bayabaaniyan kuch yun tapakti hai
kisi ko muh khol ke kuch ab batana na raha
kayamat se pehale ek bar bata dena mujhe
akhir kyun tumhara humse, dil lagana na raha
"amar"
4:17 am
29-sep-2010

You might also like