You are on page 1of 4

Zindagi Na Mily Gi Dobara (Poetry)

Ik baat honton tak hai jo aye nahi

Bs aankhon se he jhankti

Tm se kbhi mj se kbhi

Kuch lafz he wo mangti

Jin ko pehn k honton tk ajaye wo

Awaz ki bahon me bahain dal k ithlaye wo

Lekin jo ye aik baat he

Ehsaas he ehsaas he

Khushbu se hai jesy hawa me tairtee

Khusbu jo be awaz he

Jis ka pta tm ko b hai

Jis ki khabar mujh ko b hai

Dynya se b chupta nhi

Ye jany kesa raz he

(2)
Jab jab dard ka badal Chaya

Jab gham ka saya lehraya

Jab ansoo palkon tak aya

Jab ye tanha dil ghabraya

Hum ne dil ko ye samjhaya

Dil akhir tu q rota he

Dunya me yu he hota he

Ye jo gehry sannaty hen

Waqt ne sab ko he bantein hain

Thora gham he sb ka qissa

Thori dhoop he sb ka hissa


Aankh teri bekaar he num he

Her pal ik naya mosam he

Q tu aesy pal khota he

Dil akhir tu q rota he

(3)
Dilon me tm apni betabyan ly k chal rahy ho to zinda ho

Nazar me khwabon ki bijliyan ly k chal rahy ho to zinda ho

Hawa k jhonkon k jesy azad rehna seekho

Tm aik darya k jesy lehron me behna seekho

Her aik lamhy se tm milo kholy apni bahein

Her aik pal naya samaa dekhy ye nigahein

Jo apni aankhon me heranian ly k chal rhy ho to zinda ho tm

Dilon me tm apni betabyan ly k chal rahy ho to zinda ho t

Quote

“The best and the most beautiful things in the world cannot be seen or even touched.

They must be felt with the heart”

(HELEN KELLER)

Ik shakhs pas reh kr b samhja nahi mjhy

Is bat ka afsos he shikwa nhi mhjy


Ganwayee kis ki tamanna me zindagi me ne

Wo kon he jissy dekha nhi kbhi mene

(jaun Elia)

Hum ne jana jo hum ne ye jana

Jo nhi he wo khobsurat he

Aik he apna milny wala tha

Aesa bichra k phr mila he nahi

Baad bhi tere jany jaa’ dil me raha ajab say maa

Yad rahi teri yahan’ phr teri yad bhi gae

Ye teri tawajja ka he aijaz k muj se

Hr shakh tery shehr ka barham he meri jaan

Rukhsat hua to ankh mila kr nhi gya

Wo q gya he ye b bta kr nhi gya

Wo yu gya k bad e saba yad aa gayee

Ehsas tk b hum ko dila kr nhi gya

Yu lag raha k jesy abhi loat aye ga

Jaty huay charagh bujha kr nhi gya

Bs ik lakeer khainch gya drmian me

Dewaar rasty me bna kr nahi gya

Shayad wo mil he jaye magar justuju he shart

Wo apny naqsh e pa to mita kr nhi gya

Ghar me he aj tk wohi khushbu basi hui

Lgta he yu k jesy wo aa kr nhi gya


Tb tak to phool jesi he taza thi uski yaad

Jb tak wo patyo’n ko juda kr nhi gyar

Rehny diya na us ne ksi kam ka mjhy

Or khaak me b mujh ko mila kr nhi gya

Shehzad ye gila he raha uski zaat se

Jaty huay wo koi gila kr nhi gya

(SHEHZAD AHMAD)

You might also like