You are on page 1of 8

Kiya baiti eak bojh

hai?!

Maqsood hasni
Ka
riya kay sath

Forumpakistan.com
Par moqalma

Baiti kabhi bhi kisi door main


waldain par bojh nahain rahi.
waaldain os say piyar aur
shafqat kartay aa'ay hain.
assal masla yah tha aur hai
kah os ka aata kal
gher'mahmfooz samjha jata
raha hai. yah surat-e-hal aaj
kay door main bhi mojood hai.
shaed aatay kal main bhi
rahay. yah eak rovaeya/rujhan
hai jis kay liay kabhi kuch
nahain kaha/kiya giya. es
hawala say wase tanazar main
mutwatar aur tasalsal say
baat cheet hoti rehni chahiay.
es mozo par ahbaab say
guftagu ki estada ki jati hai.
maqsood hasni

Waisay aap ki baat to sahi hai


sirf betiyan hee kiu bete bhi
walden per bhoaj nahi hotay
oulad kaisi bhi ho wo Parents
per bhoj nahi hoti hai aur
waisay kiya aap apnay Topic
ko clear karien gay kay
samajhnay main asani ho
sakay ?
Riya
mein kehna yah chahata hoon
baitiaan piyari hoti hain haan
eak rujhan aur rovaeya zaroor
tha aur hai kah woh bojh hoti
hain. bitiaan jitni khadmat aur
piyar kirti hain baitay kab
kartay hain. mujmoein surat
to yah hai kah donoon olaad
hain aur olaad piyari hoti hai.
es ghalt rujhan ko khatanm
hona chahiay aur ahbaab ko
es mozo par jitna mumkin ho
likhna chahiay.
maqsood hasni

Yani aap kay kehnay ka matlab


hai kay Jo betiyan hoti hain wo
Achi hoti hain aur jo Baitay
hotay hain wo achay nahi
hotay hai aur Waldeen ko
zeada tar Betiyon ko tarjeh
deni chahiay aur beton ko nahi
?
m i right MR.?
riya

meharbani farmatay howay


tehreer ko dobara parnay ki
zahmat gowara farma lain,
sawaal ka jawaab aap ko mil
ja'ay ga.
maqsood hasni

Shayad lekin i m sorry i can't


got ur point
what u want to say ! Sad
riya

1-donoon Allah ki mukhlooq


hain aur Allah bila tafreeq
apni sari mukhlooq ko aziz
rakhta hai.
2-mae baap k liay donoon
olaad hain.
3-mae baap donoon say
barabar ka piyar kartay hain.
4-meri zati aur sonnay main
aae ra'ay yah hai kah baitiaan
apnay mae baap say zeyada
qurbat rakhti hain yahhi
nahain piyar bhi zeyada karti
hain.
5-khadmat k moaamla main
bhi bhar kar hoti hain.
maqsood hasni
http://www.forumpakistan.com.pk/kiya-
baiti-eak-bojh-hai-t2620.html

You might also like