You are on page 1of 2

Mai Samay hun,

Jaise ki samay chacha ne bataya ki aaj hum iss black polythene ka raaz kholne wale hain, Aaakhir kya
hai iss black polythene mai, aur kyun ise chupa kar le jaaya jaata hai. Aaaj yeh saare raz kholenge
aapka apne Chai Wale.Toh kholte hain yeh bag.* he opens the bag, arrey yeh toh newspaper hai, toh
chaliye kholte hain iss newspaper ko bhi. * HE sees Sanitory pads inside it, aur dekhte hi chillate hue
fek deta hai, aur frame ke bahar bhaag jaata hai. USke baad dubara frame mai aata hai aur pads ki
taraf stick lekar shoo shoo chillata hai* shoo shooo, arrey chacha kaatega toh nahi yeh.

*Then our normal video starts*

Aaakhir hum kyun aise behave karte hain sanitary pads ko dekhkar ya unke bare mai jikar karte

hue, hum kyun iss bare mai baat nahi karna chahte, kyun iss cheez se muh fer lete hai ya muh bana

lete hain, kyun ladkiyo ko zarurat padti hai ki wo ise pehle toh ek newspaper mai lapete aur phir

ek black polythene mai baandh kar laaye. (isme itna awkward kya hai) yeh naa toh koi beemari hai,

na hi koi aur medical disability, yeh toh sirf PERIODS hai, jo har healthy aurat ko mahine mai 4-5 din

ke liye hote hain. Toh aakhir kyun hamare society ne ise eek taboo bana kar rakh diya hai, Kyun log

khulkar periods pe baat nahi karte, lekin hum toh karenge. Aakhir periods hai kya?? Chaliye Google

Bhaiyya se poochte hain, toh google pe periods type krte hi yeh aata hai, A period is the part of the

menstrual cycle when a woman bleeds from her vagina for a few days. For most women this

happens every 28 days or so, but it's common for periods to start sooner or later than this, ranging

from day 24 to day 35. Bas itni choti se baat hai yaar, lekin hamare society ne iss chiz ko bhi ek

natak banaya hua hai, aakhir kyun ladkiyon par itne ban laga rakhe hain, mandir nahi jaana, yeh

mat khana, wo mat khana, iss chiz ko mat chuna, kuch families mai toh unhein shuruaat mai ek alag

hi kamre mai rakh diya jaata hai, aakhir kyun, agar koi bleed kare toh problem, agar na kare toh bhi

problem. EK survey ke hisab se aaj bhi more than 70% of indian women still use old rags to soak

the flow, aur yahan tak ki kuch rural areas mai sand,sawdust, aur leaves tak ko use kiya jaata hai,

jisse unki body ka ek sensitive part complete expose ho jaata hai diseases ke lie, jo ki bahut

dangerous hai, shehron mai toh fir bhi condition theek hai, lekin villages aur rural areas mai ladkiyon

ko pata bhi nahi hota ki unke saath ho kya raha hai. Toh naa hi unke paas is bare mai knowledge hai

na hi wo iss condition mai apna khayal rah skte hai. Bahut saare countries mai free pads

government schools aur colleges mai provide karaya jaate hai, phir india mai kyun nahi. Aur yeh ek

esa samay hota hai, jab bahut mood swings hote hai, aur kuch girls ko toh pain hi normal se jyada
hota hai to hiss vajah se unhe weakness bhi ho jaate hai, toh kya haemin iss samay sirf mahine mai

4-5 dinon ke liye aachi diet aur emotional support nahi dena chahiye. Class mai periods stains ko

dekhkar Mazak udana ek aam baat hai, aakhir kyun. Sirf girls ko nahi, girls aur boys dono ko ek saath

classes mai rakh kar proper education hum kyun nahi de skte. Kya aapke mandir, bartan, aachar sirf

uske choone se kharab ya ashudh ho jaayenge. Toh hamare yeh koshish honi chahiye ki sabko unka

adhikaar mile, wahi samman mile, sabko proper education mile, aur sabko ek healthy aur safe health

environment mile.

Agar ap diy sanitary pads banana chahte toh

You might also like