You are on page 1of 1

sanam ko saamne bitha deti hai main*, par kuch kehane nhi deti

kurbat to rahti hai magar, use pehalu me rahne nahi deti


[main*=sharab]
[kurbat=najdeeki]
la deti hai tasavvur hi nahi, unko bhi wo samne
jane kyun main* ye qafas, khadi rahne nahi deti
[main*= sharab]
[qafas=body]
mar)

(a

chahto ka gham nahi, gurej kare.n kyu haseen par


dard aata jo hai kabhi, main* rahne nahi deti
[main*]
(amar)
meri kismat me kisne likh di gham e tanhayi ki taabir
main* shaam-e-aarzoo, dhali rahne nahi deti
[main*=sharab]

(asir)

apni barabdiyon ka puchne jab koi sila gaya


wo masoom nighahe ,guftaari rahne nahi deti....
[guftaar=talkative]
(asir)
mehfilo me charche hain humari dilawari ke
chasm-e-main to saalimiyat bhi rahnne nahi deti
[dilawari=braveness]
[saalimiyat=soundness,perfectness, thik-thak]
[chasm-e-main= aankho ki sharab]

jab bhi aaya shab-e-furkat giriya e nazaat


maazur kar deti hai, aabshaar rahne nahi deti***
[nazaat=freedom]
[maazur=helpless]
sir)

(amar)

(a

naala-o-fariyaad ki abaadiyo.n pe kya kahen "amar"


barbaadiyo.n ko bhi paas, rahne nahi deti
kheench layi tujhe ye kaisi tishnagi "asir"
sohbat to rind ki bhi ,khush rahne nahi deti
"asir-amar"
11-sep-2010-02:08 am
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------This Ghazal is written by "asir" sahab and "amar" both, actually we were chatti
ng on g-talk and God grace bestowed upon us in form of this rhyme.

You might also like