You are on page 1of 5

ALCOHOLISM

Aadat jisko samjhe ho -2

woh marz kabhi ban jaayega

Fir marz ki aadat pad jaayegi

Arz na kuch kar paaoge

Gar tabdeeli ki gunjaaish ne saath diya toh theek sahi

Par usne bhi ghar chod diya

Toh yaar bade pachtaaoge

Jo boond kahin botal ki thi

Toh saath bhi do pal ka tha

Par pata nahi kab do pal ka vo saath sadi mein badal gaya

Hum chup bethe sun guzarte lamhe ko na samajh sake

Woh kab bheegi un palko ki uss surkh lamho mein badal gya

Aur neend na jaane kaha gayi

Un sehmi sukdi raaton mein

Hum sannate ko cheekh aakh se bhara andhera takhte the

Fir sihar sihar kaap ke thaam kaleja haathon mein

Jisko navaa pasaana tha, woh naya sawera takhte the

Jisko tum samjhe ho mazaak


woh dard kabhi ban jaayega

phir dard ki aadat pad jaayegi

Arz na kuch kar paaonge

Gar tabdeeli ki gunjaaish ne saath diya toh theek sahi

Par usne bhi ghar chod diya

Toh yaar bade pachtaaoge

Mere pass jab bande aaya karte the

Cut phat ke hum bikhar chuke the jab tum aaye the bhai

Aur sabhi raastein guzar chuke the jab tum aaye the bhai

Woh daur na tumne dekha tha woh kisse na sun paaye the

jis daur ki aandhi kaali thi jis daur ke kale saaye the

Us daur nashein mein zehan tha us daur nashe mein ye man tha

Us daur peshaani geeli thi

Us daur paseene mein tan tha

us daur mein sapnay darr late

Us daur dopahari sannata

Us daur sabhi kuch tha bhai

Aur sach bolein kuch bhi na tha

Narm sureela naghma

Kadwi tarz kab ban jayega


Fir tarz ki aadat pad jayegi

Arz na kuch kar paaoge

Gar tabdeeli Ki gunjaish ne saath diya toh theek sahi

Par usne bhi saath chhod diya

Toh yaar badi pachhtaaoge

Us daur se pehle daur raha

jab saath zindagi rehti thi

wo daur bada purzor raha

jab bandagi saath rehti thi

Jab saath kehkahaon ka hota

jab baat lateefon ki hoti

Aur Sham mehakte khwabon ki

aur raat haseenon ki hoti

Jab kahe nazneen

bolo saajan, kaun pehar ko aaoon main

Husn kahe ki tu mera aur tera hi ho jaaon main

bas main paagal na samajh saka

Kis oar taraf ko jaaoon main

bas sham ne kheencha

Botal itrayi ki tujhko aana hai

Main maikhane ki oar chala


ye bhool ke peeche kya hota

nanha bachpan soone hichkiya

atak atak ke jag uthi

bhari jawaani kasak maar ke

Chup chup baithi rehti hai

Aur khamoshi se khale na kuch

Namm aankhon se kehti hai

Un sehmi siski raaton ko main

kabhi nahi na samajh saka

Un palloo thunsi fafak fafakti baton mein na tal saka

ye kabhi kabhar ka kaam farz kahin ban jayega

Fir farz ki aadat pad jayegi Arz na kuch kar paaoge

Gar tabdeeli Ki gunjaish ne saath diya toh theek sahi

Gar usne bhi saath chhod diya

Toh yaar bade pachhtaaoge

Wo pachtawe ke aansoo bhi main saath nahi laa paya tha

un jale pulon ki kya boloon jo jala jalaa ke aaya tha

Bole the ke dekho isko zard sard insaan hai ye

ek zindadil tabiyat mein baitha murdadil haiwaan hai ye

Main sharmshaar toh kya hota main sharm jalake aaya tha

Us surkh jam ko surkh laar mein nehla kar ke aaya tha


Main aankh ki laali saath lahoo

madhosh kahin par rehta tha

khumkhar chutkule tanz lateefe bana kar kehta tha

Ye dard ko sehne ka jhotha hamdard kab ban jayega

Hamdard ki aadat pad jayegi

Arz na kuch kar paaoge

Gar tabdeeli Ki gunjaish ne saath diya toh theek sahi

Par usne bhi saath chod diya toh yaar badi pachtaoge

You might also like