You are on page 1of 2

ye waqt kis ki raunat pe khak dal gaya

ye kaun bol raha tha khuda ke lahje mein

yeh jo meri lehad pe rotay hain


abhi uth jao toh jeene nah dein..!

ya rabb khayal-e-yaar se tu mujh ko panah de


mein tujh ko bhool jata hon uske khayal mein

ik mein hi nahin jurm-e-mohabbat ka khatawar,


halka sa 'tabassum' bhi to shamil tha udhar se...!

ye jabr bhi dekha hai taarikh ki nazron ne,


lamhon ne khata ki thi sadiyon ne saza payi

ye mohabbat to bahut baad ka qissa hai miyan


main ne us hath ko pakda tha pareshani mein

yani ab log sikhayenge kaise dekhu


meri marzi hai uss shaqs ko kaise dekhu

yun to pathar ki bhi taqdeer badal sakti hai


shart yeh hai k isay dil se tarasha jaye

wo kar nahi rahe the meri baat ka yakeen,


phir yun hua ke mar ke dikhana pada mujhe

laut aati hai meri shab ki ibadat khali


jaane kis arsh pe rehta hai khuda shaam ke baad

Kabhi Arsh Par,


Kabhi Farsh Par,
Kabhi Unke Dar,
Kabhi Dar Badar!

Gham e Aashiqi Tera Shukriya!!


Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye!!

In Barishon Se Dosti Achi Nahi Faraz


Kacha tera Makan Hain Kuch To Khayal Kar
Yeh jo dil main qayyaam karte hain,
Yehi jeena haraam karte hain..

Na jane kitane mazafat ka bana hua he


Yeh shehre-e-gam he mere hath ka bana hua he

You might also like